DAJJAL KYA HAI? PURA PADHNA DAJJAAL K MUTALLIQ MALOOMAT - TopicsExpress



          

DAJJAL KYA HAI? PURA PADHNA DAJJAAL K MUTALLIQ MALOOMAT HAI. 🌑DAJJAL QAYAMAT SE PAHLE ZAHIR HOGA. (MUSLIM SHARIF) 🌑DAJJAL IRAN K SHAHAR KHURASAN SE NIKLEGA. (IBNE MAJAH) 🌑DAJJAL US WAQT ZAHIR HOGA JAB LOG US SE BILKUL GAFIL HO CHUKE HONGE. (AHMAD) 🌑KISI BAAT PAR GAZABNAK HONA DAJJAL K NIKANE KA SABAB HOGA. (MUSIM SHARIF) 🌑DAJJAL BAHRE HIND K KISI NA MALOOM JAZEERE PAR ZANJEERON SE JAKDA HUWA HAI. (ABU DAWOOD) 🌑MADINE K YAHOODI GHARANE ME PAIDAA HONE WALA ‘ SAAF ’ DAJJAAL HAI JO PEHLE ISLAAM LAAYA BAAD ME MURTAD HO GAYA. DAJJAL KI KUNNIYAT IBNI SAYAAD YA IBNI SAAYID HAI (MUSLIM SHARIF) 🌑DAJJAL KI EK AANKH KAANI AUR USK SAR K BAAL GONGRAALE HONGE RANG SURKH AUR JISM BHAARI HOGA. (BUKHARI SHARIF) 🌑DAJJAL KI DONO AANKHON KE DARMIYAAN ‘KAAFIR’ LIKHA HOGA. (BUKHARI SHARIF) 🌑DAJJAL K SAR PE BUHAT ZYADA BAAL HONGE. (IBNE MAJAH) 🌑DAJJAL K PAS JANNAT AUR JAHANNAM DONO HONGE. US KI JAHANNAM JANNAT HOGI AUR JANNAT JAHANNAM HOGI. (MUSLIM SHARIF) 🌑DAJJAL K PAS PAANI HOGA JO ASAL ME AAG HOGI AUR AAG HOGI JO ASAL ME MEETHA PANI HOGA. (MUSLIM SHARIF) 🌑DAJJAL KE HUKUM SE AASMAAN SE BAARISH HOGI, ZAMEEN SE GHAAS, ANAAJ WAGAIRAH UGEGA JAANWAR PEHLE SE ZYADA DHOOD DENA SHURU KAR DENGE. (MUSLIM SHARIF) 🌑DAJJAL KE ZAAHIR HONE KE BAAD KISI KA IMAAN LANA ALLAH TAALA KE YAHA QABUL NAHI HOGA. (MUSLIM SHARIF) 🌑AADAM ALAIHISSALAM SE LEKAR QAYAMAT TAK FITN-E-DAJJAAL SE BADA FITNAA AUR KOI NAHI HOGA. (MUSLIM SHARIF) 🌑JO BHI SHAKHAS DAJJAAL KA ZAMANA PAYE WO DAJJAAL KE SAAMNE NA JAAYE. (ABU DAWOOD) 🌑FITN-E-DAJJAAL SE DAR DAR KAR MUSALMAN PAHADON ME CHUP JAYENGE. (MUSLIM SHARIF) 🌑DAJJAL DUNYA K HAR 1 SHAHER ME DAAKHIL HOGA SRIF DO SHAHRON K ALAWA MAKKAH MUKARRAMAH AUR MADINA MUNAWARAH. (MUSLIM SHARIF) 🌑FITN-E-DAJJAAL 1 SAAL 2 MAAH AUR 2 HAFTE HOGA. (MUSLIM SHARIF) 🌑IRAN KE EK SHAHAR ASFAHAAN SE 70000 YAHOODI DAJJAAL KA SAATH DENGE. (MUSLIM SHARIF) 🌑MOTE AUR CHODE CHAHRE WAALI BUHAT SE AAWAM DAJJAAL PAR IMAAN LE AAYENGI. (TIRMIZI SHARIF) 🌑KAAFIR AUR MUNAFIQ BHI DAJJAAL KA SATH DENGE. Kaafir Aur Munafiq bhi Dajjaal Ka Sath Denge. (MUSLIM SHARIF) 🌑AASMAAN SE NAZIL HONE KE BAAD HAZRAT ISA ALAIHISSALAM MUSLMANO KE SAATH MIL KAR DAJJAAL KE KHILAAF JIHAAD KARENGE. 