DATED 29-09-2013- NEWS - Dosto Kal mai abhi jis terah NRHM NURSING - TopicsExpress



          

DATED 29-09-2013- NEWS - Dosto Kal mai abhi jis terah NRHM NURSING VARG 2 bhago mai vibhajit hai us par maine kal shaam DEVARAM & OTHERS ke sath Meeting ki , meeting mainlt in agenda par thi 1. Jo 22 jile aaj ki date mai strike par baithe hai , un jilo ne NRHM karmio ke liye DEVARAM ji ka kya paksh hai , 2. Aur baki bache 9 jilo ke sansarbh mai unka kya kehna hai, 3. Bharti agar aage jati hai , aur Aanchar sahita lagne ki surat mai strike par biathe NRHM candidate ki joining kaise ho payegi , unka bhavisha surksit rakhne mai kya kiya ja sakta hai , 2. Jo Supreme court mai 30% ke liye SLV dayar ki gayi usme kya bhavisya hai NRHM candidate ka, 3. BHARTI ADHIKARI+ SARKAR supreme court ke decision ke baad kitne dino mai bharti niptayenge, STRIKE RELATED : 1. Devaram ji ke clear kiya , jab 2 SEP ko bharti par stay laga , tab wo jaipur mai hi the aur STAY ki jankari BHARTI ADHIKARI ko di gayi , aur is samband mai , dusre pakso se bhi baat ki gayi , ki court mai case laga hai aur isme humko DASTAVEJ present karne honge taki bonus marks ko surksahit rakha jaave , par dusre paksh ne isko thukra diya aur kaha ki COURT ki prakriya mai wo visvas nahi karte , unhone spast kiya ki STRIKE ke liye kisi bhi 33 jilo ki meeting nahi bulayi gayi , na hi usme unko aane ko kaha gaya , aisi surat mai wo STRIKE mai wo unka samarthan kaise dete , unke hisab se STRIKE bina planning ke sirf 1 division ke ghosna karne ko wo sahi nahi mante , sabhi 33 jilo ke prathinhi agar ikate hokar joint decision lete wo sahi prakria hoti , unke hisab se strike ka NYAIK PRAKRIA par koi prabav nahi padta , aise mai strike karna na karna ke nyaylaye ke decision par farak padna possible nahi hai , aur na to unhone strike ki ghosna ki aur nai wo isko khatam karne ko lekar koi ghosna kar sakte hai . Mera is samband mai Devaram ji ke kehna tha , yeh sahi hai strike bina planning , ek aveg mai liya gaya decision tha , par aaj ki thiti mai jaha prakria SUPREME COURT mai chali gayi hai , aise surat mai agar supreme court de decision late hota hai , ya 30% reject hota hai , aur 5-10-15 ke hiad se list nikalti hai , for se counciling hogi , so process delay hoga . aanchar sahita agle 2 week mai kabhi bhi lag sakti hai , aanchar sahita lagne ke baad logo ki joining election commition ke decision ke baad hi sambav hai , aise surat mai unke bhavisya ke sath khilwad ho satka hai , ve log jinki ajivika ONLY NRHM SALARY par chalti hai , service break hone ki surat mai unka bhavisya khatre mai pad sakta hai , LEADER ka kartavya hai wo FATHER ki bhima nibhaye , jis terah se ek baccha galti karta hai FATHER unko daat sakta ha , par unko MAUF karna zaruri hai , Devaram ji is samband mai mere REQUEST accept ki aur kaha ki STRIKE period ki CL santion ke liye MD MADAM + ANYE ADHIKARIO ke request kar lenge , SO ALL 22 DISTRICT LEADERS se request hai jo STRIKE par hai MONDAY or TUESDAY ko jaipur aakar ek joint meeting karen aur ek decicion par aave , ki aaj ki priththi mai jaha case SUPREME COURT mai gaya hai , aise surat mai STRIKE kar kis par davab banane ki baat kar rakhe hai + aanchar sahita 10 or 14 october ke bich kabhi bhi lag sakti hai aise surat mai aachar sahita se pehle joinng lena zaruri hai nahi to serive break ka khatra aa sakta hai , chuki abhi vakt hai ek WISE & FAIR decision liya za sakta hai . CASE SUPREME COURT & FINAL MERIT LIST :- Is samband mai Devaram ji detail mai charcha hui , unhone bataya ki kis terah se sirf aur unke dwara collected document ki vajah se bonus marks mil paye warna SIKSHA SAHAYAK VAKIL + NAREGA VAKIL jo bina preparation ke aaye the agar unke bhase bathe rehte bonus marks ZERO bhi ho sakte the , agar wo sab mai likne jau kaise kaise sab hua to shyad 2 gnante mai likhta hi rahu , par mai asvast hua ki court case ke samband mai DEVARAM and unke sahyogio ka yogdan nischit rup se raha hai , waise bata du kaphi document maine bhi provide kiye the, Ab point aata hai ki SUPREME COURT mai jo sarkar ne SLV dayar ki uska nirnae kab tak hoga aur LAZY BHARTI ADHIKARI kya usko time par karva payega , to yeh clear hua ki SVL ka faisla ek hi hearing mai hoga , ya to 15% BONUS marks par stay aayega ya reject hoga , REJECT hone ki surat mai 15% ke hisab se merit banegi , isme counciling ke liye aur canidate ko bulvaya jayega 20 din bhi lag sakte hai , aur STAY aaya to BHARTI ADHIKARI NEXT 2 DIN MAI MERIT NIKAL DENGE AUR BHARTI KARVA DENGE. MANPHOOL POONIA NAGAUR RAJASTHAN NRHM UNION
Posted on: Sun, 29 Sep 2013 14:55:29 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015