Do Kadam Chalkar Socha Kyon Na Apni Hi zindagi Ko Aazmaaya - TopicsExpress



          

Do Kadam Chalkar Socha Kyon Na Apni Hi zindagi Ko Aazmaaya Jaaye Chot Khaakar Rote To sab Hai Chot Khaakar Bhi Muskuraya Jaaye Asaan Nahi Hai yeh Par Itna Mushkil Bhi Nahi!!! Zaroori Nahi Inn Aankhon Ko Humesha Se Rulaaya Jaaye Faasle Badhte Badhte Bas Badhte Hi Chale Gaye!!!! Jin Rishto Se Kuch Haasil nahi Unn Rishto Ko Bhi Nibhaya Jaaye Tu Hardum Salaamat Rahe, Yeh Dua Hum Aaj Bhi Karte Hai!!! Zaroori Nahi Tujhko Yeh lafzon Mein Batlaaya Jaaye Khel Mukaddar Ka Kaho Yaa Kaho Isse, Kuch Badnaseebi Haaton Ke Lakeeron Ki!! Kaash!!!!Zindagi ke Kuch Beete Hue Lamho Ko phir Se Churaya Jaaye Kuch Palon Ko Saath Jodkar Zindagi ka Naam Diya Humne Unn Palon Ko Hi Ab Zindagi Ka Hissa Banaya Jaaye Duniya Ke Bheed Mein Kahi Milo To Muskuraakar Milo Aisa Naa Ho ke Ek Duje Ko Dekhkar Nazrein Apni Jhukaya Jaaye Aye dost apni Zindagi Ke Lamho Ko Zinda-Dilli Se Jeeo!!! Kuch Lamho Ko Hi Ab Zindagi kyu na Banaya .....!!!!
Posted on: Sun, 20 Oct 2013 03:40:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015