🌑MUSALMAANO KO FATAH HOGI AUR DAJJAAL ISA ALAIHISSALAM K HATHON LADD KE MAQAAM PAR QATAL HOGA. (MUSLIM SHARIF) 🌑DAJJAAL SE JUNG KARNE KE LIYE MUSALMANO KA PADAV DAMISHAQ ( DAMASCUS ) K QAREEB ‘ GOTAH ’ KE MAQAAM PAR HOGA. (ABU DAWOOD) 🌑ISA ALAIHISSALAM DAJJAAL KO KHUD APNE TEER SE QATAL KARENGE. (MUSLIM SHARIF) 🌑DARYAA-E-URDUN PAR BHI DAJJAAL SE AHLE IMAAN KA MO’ARQAH HOGA. (TIBRANI) 🌑 DAJJAAL KE KHILAAF JIHAAD ME EK BHI YAHOODI ZINDA NAHI BACHEGA. (MUSLIM SHARIF) 🌑ISA ALAIHISSALAM K SATH MILKAR DAJJAAL K KHILAAF JIHAAD KARNE WALE MUSALMAANO KE LIYE JANNAT KI BASHAARAT HAI. (NISAAI) 🌑UMMATE MOHAMMADIYA KI AAKHRI JUNG DAJJAAL K KHILLAF HOGI. IS K BAD JIHAAD KHATAM HO JAYEGA. (ABU DAAWOOD) 🌑MADINAH MUNAWARAH KE SAAT RAASTON PAR ALLAH DO DO NIGRAAN FARISHTE MUQARAR FARMAA DEGA JO DAJJAAL KO MADINA MUNAWARH ME DAAKHIL NAHI HONE DENGE. (BUKHARI SHARIF) 🌑MAKKAH MUKARRAMAH ME BHI DAJJAAL DAAKHIL NAHI HO SAKEGA. (MUSLIM SHARIF) 🌑AHLE IMAAN KO ALLAH FITN-E DAJJAAL SE MEHFOOZ RAKHEGA. (MUSLIM SHARIF) 🌑ALLAH TAALA KE FAZAL SE ANPAD AHLE IMAAN BHI DAJJAAL KI PESHANI PAR KAAFIR LAFZ PADH KAR USE PEHCHAAN LENGE. (MUSLIM SHARIF) 🌑JO LOG DAJJAL KO PEHCHAAN KAR APNE IMAAN PAR QAAYIM RAHANGE UN PAR DAJAAL KA KOI FAREB NAHI CHALEGA. (MUSLIM SHARIF) 🌑DAJJAAL 1 MOMIN AADMI KO AARE SE CHEER KAR DO TUKDEY KAR DEGA AUR ZINDA HONE KA HUKUM DEGA AUR DOBRA QATAL KARNA CHAHEGA PAR ALLAH PAAK US MOMIN KO PEETAL KA BANA DEGA AUR DAJJAAL USE QATAL NAHI KAR PAAEGA. (MUSLIM SHARIF) 🌑FITN-E DAJJAAL SE BACHNE WALE LOGON KO ALLAH DUNIYA ME HI ISA ALAIHISSALAM KI ZUBANI BULAND DARJAAT KI BASHARAT DEGA. 🔘🔘🔘🔘🔘🔘🔘🔘🔘 YA ALLAH MAI TERI PANNAH MAANGTA HU AZAABE QABAR AUR FITN-E-DAJJAAL SE. AAMEEN 🔗DAJJAAL K MUTALLIQ ITNI MUKAMMAL MALUMAT AHADEES K HAWALE K SATH HAI. ➖➖➖➖➖➖
Posted on: Sun, 23 Feb 2014 14:32:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015