Complete Text of PPP Patron-in-Chief Bilawal Bhutto Zardari’s - TopicsExpress



          

Complete Text of PPP Patron-in-Chief Bilawal Bhutto Zardari’s Speech on 35th Martyrdom Anniversary of Shaheed ZAB April 4, 2014 by Pakistan Peoples Party Leave a comment Bismillah ir-Rahman Nir-Rahim Na aray’ee Takbeer – Allah O Akbar Naaray’ee Risalat – Yaa Rasoolullah Naaray’ee Haideri – Yaa Ali Meray Saathiyoo, Aaj ham apni tareekh kay aisay mor par kharay hain jahan har taraf bay yaqeeni hai. Har aankh main shak hai aor har dil khouf say bhara hua hai. Aik taraf dehshat gard hain jo ham say hamaari shnaakht, hamari pehchaan aor hamaara wajood cheen laina chahtay hain, aor doosri taraf jaded dunya hai jo ham say sawal kar rahi hai keh tum kon ho? Hamari tehzeeb gum ho rahi hai, hamari moeeshat dam tor rahi hai, hamari siyasat zaati mafadat kay tahaffuz tak mehdood ho chuki hai, yaqeen khatam ho chukka hai aor ittihad khatm ho raha hai. Aisa kyun hai? Hamara jurm kiya hai? Ham nay kon si ghalti ki hai keh tareekh jissay maaf karnay par tayyar naheen? Yeh sawal itnay mushkil naheen keh ham in ka jawab na day sakain. Haan hamara jurm bohat bara hai!! keh ham nay apni tareekh kay azeem tareen leader ZAB ka adalti qatl kia hai. ham nay aaj say paintees saal pehlay wo sooraj bujha diya tha jis ki roshni main ham nay zindagi ka safar tay karna tha. Ham nay wo charagh gul kar diya tha jis ki roshni hamari un-DHA-iri raton ka sarmaya thi, ham nay wo khazana luta diya tha jis kay bal par ham nay dunya main jeena tha, Mairay saathiyo, ZaB sirf aik wajood naheen tha, aik soach, aor aik falsafa tha, aik nizaam ka nam tha, aik taraf wo log thay jo qayam e Pakistan kay mukhalif thay, jo mazhab kay naam par poori qom ko intiha pasandi ki jang main jala kar rAaakh kar daina chahtay thay, aor doosri taraf ZAB thay, jis nay dunya ko aik modern Islamic nation ka vision diya thaa.. jo roshni ki ilaamat tha, jis ki pukaar par poori qom aik ho kar dunya main jeena chahti thi , haan usi ZAB ko is mulk kay nam nihaad munsifon nay takhta-e-daar par laTka diya, us nay kaha tha keh mairi shahadat par himalaya royay gein, aor dunya nay daikha keh us sooraj kay doobtay hi jihaalat kay an-dhairay phail gayay, hamaray wo shehr jahan kabhi kisi nay hathyaron ka naam bhi naheen suna tha, kalashankov ki golyon say goonjnay lagay, hamaaray wo masoom log jo aik moaashray main amn o amaan say rehtay thay, jo piyar aor mohabbat ko apna sarmaya mantay thay, firqo main butt gaey, kaheen koi sipah ban gai aor kaheen koi lashkar ban giya, kisi nay hamien ilaqay kay naam par taqseem; aor kisi nay zat aor nasal kay naam par hamaray tukray kar diye, Haan!! mairay bhayo wo insaan ghareeb ka sahara tha aur ajj hamara sahara kaun hai??, Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! wo jageerdaro kay shikanjay main jakray hooey kisaanon ka sahara tha, Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! wo sarmaya daron kay zulm ki chakki main pistay hooey mazdooron ki aawaz tha, Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! wo bay rozgaari ki aag main jaltay hooey nojawanon ki umeed tha, Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! wo mardon kay is moaashray main haWWas ka shikaar honay wali mazloom aorton ki aakhri panah tha, Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! wo tha to dunya ki bari say bari taqat ko bhi Pakistan ki taraf maY-lee aankh say daikhnay ki jurat naheen ti, Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! wo