D Taajdar-e-kerbala Hazrat Sayedna Imam Hussain(R.A) apna - TopicsExpress



          

D Taajdar-e-kerbala Hazrat Sayedna Imam Hussain(R.A) apna kunba Qabila aziz-o-aqarib aur awan-o-ansar raah-e-haq main nisar kernay k baad ab Apni jaan ki nazar apnay Allah ki bargah main paish kernay ka azam Fermatay hain- Aur Khaima-e-Ahle bait main tashreef le jatay hain, Nasihat aur Saber ki talqeen Fermatay hain- Abb Imam Paak Apnay Khaimay mai Tashreef laye, saman khola Qaba_e_Misri zaib_e_Tan Fermai- Apnay Nana Jaan(Sallallahu Alaihi Wa,alaihi Wasallum) ka Amama Mubarak ser per bandha- Sayed_ul_Shohda Hazrat Ameer Hamza(r.a) ki sipper pusht per rakhi- Apnay Brader_e_Akber Hazrat Imam Hassan(r.a) ka Patka Apni Kamer per bandha- Apnay Baap Haider_e_Karrar Hazrat Ali(r.a) ki Talwaar Zulfiqar hamaeel ki- Shaheedo k Aaqa, Jannat k nojawano k Sardar sab kuch Rah_e_Haq main Qurban ker k abb Apnay ser ka nazrana paish kerny k liye tayyar ho gaye- SHAHADAT Imam Paak Maidan_e_Karbala mai batil ki tareekiyon mai Haq_o_Sadaqat ka Aftab ban ker chamkay- Mashhoor jangju aur bahadur Afraad jin ko sakht waqt k liye mehfooz rakha gaya tha, Hazrat Sayedna Imam Hussain(r.a) k muqabil aatay rahay mager jo bhi samnay aaya, zinda wapiss nahi gaya- Shair_e_Khuda k Lal ne Shujaat k wo joher dekhaye k zameen_e_Kerbala main bahaduran_e_Kofa_o_Sham ka khait bo diya- * Yazeediyon main shor berpa ho gaya k ager jang ka andaz ye hi raha tu Haider ka ye Shair kisi ko zinda na choray ga, bas waqt ka taqaza ye hi hai k chaaron taraf se ghair ker yakbargi hamla karo- chunacha Zahra k Chand per hazaron jawan dor paray aur Imam Paak ko ghairay main le liya- Imam Paak ne Fermaya: Zalimo ager tum ne ibne ziyad aur yazeed ki khatir Aulad_e_Rasool(Sallallahu Alaihi Wa,alaihi Wasallum) ka khoon bahana zarori samajh liya hai tu Aulad_e_Rasool(Sallallahu Alaihi Wa,alaihi Wasallum) ne bhi Allah Taala aur Rasool(Sallallahu Alaihi Wa,alaihi Wasallum) ki khushnudi aur Deen_e_Islam ki hifazat k liye sab kuch Qurban kernay ki thaan li hai- * Abdullah bin Ammar aik lashkari ka biyan hai Khuda ki Qasam! main ne kisi aesay beykas aur beybas jis ki Aulad aur Ahle Bait aur Ashaab sab qatal ho chukay hon, iss jurrat,delairi,bahaduri se na kabhi pehle na un k baad lertay huway hergiz nahi dekha jis tarah Hussain(r.a) ko dekha- Un k hamlay se un k daein baein k log iss tarah bhagtay jis tarah taqatwer bhairiye k hamlay se bhair bakriyan bhagti hain- (Tabri P#259) *Ayee Nida_e_Ghaib ke Shabbir Merhaba Is Hath k liye thi ye Shamsheer Merhaba *Ye Aabru ye Jang ye Toqeer Merhaba Dikhla di Maa k Dodh ki Taseer Merhaba Imam Paak un khunkhuwaron k majmay main Apni taighkhar Ashgaf k johar Dekha rahay thay- Aap(r.a) jis taraf Ghora berhatay safein ki safein kaat Daltay- dushman haibat zadah ho gaye aur hairat main aagaye- Algherz ibne saad aur us k musheeron ne ye dekh ker k Akelay Imam ne naamwaran_e_Kofa aur bahaduran_e_sham ki izzat ko khaak main mila diya hai tu ye tajweez ki k Imam per chaaron taraf se teeron ka meena bersaya jaye aur jab khoob zakhmi Ho jayein tu naizon ke hamlon se Tan_e_Naazneen ko hadaf banaya jaye- chunacha charon taraf se Imam Paak per naizon aur teeron se hamla ker diya- khabees abul hanuq ka teer App(r.a) ki Muqaddas Paishani per laga- Aap(r.a) chakra ker zameen per Gir Gaye- Abhi Aap(r.a) sanbhalny na paye Thay k sannan bin ans ne naiza maara k Tan_e_Aqdas mai paar hogaya- Shahzada_e_Konain Hazrat Sayedna Imam Hussain( رضي الله تعالٰي عنه ) Allah Taala ki Baargah main Sajda Raiz ho ker Shaheed ho gaye- (إِنَّا لِلّهِ وَإِنَّـا إِلَيْهِ رَاجِعونَ) shamsheer bakaf qatil ho khara aur Koi rahay Sajday mai Para kehti hai zameen_e_karb_o_bala iss Shan ka Sajda khail nahi Babakht Budnaseeb kholi bin yazeed ne aagay ber ker Ser_e_Anwer ko katna chaha, lekin iss per raisha(kapkapahat) tari ho gaya aur wo hut gaya, iss k bhai hashal bin yazeed paleed ne ghoray se uter ker Ser Anwer ko Jism Mubarak se juda ker k apnay bhai kholi k hawalay ker diya- Jab k dosri riwayat mai shimmer laeen ne apnay naapaak hathon se Rasool(Sallallahu Alaihi Wa,alaihi Wasallum) k Mehboob Nawasay k Ser_e_Anwer ko Jism_e_Nazneen se juda kya- Hazrat Imam Paak ki Umer Shareef us waqt 56 Saal, 5 Maah, aur 5 din ki thi- Iss Sadiq, Jaan Baaz ne Apnay Nana Jaan k Sath kya huwa Ahad Poora kya- Deen_e_Haq per qaeem reh ker Apna Kunba aur Apni Jaan Rah_e_Khuda mai Aesi Sabit Qadmi k sath nazer ki jis ki Misaal nahi milti- (udher Hooran_e_Jannat Firdos_e_Barein se Iss Jawanan_e_Jannat k Sardar ko jhank rahein thein- Hoz_e_Kousar ne Apnay thanday aur Shirein Jaam Iss 3 roz k Pyasay k liye tayyar ker rakhay thay- Anbiya,Oliya,Shuhda ki Arwah Rasool(Sallallahu Alaihi Wa,alaihi Wasallum) k Nawasay Sayed_ul_Shohda k istaqbal k liye Hama Tan Tayyar thein-) SALAAM Salam Tum pe A, Fatima k Noor_e_Aen Salam Tum pe A, Mola Ali k Dil ke Chain Sultan_e_Kerbala ko hamara Salam ho Janan_e_Mustafa ko hamara Salam ho Ya Hussain Ibne Ali Mushkil Kusha Aap k Sab Jaan Nisaron ko Salam
Posted on: Fri, 15 Nov 2013 12:34:24 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015