Dhan Nirankar Ji All Saints. vastvik Anand K Bhaav Hi Anand - TopicsExpress



          

Dhan Nirankar Ji All Saints. vastvik Anand K Bhaav Hi Anand Hota Hai, Ek Khushi Ek Umang Jo Insaan K Mann Ko Tann Ko Tarotaza Bana Deti Hai. Tabhi Jab Koi Uske Mann Ko Koi Baat Achhi Lagti Hai To Wo Sehaj Bhaav Hi Keh Uthta Hai " Wah Ji ! Aaj To Anand Aa Gyaa Ji ." Ayiye Jara Sochey K Aaj K Iss Samay Mein Anand Ki Kya Durdshaa ho gayi Hai...?? SadhSangat Ji Aaj K Iss Samay Mein Anand Ka Mool Roop Shaayad Badal Hi Gyaa Hai. Insaan Ko Doosron K Dukh Mein Jyada Anand Aaney Lagaa Hai. Doosron Ko Takleef Mein Dekhkar Usko Jyada Anand Aney Lagaa Hai. Doosron Ki Baaton Ko Galat Kehkar Apni Baaton Ko Sahi Tehraakar Usko Anand Aney Lagaa Hai. Vastvik Roop Se Dekha Jaye To Anand Ki Aisi Paribhasha Kabhi Nahi Rahi Hogi Jaisi K Aaj K Iss Daur Mein Ho Chuki Hai. Aayiye Thoda Doosre Roop Mein bhi Iss Sikkey ke pehlu Ko Dekh Liya Jaye... !! Yeh Sentence Aaj K Iss Daur Mein Kisi bhi Awastha Mein Humein sansaar mein Jyaada Sunne Ko Nahi Milta Hoga.....Chahey Wo Dukh Ho ya Sukh..... "Anand Aa Raha Hai " " Satguru Ki Badi Kirpa Hai Anand Mein Hain ji" Sadh Sangat yeh Lines Kewal Aur Kewal Ek Prabhu Premi Jo Har Waqt Iss Mailk Ki Razza Mein Rehta Hai Wahi Keh Sakta Hai. Satguru Babaji Ki Aseem Kirpa Se Aaj yeh Shabad Kehne Ka Subhaagey Hum Sabko Praapat Huya Hai, ji. Kyuki Satguru Apne Gursikh Ko Aisi Awastha Pradaan Kar Deta Hai Jis se Gursikh Ko yeh Baat Samajh Mein Aa Jaati Hai Ki Dukh Aur Sukh Jivan Ke Do Pehlu Hain , Agar Aaj Sukh Hai To Kal Dukh Hoga. Isliye Gursikh Iss Malik Ka Oat Aasra Lekar Apna Jivan Ka Guzara Karta Hai , Sukh Mein bhi Iski Razza Maanta Hai Aur Dukh Mein bhi Iski Razza Manta Hai , Iss tarah Se Wo Har ek Condition Mein Stable Rehta Hai. Aur Har Waqt yahi Bolta Hai.... " Anand Aa Raha Hai ." Har Baat Mein Iss Prabhu Ki Marji Samajhkar Hamesha Hi Anandit Hota Hai, Aur Vastvik Roop Se yahi Anand Hi Anand Hota Hai. Ek Hindi Film Dekhne Ka Mauka Mila Jiska Name Tha "Anand". Isme Late Sh. Rajesh Khanna Sahib Ji Nayak K Roop Mein they Film Ka Jo Main Maqsad Director Ne Darshaaya Ki Doosron Ko Anand Dena Hi Ek Paramanand Hota Hai. Iss Film K Nayak Ko Pata Hota Hai K Uske Paas Ab Jyada Waqt Nahi Hai Aur Usko Jalad Hi Marr Jana Hai, yeh Baat Jaanta Huya bhi Wo Sab Mein Anand Baant taa Hai, Sab Mein Khushi Bharta Hai. Sab Mein Khushi Se Jeeney Ki Umang Ko Paida Karta Hai. To Ayiye Sadh Sangat Aaj Ka Insaan bhi Iss Mool Se Pichad Raha Hai, Vaastvik Anand Se Koson Door Wo Iss Mayavi Jaal Mein Fasskar Apna Jivan Barbaad Kar Raha Hai, Jaha Wo Doosron Ka To Nuksaan Kar hi Raha Hai vahin Apna bhi Indirectly Way Se nuksaan Kar Raha Hai. Issliye Samay-Samay Par Guru, Peer, Paigemberon Ne bhi Insaan Ko yahi Shiksha Di Hai Ki Jis Anand Ko Prapat Karne Ke Liye Insaan Saari Umar Lagaa Deta Hai Woh Kahin Aur Nahi Uske Apne Mann Mein Hi Hai. Jarurat Hai To Bus Iss Mann Ko Badalne Ki , Issmein Prem Pyaar Bharne Ki Jab Prem Iss Mann Mein Dhal Jayega To Usi Din Se Insaan Keh Uthega..... " Wah Sach Mein Anand Aa Raha Hai ji." Vaastvik Roop Se bhi Anand Ko Hum Do Parts Mein Dekhtey Hain. Sharirak Anand aur Atmik Anand, Sharirak Anand Sada Rehne Wala Nahi Hota Kyunki Sharir Hi Unstable Hai. Atmik Anand Sadev Rehne Wala Hota hai, Kyunki yeh Pramatma Se Linked Hota Hai. Jab Atma Ko Iss Brahamgyan Ki Daat Mil Jaati Hai, Jab Atma Apne Mool Roop Pramatma Ko Jaan Leti Hai To Issko Fir Paramanand Mil Jata Hai, Jo Har Parkar K Anand Se Upar Hota Hai, Jiska shabadon dwara Varnan Nahi Kiya Ja Sakta. Tab Ek Hi Awaz Aati Hai Mann Se... " Datar Apki Kirpa Se Hi Aaj Anand Hai ." Sadhsangat Ayiye Satguru Babaji Se Ardaas Karen Jo Aapji ne yeh Anand Baksha Hai Sangat Ke Roop Mein yeh Hamesha Hi Aise Milta Rahey Aur Jaisa Aapji Jivan Chahtey Ho vaisa Hi Bann Jaye. DHAN NIRANKAR JI. Source: mah.sandeep arora.....(deva de dev hardev ....whtsapp group)
Posted on: Mon, 09 Sep 2013 12:57:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015