tha to Pakistan kay 90 (nawway) hazar foji dushman ki qaid say aazad hu-way thay, Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! wo tha to aalam-e-islam kay leaders Pakistan ki dharti par akathay hoyay thay, Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! wo tha to us nay atom bomb bana kar pakistan ko naqabal e taskheer bana diya, Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! badqismat thay hum, keh Bhutto na raha, badqismat thay hum, keh chand jhootay mulla is ki qismat kay thaikaidar ban gayay, badqismat thay hum, keh zia ul haq jaisay dictator nay jihad kay naam par humien dehshhat gardi ki dal-dal main daal diya , badqismat thay hum, keh aamriyat ki god main palnay walay khoon kay piyasay darinday, is kay waris ban gayay… Aor aaj jab main apnay Sindh ko jalta hua daikhta hoon, jab main apnay balochistan ko lut ta hua daikhta hoon, jab main apnay kpk ko khud kush hamlon say larazta hua daikhta hoon, apnay Punjab ko dehshat gardon kay hathon main yarghamal banta hua daikhta hoon, to sochta hoon keh ZAB ko shaheed na kiya jata to kiya yahi haalat hotay? Naheen, aisa na hota, aor yahi waja hai keh wo sooraj bujha diya giya, maqsad yeh tha keh hamain un-DHAY-ron main rakha jayay, aor ham un-DHAY-ron main hain, jihalat kay un-DHAY-ray ajj itnay barh gayay hain keh aankhon walay muzakrat kay naam par un-DHO say rasta poochtay hain, Humien Jahalat ki nahi roshni ki zaroorat hai…Ajj iss mulq ko aik baar phir Bhutto ki zaroorat hai.. Khappay Khappay Bhutto Khappay Saathiyo, Ajj hakoomat privatization ki baatien kar rahay hien…kaha ja raha hai kay ajj hamari moeeshat ko bachana hai tu privatization karo.. privatization kay naam par abb hamara ghar baichnay ki tayyari ho rahi hai takay hakumat apna bandar baant / personalization ka agenda poora kar sakien.. Mian sb… App ko pata hai kay Thar mien, Cholistan mien, janoobi Punjab, Gilgit Baltistan mien aur Pakistan kay dosray ilaqo mien shadeed ghurbat hai.. Aap mairay saath thar bhi gayay thay, aap nay daikha kay woh log ghurbat ka shikar thay, laikin un kay galay main sindh kay riwayati zaiwar thay, un kay haathon mien thar ki riwayti choorian thi. unn logo kay halaat chahay jaisay bhi hoon, woh laikin apnay assasay kabhi naheen baichain gay, is liye naheen baichain gay keh yeh assassay un kay bachon kay hain, yeh zaivar, yeh assassay, unn ka nahi balqay un ki anay wali naslo ka hai. Issi tarah Pakistan kay assasay ghareebo ka sarmaya hai aor isay bananay kay liye hamaray mazdooro nay, hamari naslon nay apna khoon aor paseena bahaYa hai, ham Pakistan kay sarmayay ko app ki personalization ki aag main naheen jalnay dain gay, hum apni qaum ko bayrozgaari kay dal-dal mien nahi daalien gay. Main aap ko yeh bhi yaad dila doon, keh in asaaso main pachaas fi sad hissa soobon ka hai aor pachaas fi sad hissa wafaaq ka hai. main Baluchistan, KPK aur Sindh kay wuzara e aala say guzarish karta hoon kay wafaq say mutalba karain, keh in asaaso main soobon ko unn kaa haq diya jayay, wafaaq ko yeh ijazat na dain keh wo aap kay asaasay lay kar apnay yaaron main oonay poonay daamo par sasta baich dien. Aap qarzon ki baat kartay hain, main aap ko yeh bhi bata doon keh Pakistan par jitna bhi qarz hai wo wafaq ka liya hua hai, usay ada karnay kay liye aap soobon kay haqooq naheen cheen saktay. Yeh Privitization humien bilkul qabool naheen, aor main janta hoon keh is dor main nationalization bhi humien naheen chahiyay, magar