Dajjal Kya Hai » Dajjaal Qayamat Se Qabal Zaahir Hoga. – - TopicsExpress



          

Dajjal Kya Hai » Dajjaal Qayamat Se Qabal Zaahir Hoga. – (MuslimSharif)» Dajjaal Iran K Shaher Kharaasaan Se Niklega. –(IbneMaajah)» Dajjaal Us Waqat Zaahir Hoga Jab Loog Us Se Bilkul Gaafil Ho Chukey Hoonge. -(Ahmad)» Kisi Baat Par Gazabnaak Hona Dajjaal Ke NikalneyKeSabab Baneyga (Muslim Sharif)» Dajjal Bahar-e-Hind Ke Kisinaa Maloom Jazeerey ParZangeeron Se Jakdaa Howa Hai. – (Abu Dawood) » Madeenay Ke Yahoodi Gharane Me Paidaa HoneWala‘Saaf’ Dajjaal Hai Jo Pehle Islaam Laaya Baad MeMurtadHo Gaya, Dajjaal Ki Kuniyat Ibni Sayaad YaIbni SaayidHai. – (Muslim Sharif) » Dajjaal Ki Aik Aankh Kaani Aur Usk Sar Ke BaalGongraaley Hoongey Rang Sorokh Aur Jism BhaariHoga.– (Bukhari Sharif)» Dajjaal Ki Dono Aankhon Ke Darmiyaan ‘Kaafir’likha Hoga. – (Bukhari Sharif)» Dajjaal Ke Sar Pe Buhat Zyada Baal Honge. – (IbneMaajah)» Dajjaal Ke Paas Jannat Aur Jahannam Dono Hoonge UsKi Jahannam Jannat Hogi Aur Jannat Jahannam Hogi. –(Muslim Sharif)» Dajjaal Ke Paas Paani Hoga Jo Asal Me Aag Hogi AurAag Hogi Jo Asal Me Meetha Paani Hooga.– (MuslimSharif)» Dajjaal Ke Hukum Se Aasmaan Se Baarish Hogi, ZameenSe Ghaas, Anaaj Wagairah Ugey Ga Jaanwar Pehle SeZyada Dhood Dena Shooro Kar Dengey. – (MuslimSharif)» Dajaal Ke Zaahir Hone Ke Baad Kisi Ka Imaan LanaAllah Ke Yahaan Qabool Nahi Hoga. - (Muslim Sharif)» Aadam (Alaihi Salaam) Se Le Kar Qayamat Tak Fitn-e-Dajjaal Se Bada Fitnaa Aur Koi Nahi Hoga.– (MuslimSharif)» Jo bhi Shakhas Dajjaal Ka Zamana PaayeWo Dajjaal Ke Saamne Na Jaaye. – (Abu Dawood)» Fitn-e-Dajjaal Se Dar Kar Musalmaan Pahaadon MeChup Jaayenge. (Muslim Sharif)» Dajjaal Duniya Ki Har Aitkshaher Me Daakhil HogaSrif Do Shahron Ke Makkah Mukarramah Aur MadeenatulMunawarah. – (Muslim Sharif)» Fitn-e-Dajjaal 1 Saal 2 Mahh Aur 2 Hafta Hogi -(MuslimSharif)» Iran Ke Aik Shaher ”Asfahaan” Se 70000 Yahoodi Dajjaal Ka Saath Dengey. – (Muslim Sharif)» Motey Aur Chodey Chahrey Waali BuhatSeAqwaamDajjaal Par Imaan Ley Aayengi. – (Tirmizi Sharif)» Kaafir Aur Munafiq bhi Dajjaal Ka Saath Denge. –(Muslim Sharif) » Aasmanse Nazool Hone Ke Baad Isaa (AlaihiSalaam)Musalmaano Ke Saath Mil Kar Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Karenge. Musalmaano Ko Fatah Hogi aur Dajjaal Isaa(Alaihi Salaam) Ke Haathon ”Ladd” Ke MaqaamparQatal Hoga. – (Muslim Sharif)» Dajjaal Se Jung Karne Ke Liye Musalmaano KaPadaawDimashaq (Damascus) Ke Kareeb ‘Gotah’ Ke MaqaamParHoga (Abu Dawood) » Isaa (Alaihi Salaam)Dajjaal Ko Khud Apne Teer SeQatal Karenge. – (Muslim Sharif)» Daryaa-E-Urdun Par bhi Dajjaal Se Ahle Imaan KeMo’arqah Hoga. – (Tibrani)» Dajjaal Ke Khilaaf Jihaad Me Aik bhi Yahoodi ZindahNahi Bach Paayega. – (Muslim Sharif) » Isaa (Alaihi Salaam) Ke Saath Mil Kar Dajjaal KeKhilaafJihaad Karne Wale Musalmaano Ke Liye Jannat KiBashaarat Hai. – (Nasayee)» Ummat-e-Mohammadiyah Ki Aakhri Jung Dajjaal KeKhillaf Hogi Is Ke Baad Jihaad Khatam Hojayga. – (AbuDaawood)» Madeenah Munawarah Ke Saat Raaston Par AllahDo DoNigraan Farishtey Muqarar Farmaa Dega Jo Dajjaal KoMadeenan Munawarh Me Daakhil Nahi Hone Dengey. –(Bukhari Sharif)» Makkah Mukarramah Meb Dajjaal Daakil Nahi HoSakega. – (Muslim Sharif)» Alhe Imaan Ko Allah Fitn-e-Dajjaal Se MehfoozRakhega. – (Muslim Sharif) » Allah Ke Fazal Se Anpad Ahle Imaan bhi Dajjaal KiPaishani Par ‘Kaafir’ Lafaz Pad Kar Use PehchaanLeynge.– (Muslim Sharif)» Jo Loog Dajjal Ko Pehchaan Kar Apney Imaan ParQaayim Rahange Un Par Dajaal Ka Koi Fareb Nahi Chalega. – (Muslim Sharif)» Dajjaal Aik Momin Aadmi Ko Aar Se Cheer Kar DoTukdey Kare Ga Aur Zinda Hone Ka Hukum Dega AurDobra Qatal Karna Chahey Ga Magr Allah Paak UsMominKo Peetal Ka Bana Dega Aur Dajjaal Use Qatal Nahi Kar Paayega. – (Muslim Sharif)» Fitne Dajjaal Se Bachne Wale Loogon Ko AllahDuniyaMe Hi Isaa (Alaihi Salaam) Ki Zubani Buland Darjaat KiBasharat Dega – (Ibni Maajah)» Fitn-e-Dajjaal Se Bach Neki Dua ‘Ay Allah Me Teri Pannah Maangta Hoon Azaabi Qabar Se, Fitne DajjaalSeZindagi Aur Maut Ke Fitno Se, Gunah Se Aur Karaz Se.–(Bukhari,MuslimSharif )» Surah Kahaf Ki Pehli Dus Aayaat Ko YaadKar Ne WaleShakhas Ko bhi Allah Fitne Dajjal Se MehfoozRakhega. –(Abu Dawood)Allah Hum Sab Ko Dajjal Ke Fitne Se Bachaye …
Posted on: Wed, 06 Nov 2013 03:50:54 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015