Dr Abdul Qadeer khan 27 april 1936 ko abdul ghafoor khan ke ghar - TopicsExpress



          

Dr Abdul Qadeer khan 27 april 1936 ko abdul ghafoor khan ke ghar Bhopal mein paida hoye. Hosh sambhala to taleem se nata jor liya. Primary pass karne ke bad ajmeer high school bhopal mein dakhla liya. Owail hi umar mein hi mazhabi aur taleemi mahool ne inn ke ander mazhab se aqeedat aur ilaam se muhabbat ki shama roshan kar di jis ki tab naak kirno mein inn ka safar jari wa sari hai. Ajmer high school ke aksar asatzah alama iqbal ke madha aur Quaid-E-Azam ke aqeedat mand they. Falsafa iqbal ko inn ke zehan ke andar rasikh karne mein iss school ke asatzah ka bara kaleedi kirdar hai. Inhoo ne apne shagirdo ba-shamol Abdul Qadeer Khan par iqbal ke falsafa khoodi aur tasveer marad momin ke gehray nakoosh sabat kiye. Inn ke walid ne doraan mulazmat musalmanu ke barey mein hinduo ke mutasibana rowaiye ko barey kareeb se daikha tha jis door mein Bhopal mein moqeem they, inn dinu anfaradi shour ki jagha ijtamai shour paida horaha tha aur muslim riyasat Bhopal ke nawab janab hameed ullah khan aur alama iqbal ke qareebi talukaat ne musalman hind mein waza toor par apni tanzeem nu aur islami nishat saniya ka jazba bedaar kardiya tha. Iss liye wo bhi iss tehreeq se mutasir hoye baghair na reh sakey. Wo shehar mein master jalil sahib, Dr, Hashim sahib aur Dr, gibrail ke pas beth jate. Dr, Abdul Qadeer Khan par Bhopal ke mahool aur apne walid ke jazbaat wa ehsasaat ne bhi khass asar dala. Inhi baton ne in ko Pakistan ka shedaai bana diya aur inho ne Pakistan aaney ka iradah kar liya, magar abhi taleemi marhaley na-mukamal they. Walid ke kehne par wo metric tak wahien ruk gaye. April 1952 mein metric ke imtehaan ka aghaz hone wala tha. Jab dakhla baraye imtehan ka waqat aya to unki umar aik maah kam nikli. Ajmer high school ke head master janab Muhammad Zaki siddiqui ne inn ki taleemi kabliyat ke paish nazar inn ka aik saal zaya karna munasib na samjha aur unki tareekh paidaish 27 april 1936 ki bajaye 1 april 1936 likhwadi iss tarha asatzah ki shafkat aur muhabbat ne inn ke dil mein ghar kar liya. Abdul Qadeer Khan bachpan hi se nemaz rozay ke paband they. Wo masjid mein ba-qaidgi se azaan bhi dete they. Hasoole ilaam ka shok inn ki ghutti mein tha. Parhaai ke ilawa inhain patang bazi , hokey kheelne aur fishing ka bara shok tha wo barey achey teeraki bhi they. Bhopal jheelo ki sar zameen hai. Inhain islami tareekh se bhi bara shaghaf tha. Mulana abdul hakeem sharar aur naseem hijazi inn ke pasandedah nawol nigar they. Taqseem hind ke baad bigartey hoye halat ke paish nazar Dr, Abdul Qadeer Khan ke walid ne apne khandan ko Pakistan ki taraf hijrat ka hokum de diya. 1947 mein in ke 2 barey bhai aur behnain Pakistan agaye aur Karachi mein muqeem hogaye jab-ke 1950 mein in ke (3rd) teesarey bhai bhi Pakistan chale aye. Abdul Qadeer khan ne 1952 mein metric ka imtehan aizaz ke sath pass kiya. Barey bhai ne inhain bhi bula bheeja, magar wo apne walid aur walida ko Bhopal mein tanha chor kar jane ke haq mein na they, magar walidain ki sakht sar zinsh par wo majburan tan tanha apne khuwabo ki sar zameen Pakistan ki taraf chal parey. Inn ki umar 16 baras thi. Jab unho ne hijrat ki aziyat nak masaib jheelay. Ajmer se mona bao tak rail ke zarye safar kiya. Hindu police ne in ke sath toheen ameez salook kiya aur in se inka qalam tak cheen liya. Rail ke safar ke ikhtitam par 7,8 kilo meter ka safar rigistani ilaqey ka tha. Inho ne nangay pao tapti rait par ye safar tay kiya. Sir par kitabo ka sandok tha, in ke pao par chahley ubhar aye magar rukey baghair wo Pakistan ke qayam ke 5 saal bad 15th August 1952 ko Pakistan aye. Pakistan mein aaney ke bad inho ne Karachi ke mashoor taleemi adarey D-J Scince College mein F-S-C ke liye dakhla le liya. 2 sall bad F-S-C Ka imtehan barey aizaz ke sath pass kiya inhain bartania mein aala taleem ke liye scholarship ki paish kash hoi, magar inho ne yahi taleem jari rakhne ka faisla kiya aur Karachi university mein dakhla le liya. Jahan se inho ne BSC ki degree hasil ki. Bad azaan inspectors in wa pemana jaat mukarar hoye. 1956 mein Bhopal mein in ke walid muhtaram ka intikaal hoa. Iss bohut bare sadmey ko inho ne barey sabar wa tehamul ke sath bardasht kiya. Abdul Qadeer Khan ne muhakma naap tol mein batoor inspector owzan wa pemana jaat apne faraiz bari emaandari se ada kiye, magar ye mulazmat in ke meelan taba ke sara sar khilaf thi. Iss liye inhain jesehi dubarah scholarship ki paish kash hoi, to unho