privatization ya nationalization ki baat bhi nahi, app kaa mansooba tu dur haqeeqat personalization ka hai..aur yeh hum har giz nahi honay dien gay… Aap ki daleel yeh hai keh hakoomat kay paas paisa naheen, hakoomat idaray naheen chala sakti, is liye idaray baichna zaroori hai, To phir jawab bhi sun lain, kuch log kehtay hein iss hakmoomat say yeh mulk bhi naheen chal raha, to kya app iss mulq ko bhi baich rahay hein????. Hakumat-e-waqt ogdcl jaisay profitable idaron ko privatize kar rahay hain, main hairan hoon keh koi hakoomat apnay hosh o hawas main aisa soch bhi kaisay saktay hai!!!, Asal masla yeh naheen hai, asal masla niyat ka hai, hamain is mulk kay liye aik mukhlis rahnuma ki zaroorat hai, us rah numa ki jo apnai zaat qurbaan kar kay bhi mulk kay mafaad par aanch na aanay day. Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! App nay pressures kay andar aakar sadr zardari ka iran pak gas pipeline ka mansooba khatam kar diya, yeh who mansooba thaa jis kay shuro honay say hamari mulq kay energy crisis khatam ho jatay.. kya sadr zardari par pressures nay thay… Kya SZAB par foreign pressures nahi thay..kya unhay henry Kessinger nay warn nahi kiyaa thaa… magar wohh tu kabhi kissi foreign pressure kay andar nahi ayayien.. Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! Saathiyo, Mien chand dinno say buhut tasweesh ka shikar hoon…mujhay tu samajh nahi arahi kay aisi kya waja thii.. aisi kaun si majboori thii, kay raaton kay un-DHAY-ron mein aik bairoonay mulq kay saath deal ki jaati hai…. meri qom ki qeemat $1.5 bn lagayi jaati hai…qaum ko aitemaad mien nahi liya jaata….humien batayien tu sahi kay maajra kya hai…agar hakumat-e-waqt ki niyaat saaf thi tu yeh baat qaum say chupayi kyon gayi? Yeh paisa kyon diya gaya hai? Yeh kis cheez ki qeemat hai? Kya yeh meray mulq kay jawano ki sir ki qeemat hai? kya yeh waja thi kay app sirf chand logo ko $$ ki qeemat girnay ka faida daina chahtay thay, kay app nay gawara hi nahi samjha kay hum iss qaum ko aitemaad mien lien? Sab ko pata hai mulq ka kaunsa nijji bank thaa jis nay iss ailaan ka sab say zaada faida uthaya.. Kya yeh wohi dost hein, ju personalization ki aar mien humien lotnay jaa rahay hein?.. App nay tu kaha thaa hum khashkool tor dien gay..App nay tu iss mulq ko paishawar beeekhari bana kar rakh diyaa hai.. App samajhtay ho kay, kissi mulq ki anonymous donation say hamari economy, hamari fauj aur hamari hakoomat chal sakay gi, tu yeh app ki sab say barri bhool hai.. Hamari fauj koi paisahwar qatilo ki fauj nai hien, Hamari fauj ghairat mand fauj hai, hamari fauj hamara sarmayAa hai, kissi kee zaati jageer nahi. Abhi tak hamari apni jang khatam naheen hoyi, aor app apnay advisors ki advice par par dosro ki jang mien chalang laganay ja rahay hein? Humien national interest ko zaati mufadaat par tarjeeh daina ho gi. Khappay Khappay Bhutto Khappay!!! Meray saathiyo, Jab thar mein kehat parra, mien apnay logo kay saath un ki mushkilaat mien shareeq huwa….. Saathiyo, Pehli haqeeqat tu yeh hai kay, thar kay halaat aur iss kehat say larnay kay liyay jo iqdimaat kiyay gayay hein, mien unn par buhut dukhi hoon. hum PHIR say aisi ko-tahi bardasht nahi karien gay. SZAB ki hakoomat mien yeh kabhi na hota, aur yeh SZAB ki party ki hakoomat hai, aur yeh baat sab ko yaaaaad rakhni chahiyay… Dosri haqeeqat yeh bhi hai, keh yeh koi hafton ya maheenono ki baat naheen thi or issay hal karnay kay liyay bhi arsoo lagein gay.., Yeh bhi haqeeqat hai