DO U KNW MNG OF URDU WORDS IN UNVRSTY TRANA....... ye mera - TopicsExpress



          

DO U KNW MNG OF URDU WORDS IN UNVRSTY TRANA....... ye mera chaman hai mera chaman, maiN apne chaman kaa bulbul huuN sarshaar-e-nigaah-e-nargis huuN, paa-bastaa-e-gesuu-sumbul huuN. (chaman : garden; bulbul : nightingale; sarshaar : overflowing, soaked; nigaah : sight; nargis :flower, Narcissus; paa-bastaa : embedded; gesuu : tresses; sumbul : a plant of sweet odor) ye mera chaman hai mera chaman, maiN apne chaman ka bulbul huuN Jo taaq-e-haram meN roshan hai, vo shamaa yahaaN bhii jaltii hai is dasht ke goshe-goshe se, ek juu-e-hayaat ubaltii hai ye dasht-e-junuuN diivaanoN kaa, ye bazm-e-vafaa parvaanoN kii ye shahr-e-tarab ruumaanoN kaa, ye Khuld-e-bariiN armaanoN kii fitrat ne sikhaii hai ham ko, uftaad yahaaN parvaaz yahaaN gaaye haiN vafaa ke giit yahaaN, chheRaa hai junuuN kaa saaz yahaaN (taaq-e-haram : vault in the sacred territory of Mecca; roshan : glowing; shamaa : flame; dasht : wilderness, desert; goshaa : corner; juu-e-hayaat : stream of life; junuuN : frenzy; bazm : gathering; vafaa : faithfulness; shahr-e-tarab : city of mirth; Khuld-e-bariiN : sublime paradise; armaan : hopes; fitrat : nature; uftaad : beginning of life; parvaaz : flight; saaz : song on an instrument) ye mera chaman hai mera chaman, maiN apne chaman ka bulbul huuN is bazm meN teGheN khenchiiN haiN, is bazm meN saGhar toRe haiN is bazm meN aanKh bichaa’ii hai, is bazm meN dil tak joRe haiN har shaam hai shaam-e-Misr yahaaN, har shab hai shab-e-Sheeraz yahaaN hai saare jahaaN kaa soz yahaaN aur saare jahaaN kaa saaz yahaaN zarraat kaa bosaa lene ko, sau baar jhukaa aakaash yahaaN Khud aankh se ham ne dekhii hai, baatil kii shikast-e-faash yahaaN (teGh : swords; saGhar : goblets; shaam-e-Misr : evenings of Egpyt; shab-e-Sheeraz : nights of Sheeraz, a famous city of Iran; soz : pain; zarraat : dust; bosaa : kiss; baatil : evil; shikast-e-faash: clear defeat) ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hun jo abr yahaaN se uThThega, vo saare jahaaN par barsegaa har juu-e-ravaan par barsegaa, har koh-e-garaaN par barsegaa har sard-o-saman par barsegaa, har dasht-o-daman par barsegaa Khud apne chaman par barsegaa, GhairoN ke chaman par barsegaa har shahr-e-tarab par garjegaa, har qasr-e-tarab par kaRkegaa (abr : cloud; juu-e-ravaan : flowing streams; koh-e-garaaN : big mountains; sard-o-saman : open and shelter; dasht-o-daman : wild and subdued; qasr-e-tarab : citadel of joy) ye abr hameshaa barsaa hai, ye abr hameshaa barsegaa ye abr hameshaa barsaa hai, ye abr hameshaa barsegaa ye abr hameshaa barsaa hai, ye abr hameshaa barsegaa barsegaa, barsegaa, barsegaa…………………..
Posted on: Sun, 16 Nov 2014 08:12:52 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015