Dil se padhe aur amal karain>> . Islam mein kisi anjan ladki ko - TopicsExpress



          

Dil se padhe aur amal karain>> . Islam mein kisi anjan ladki ko ghoorna, phone par ya saamne romantic baat karna, milna, gift dena, kiss karna, ishare karna (yaani usse affair karna ya usko pareshan karna ya usse friendship karne ki koshish karna) sab mana hai. Yeh sab gunah ka kaam hai aur Islam mein mana hai. Koi bhi ladki tab tak haram hoti hai, jab tak ki us ladki se aapki shadi na ho jaae. Bhale hi agar usse aapki mangni (engagment) ho gai ho to bhi ye sab kaam gunah hai, Jab shadi ho jaae to sab halal ho jaata hai. Lekin ab kisi se pyar ho hi gaya hai to usko dil mein rakho aur Allah se dua karo ki Allah meri isse shadi karwa de. Uske yaha shadi ke liye rishta bhejo. Lekin ladki ko shadi se pehle dekhna, phone par ya saamne baat karna, milna, gift dena, kiss karna, ishare karna sab mana hai. Islam mein kisi jawan ladki ka ek ajnabi ladke se bagher kisi zaruri kaam ke baat karna mana hai (baat bhi kare to akele mein na kare, koshish kare ki parde ki aad mein se kare. Hamare Sahabiyat aur Hamari Maa (Hazrat Muhammad Sallallahu alyhiwasallam ki biwiya) se zyada paak daaman aur imaan wali kaun ho sakta hai. Lekin Allah ne Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ko dusre logo ko yahi baat batane ko kaha ki ek baligh ladka aur baligh ladki apas mein mulakat na kare. Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke kisi bhi ladke ki ek ladki par anchahe mein nazar padhti hai to woh nazar maaf hai, lekin jaan karke kisi ladki ko dekhna gunah hai. Ek baar ek sahabi jo ki naabina (blind) the, Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) se milne ke liye aae. Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ne apni biwi se farmaya ki aap parde ke peeche chale jaiye, unhone pucha ki ye to naabina (blind) hain, Hazrat Muhammad (Sallallahu alyhiwasallam) ne jawab diya ki ye naabina (blind) hai to kya hua, aap to aankh waali hain. Kuch log yeh samajhte hain ki ladki ko hi parda karna hai, lekin islam mein ladko ko bhi apni aankho ko gunah se bachane ko kaha gaya hai ki tum bhi kisi ladki ko na dekho. ALLAH sabhi behno bhaiyo ko ispar amal karne ki toufiq ataa farmaye AAMEEN...
Posted on: Sun, 29 Sep 2013 16:12:27 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015