kay bees saal kay baad hum mithi say 2013 mien election jeetay hein..arsay baad 2013 mien health ministry humien milli hai.. humien iss liyay THAR nay elect kiya hai kay hum Pakistan ki ikloti party hai jo ghurbat say larti hai.. Hum jaantay hein kay Ameer aadmi tu Kehat ko bardaasht kar sakta hai magar ghareebo kay liyay yeh kehat sirf aur sirf mott ban kar aati hai. Jin qaumo say jamhooriat cheen lee jaati hai..jaha aamir ka raj hota hai..wahan kay ghareeb issi tarah ghurbat ka shikaar rehtay hein.. Ghurbat say larna hai tu jamhooriat ko bachana hogaaa.. THAR kay log lambay arsay say Musharraf kay zalim , jabir aor corrupt wazeer-e-aala kay panjon main jakray hooey thay. Is shakhs nay sindh kay logon kay haqooq ka janaza nikal diya, ghost schools, jaali idaray, loot maar… minorities ka qatl-o-gharat wo kon sa zulm hai jo inn nay naheen kiya. Aik baar phir say yeh zaalim-e-alaa wafaqi hakoomat kay zarriyay is ilaqay par mussalat hona chahta hai.. iss say door rakha jayay..uss ki nazar abhi say tamaam relief funds par hai…. ajj agar mera Thar iss halat par phooncha hai tu iss ka zimmaydar yeh shaks bhi hai.jo THAR say election lar kar Sindh ka wazeer-e-aala bana magar Thar ki awaam ko zulm-o-jabar kay ilawa kuch na diya.. hum phir say Thar ki mitti ko iss kay pairo mien rondnay ki ijazat nahi dien gay… Saathiyo, Rasta aasaan naheen, thar main, cholistan mien, south Punjab mien, Baluchistan mien, sangeen ghurbat hai, resources mehdood hain, lakin ham in ghareebon ki namaendgi ka haq ada karain gay, ham qudarti aafat say naheen lar saktay, hum kehat ko anay say nahi rok saktay, hamaray bus mien nahi kay hum sailaab aur zalzalay rok sakien, laikin ham ghurbat aor bay rozgari say zaroor lar saktay hain aur larien gay.. Ghurbat khatam karnay kay liyay, PPP ki hakoomat mien humnay inquilabi BISP ka aghaz kiya tha… Mahana cash transfers kay saath saath, humnay Waseela-e-Haq, Waseela-e-Rozgar aur buhut say aisay programmes ka aghaz kiya thaa jin ki waja say ham ghurbat say lar sakien Mian sb, aik maheena guzar gaya hai..app nay buhut acha qadam uthaya kay app khud Thar ayay… hum app kay buhut shukar guzaar hein..Wafaqi hakumat ki zimmadari hai national disasters mien sooboOOO ki maddad karna.. app nay THAR mien in ghareebo ki maddad ka ailaan kiya thaa, aur hum app kay iss ailaan ki qadar kartay hein.. magar app ki team nay hum sab ko mayoos kiya hai…BISP ki payments tak rok dein gayien..app ko notice lainay par majboor kar diya gaya.. BISP tu unn ka haq thaa uss kay ilawa app ki team THAR kay logo kay liyay kya kar rahay hein…app apni team say poochien tu sahi.. SIRF Biyanaat..sirf sayasat…sirf waday..aur jhooti umeedien??buss??? Saathiyo, Thar mien dur-haqeeqat jo amwaat waqayi hoyi hai unn ki aik baari wajja shaffaf paani ki ghair majoodgi hai jis say laakho beemiara janam laiti hein.. Inshallah Sindh hukumat 2018 tak, Thar kay har ghar / har ghott mien solar energy kay zarriyay peenay kaa saaf paani day gi..Takay hum inn beemario say chutkara paa sakien.. Khappay Khappay Bhutto Khappay!! Saathiyo, Humien apni saqafat, apni tehzeeb ko apna hathyar banana hogaa… Moejadaro, Makli, jaisi tareekhi sites hamaray liyay tourism ki shakal mien sainkro investment opportunites la saktay hain.. Pichlay Sindh Festival nay yeh sabit kar diya kay hamara kaarigar agar Thar jaisay door daraaz ilaqay say bhi ata hai tu wohh bhi iss mulq ki prosperity say faida utha sakta hai..uss kay din bhi badal saktien