DNG. Insaan is duniya me aapne kiye hue karam ke hisaab se phal - TopicsExpress



          

DNG. Insaan is duniya me aapne kiye hue karam ke hisaab se phal pata hai. Wo phal sansarik phal hota hai. Lekin prabhu paramatma is karam ke adhin nahin hai. Wo sarbopari gunateet hai. Samaj ke hisab se dekha jae to karan 3 prakar ke hai. Sat,raj aur tam. Lekin prabhu in teeno gun se bahar hai isliye wo nirgun hai. Na koi sat karam karke usko pa sakta hai, na raj na tam. Kyun ki jo karam karta hai wo karam ke bandhanoo me padta hai. Kahin na kahin sukhm abhimaan man me aata hai. Isliye ek jo sant hua karta hai wo aapni sare karam ko sadguru ko samarpit kar deta hai. Aap ne man se karta bhav ko nikal kar sadguru ke charanoo me aapne aap ko puran roop me samarpit kar deta hai aur wahin suru hota hai adhyatmik jeeban ka surwat. Uske baad uske jeevan me alag tarike ka 3 karam aata hai. Satsang, simran aur seva. Pehla dono karam ke baad jitna bhi karam is duniya me hota hai, agar seva bhav se kiya jae to prabhu ko praban hoti hai. Us karam me surbaat me bhi prabhu, madhya me bhi prabhu aur ant me bhi. Phir us jagah par mein nahin rahta hai aur keval hi keval tu hi rahta hai. Aur jahan mein hun wahan tu nahin aur jahan tu hai wahan mein nahin. Jab tu jeevan me aata hai to andhkar meet jata hai aur insaan prakash me bicharan karta hai aur dusroon ko bhi is prakash ke or prerit karta hai. Datar kripa kare sabko sumati de taki hum sab jeevan me tu ko basa pae aur sansoo ki ladi tutne se pehle , aapna ye kam karke is lok ki tatha parlok ki yatra ko safal bana paye. Sadh sangat jee DNG.
Posted on: Sat, 24 Aug 2013 03:48:48 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015