hein… Magar afsoos, chand log aisay bhi thay jinhay sindh festival ki tarraqi hazam nahi hoyi… unho nay iss ki billa waja mukhalfat ki, yeh wohi log hein jin ko hamari saqafat say khoof hai.. unhay samajh hi nahi hai, kay ajj agar humein iss intha pasandi kay mind set say larna hai tu apni tehzeeb ko apna hathyaar banana hoga, apni saqafat par naaz karna hogaa. magar yeh tu who log hein jo inn kal-addam tanzeemo ko pehlay protocol daytien hein, phir panah daitay hein, mahana kharcha bhi daytay hein aur phir unhii darindo say samjhoota kartay hein takay inn ki hakumat ko koi aanch na ayayein. Magar !!!! bay gunnah logo kay khoon ki qeemat inn kay liyay koi maeeni nahi rakhti. Jo log hamesha PPP par najaiz ilzaam lagatay hien kay hum laashon ki siyasat kartay hein, ajj wohi log bachoo ki masoom lashon par siyasat kar rahay hein.. hum tu apnay shohda ki awaaaz buland kartay hai yeh tu masoom bacho ki lasho par apni siyasat chamkanay ki kooshish kar rahay hein .. kiss kisam kay chotay log iss tarah kay qaumi disasters par siyasat kartay hein??… mein unhay khabardaar karta hun yeh waqt siyasat karnay ka nahi hai, abb waqt hai apnay mulq ko bachanay ka … siyasat 2018 mien ho sakti hai. yeh waqt hai AIK kaum bannanay kaa naaaa-kay bikhray hoyay tuqro mien taqseem honay ka.. Mairay saathiyo, Yeh darust hai keh aaj ZAB ham main naheen hai, magar kiya ham haar maan jayien? Naheen ham aisa naheen karain gay, yeh hamaray quaid, hamaray shaheed ka paighaam naheen tha. ZAB ka paighaam yeh tha, keh jaan jati hai to jayay, phansi milti hai to milay, ham sachai ka rasta naheen chorain gay, yeh sar kat to sakta hai laikin kisi kisam ki Taliban ki dictatorship kay samnay jhuk naheen sakta, issiliyay tu ajj mien kehta hun Bhutto Khappay… agar Bhutto khappay ka naara samajhna hai tu us ki baiti ko rawalpinDi ki sarkon par shaheed hota hua dikho jis nay jaan day di lakin dehshat gardon say samjhota naheen kiya, Bhutto khappay ka matlab samajhna hai tu sadr zardari ko daikho, jis ko giyara saal jail main rakh kar us ka azm khatam karnay ki koshish ki gai, laikin us ka azm to kiya khatam hota wo us kay chehray say muskarahat bhi na cheen sakay, Bhutto kay maeeni ko mehsoos karna hai to un hazaron jayyalon ko daikho, jo aaj bhi dehshat gardon kay samnay seena taan kar kharay hain, Bhutto aaj bhi tumhain aik hi paigham day raha hai keh jeena hai to sar utha kar jio, jhukay hooy saron ko na is jahan main panah milti hai aor na us jahan main un ka koi maqam hota hai, Ussay khabar NAHIIIII tareekh kya sikhati hai Keh raat jab kissi khursheed ko shaheeeeed karay Tu subh ek naya suraj taraaaaaash laati hai.. Khappay khappay Bhutto khappay… Aaj kuch log islam kay naam par apni wehshat ka qanoon nafiz karna chahtay hain, wo kehtay hain keh unn kay qanoon ka nifaaz karo warna ham aap ko tabah kar dain gay. Main unhain bata daina chahta hoon keh yeh islam naheen hai, tum lashien saja kar un main islam dhoondna chahtay ho wahan tum ko islam naheen milay ga, tum tabahi macha kar jannat ki hoorien laina chahtay ho, wo naheen milien gi.. yeh tumhari bhool hai.. mien unhay bhi khabardaar kartaa hoon jo Log apnay soobay mien deshtat gardo ko siyasat kay naam par panah daitay hien.. … aur yeh bhi yaad rakhna kay iss mulq kay chootay sooboOOOOO mien uss waqt tak aman nahi ho gaa, jab tak is mulq ka sab say barra sobba dehshtat gardo ko panah daina nahi chooray ga.. Jaag meray Punjab Pakistan jal raha hai…. Saathiyo, Aaj kuch log hamaray mandar jala kar dunya ko batana chahtay hain keh Pakistan kay awam intiha pasand hain, wo dunya ko batana chahtay hain keh pakistani apnay mulk main kisi aor mazhab ko bardasht naheen kartay , magar Sindh mien saazish karnay wala yeh bhool gaya, kay N league kay hukmuraaon aur PPP kay logo mien faraq hai.. joseph colony mien church ko agg laga dii jaati hai….aik shaaks tak giraftaar nahi hota..magar ham chup nahi baithien.. hum Punjab kay hukmaroon ki tarah khamoosh nahi rahay…hum nay karwayi ki.. yaad rakhain keh ham shaheedon kay waris hain, ham sindh main kisi dehshat gard ko yeh ijazat naheen dain gay keh wo mazhab aor rang o nasal kay naam par fasaad phaila kar hamain dunya main badnam karay. Dehshat gardo sun lo!!! abhi ZA Bhutto kay yeh nawasa zinda hai, abhi shaheed bb ka yeh baita mojood hai, Agar kissi nay minorities par hamla karnay kaa soocha bhi, tu who yeh yaad rakhein kay yeh mazloom, masoom aur bay gunah log akailay nahi hai, Bilawal Bhutto Zardari aur uss kay jiyalaaa unn kay saath chittan ki tarah khara hai.. inn ki taraf uthnay wali har maY-lee ankh ko Bilawal Bhutto say takrana hogaa.. PPP minorities ko akailay nahi chorien gay, aur tamaam riyasat aisa karnay walo kay khilaaf bharpoor karwayi karay gi.. koi hindu ho , koi isaee ho, koi musalmaan ho, ham sab Pakistani hain, yeh Sindh aur Pakistan ko badnam karnay ki sazish hai aor ham isay kabhi kamyab naheen honay dain gay. Mairay saathiyo, Aaj hamari hakoomat muzakrat ki ratt la-gaa-tay naheen thaktay , yeh log us tabahi ko nahi mehsoos kar rahay jo hamari taraf aa rahi hai, main poochta hoon keh Jab qaed e azam nay Pakistan banaya tha to kiya yahi log nahi thay jo Pakistan ki mukhalfat kartay thay, hamray quaid-e-azam ko kaafir-e-azam kehtay thay, Agar qaed e azam in logon kay saamnay jhuk jaatay to kia aaj hamara apna mulk hota? ajj app unnhi say muzaqarat karna chahtay hein? Hum kaisay qabool karien kay yeh hamari shariat ko hum say zaada jaantay hein… yeh kaun hotay hein humien islam sikhanay walay… app kehtay ho, Muzakirat karain, zaroor karain, laikin kiya ho ga? Hum nay 1977 (unees soo sattatar mien) ghalat soocha thaa kay hum in logo kay saath dialogue kar saktay hein, samjhota kar saktay hein,.. inhoo nay humien uss waqt bhi dhoka diya… 2008 mien bhi dhoka diya, sirf teen din mein Taliban ka asli chehra samnay agaya, aur abb aik naya dhoka dainay ja rahay hein.. Iss dhokay ka jawab mien batata hoon… jawab poochna hai to jao uss bahadar baap say poocho jo apnay jawan fauji baitay ko dafnatay waqt Pakistan zindabad ka naara lagata hai, jawab sunnana chahtay ho tu uss maa say poocho jo apnay police afsar shohar ki shahadat par ailaan karti hai, kay iss mulq kay liyay mien apni aulaad qurban karnay kay liyay bhi tayyar hoon, magar hum in darindo kay saamnay nahi jhukien gay, jawab sunnanay ki himmat rakhtay ho tu meri qaum ki bay-wayaon say poocho, jurrat hai tu poocho unn lawaaris bachoo say jin kay waldain shaheed kiyay gayay, unn bhaiyoo say poocho jin ki behnay sarayaam qatal kar di gayien, inn logo say poocho jo sainkro meel ka safar tay kar kay garhi khuda bux ayayein hein takay who apnay shohda ko salaam paish kar sakien.. sadr zardari say poocho jis nay apni smbb ko dafnatay waqt Pakistan Khappay ka naara lagaya… mujh say poocho, BB shaheed kay baitay say poocho, Bilawal Bhutto Zardari say poocho, hum hien Shohdaaa ki awaaaz.. hum say poocho…hum JANTAy HeiN KIYA WO liKHAIN GAY JAWAB MAIN… un ka jawab meri qaum kay masoomo kay lahooo mien likha jayay gaa… App ko aik saal hogaya hai hakumat mien ayay hoyay, mujhay tu samajh nahi arahi kay app ka plan kya hai .. aik saal guzar gaya hai ..app aik comiittee tak final nahi kar payay… kabhi app mullah mehshud kay liyay aanso bahaaaatay hein tu kabhi app hamari fauj kay shohda kay liyay tAaazeyat kartay hein..… Khoob parda hai, keh chill-mun say lagay baithay hain, Saaf Chupte bhi nahin, Samnay atay bhi nahin, aaj Pakistan ko islam kay naam par jahiliyat kay us dor main phainka ja raha hai jo islam say pehlay arab main, zulm aor jabr ki ilamat tha, bhool gayay Swat kay who din jab hamaray Swat kay logo nay ghalat soocha thaa kay yeh Taliban Musalmaan hein.. unhay ansar ki tarah panah di gayi.. ghar diya gaya.. magar badqistamti Swat kay logo ki kay phir unhi Taliban nay un kay saath woh salook kiya jis ki misaal tareekh mien nahi milti.. yeh darinday hein.. muslamaan nahi…. agar is mulk main zalimaan ka nifaaz qaim hogaya tu yaad rakhna keh phir say hamari baitiyan zinda dafn hon gi, aorat ki zindgi aik ghulam ki zindgi ban kar reh jaey gi, aor hamari aanay wali naslain ghulami kay isi un-dhay-ray main gum ho jain gi. Taliban ki iss sooch nay jihad ka maaeni tabdeel kar diya hai… yeh jihad nahi.. jihad tu woh thaa jab 72 (Bahattar) aik qarbala mein, ai k islam kay liyay ayay thay, aur ajj inhoo nay unn 72 (Bahattar)kay liyay 72 (Bahattar)islam bana diyay hein.. yeh jihad nahi.. yeh munafqat hai.. jihad tu yeh thaa, jab smbb nay, aik nahatti aurat nay fauji aamir kay khilaaf awaaz uthayi thii, Kya yeh jihad nahi??? jihad tu yeh thaa jab aik dalair aurat nay,hamari shaheed bb nay apni bahadri say Taliban ko lalakar kar tamaam mardo ko sharminda kar diya …. Kya yeh jihad-e-akbar nahi??? PPP ka Jihad tu yeh hai, jis kay asal mayeeni Bhutto sb kay dinno mien likhay gayay PPP kay foundation papers mien wazay kiya gaya hai… jo kal bhi hamara jihad thaa..jo ajj bhi hamara jihad hai.. Tou un logoo kay lea Jou Mazloom hain Jou Nojawaan hain Aur jou itihaad awaam kay lea koshaa hain Jehad ki rah hi seedhi rah hay Jehad naam hai aisaa moashraa qaim kirnay ka Jis mien Koi mazloum aur koi mahkoum na rahay Hurriyat, Akhowat, aur masawat kay usool jari o sari houn Jehad naam hay aisa nizaam-e-hukumaat qaim karnay ka Jis mai awam kee bunyadi zaroriyat puri kee jain Mard aur aurat ko tarqi kay Yuck-sAA moqaay diyay jayien Qanoon kee amal dari ho Aur jamhoriyat sir buland ho Jihad naam hay haq kay liyay seena supper ho Janay ka Aur zulm kay khilaaf shahdat dayney ka Jehad naam hy iss hama-gir tayyari ka Jo mulk aur quam ko NAa qabil-e-taskhir bana day Aur jis kay BAA-is, dushmano kay dil haybat say laraz-tay hon Aur jis say dunya bhar kay mazlomoun aur mehkoumoun ko taqviyat milti ho Iss liyay hum sub awam Kissan, mazdour, sipahi, kaarigar, dukandar, daftri, karkun, talib-e-ilm, ustaad, danishwar, mard aur aurat Itihaad awam ka elaan kartay hain Aur ahad kartay hain Hum jihad kraingay Jahalat kay khilaaf aur ilm ki haq mai Munafaqt kay khilaaf aur diyanat kay haq mai Zulm kay khilaaf aur insaaf kay haq mai Iss-teh-saal kay khilaaf aur masawat kay haq mai Ghulami kay khilaaf aur azadi kay haq mai Hum jihad karingay Apni jaan say, maal say, zubaan say, qalam sayHum jihad karaingay Yehan tak kay khudda kee zameen khuda kay noor say jagmaga uthay gaa Khappay Khappay Bhutto Khappay
Posted on: Fri, 04 Apr 2014 14:20:20 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015