ne bila rad wa kad ye arhaai saala mulazmat chor di aur aala taleem key liye Europe ke liye rawana hoye. August 1961 mein wo Pakistan se koch kar gaye. Maghrabi germani ka muluk inn ki manzil bana. In ka iradah falzat yani dharat kari (Matallurgy) mein aala aur jaded taleem ka hasool tha. Inho ne maghribi germani ke mashoor technical university Charlatan burg mein dakhla liya aur 2 saal tak taleem hasil ki. Yahein inn ki mulekaat Henny se hoi. Ye mulekat donu ki shadi ka paish kheema sabit hoi aur Henny begum Qadeer ban gain. Begum Qadeer khan ka taluk Holland se tha aur inn ke walidain Hague mein mukeem they, chu-nancha wo Holland chalay gaye aur technological university Delft mein dakhla le liya. Iss university mein mukaami tulba ko bhi owsatan sarey 6 saal se 7 saal tak tadrees wa tehkiq karna parti hai magar Abdul Qadeer Khan ne apni khudadad salahiyato aur zahanat wa qabiliyat ki badolat sirf 5 saal ke arsey mein physical Metallurgy mein 70 percent se zaid numbero ke sath M.S.C Engineering ki degree hasil kar ke aik record kaim kiya. Yaha inhain aalmi shuhrat ke hamil professor W.G bergurzer ke sath research assistant ke toor par kaam karne ka zareen muka bhi aamesar aya. Jis sey inho ne bhar pur istafadah kiya. 1967 mein wo kuch arsey ke liye Pakistan aye magar dubarah wapis chaley gaye. 1968 mein inho ne Belgium ki maroof zamana dars gaah Katholieke Universiteit Leuven ka rukh kiya aur waha doctoret ke liye tehkiq mein masroof ho gaye. 1972 ke awail mein inho ne iss university se tibbi falziyat Physical Metalllurgy mein doctor of engineering ki degree hasil ki. Delft aur Leuven ke qayam ke doran inho ne funny muzuaat par dunya ke masroof wa muakar jaraid mein aala paye ke tehqiqi mukalmaat bhi likhey aur falziyat jafadari mahireen se dad tehseen hasil ki. Issi duraan Dr, Abdul Qadeer Khan Dr, brabus ke sath mil kar “Metallurgy Topic in Physical” naami kitaab bhi maratab kar ke shaya karai. Ye kitaab 1972 mein shaya hoi. Iss kitaab ko aalmi classic mein shumar kiya gaya. Dr, Abdul Qadeer Khan ka iradah M.S.C ke baad Pakistan wapis aakar kisi jamia mein professor baney ka tha. Magar qudrat ko kuch aur hi manzoor tha. Inhain Pakistan ke halaat ka andaaza bhi tha aur adraak bhi. Inhain fellowship mil gai to inho ne irada badal diya aur P.H.D ke liye masroof kar hogaye. P.H.D ke bad bhi wo daras tadrees ke shubay se wabastagi ke khuwahish mand they. Iss duran Australia ki aik university mein physical Metallurgy ke professor ki aik jagha nikli. Inho ne foran apply kar diya magar jawab mein kuch taa khair hogai. Issi assna mein Holland se inhain aik bohut barey adarey mein Metallurgist ki paish kash ayi, inhoo ne apne professor Dr, burguz se mashwarah kia to inho ne iss mukay se faida uthane ka mashwarah diya. Inhain Australia se bhi paish kash aagai, magar apne professor ke mashwarey aur Holland walo ki mehnat wa muhabbat ke khayal ne inhain Australia jane se rok diya aur youn qudrat ne inn ki zindagi ka rukh mutain kar diya. April 1972 mein Dr, Abdul Qadeer Khan apni ehaliya aur donu bacho ke humrah Holland ke darul hukumat Amsterdam muntakil hogaye, kun ke inho ne Holland mein Metallurgist ki hesiyat se kaam karne ka faisla kar liya tha. Jis adarey mein inhain mulazmat mili iss ka naam physical dynamics research laboratory tha jisey mukhtasaran “F.D.O kaha jata hai. F.D.O mein Dr, Abdul Qadeer Khan ka aik dost falziyaati shubay ka sarbarah tha. Wo Dr, Abdul Qadeer khan ki salahiyato se khub waqif tha aur chahta tha ke wo aik eham project par kaam karain. December 1974 mein Dr, Abdul Qadeer Khan Pakistan aye 2 haftey Islamabad mein qayam ke baad Dr Abdul Qadeer Khan Karachi lot gaye jahan zaeef walida aur behan bhai muqeem they. Waha se wo wapis Holland chaley gaye aur waha apne faraiz ki anjaam dahi mein masroof ho gaye. Dr, Abdul Qadeer Khan Pakistan ko jis inqilaab se roshnas karana chahtey they wo Pakistan ne 28 aur 30 may ko yakey baad digar 6 atomi dhamakey kar ke aqwaam aalam ko heart mein daal diya aur Pakistan aur alam Islam ko nakabil taskhair ka qilla bana diya. Dr, Abdul Qadeer Khan ne atomi meedan mein intehai maqasid ke hasool ke baad ab apne aap ko science wa technology ke farogh aur samaji khidmat ke liye waqaf kar diya hai. Inn ki rehnumai aur sarbarahi mein mutadid aisey munsubay paya takmil tak puhunch chukey hain ya jari hain jo science wa technology ke farogh mein quledi kirdar ada karain gay. Dr Abdul Qadeer Khan ki samaji khidmat ka dairah bhi bohut wasi hai. Ab tak wo mutadid taleemi wa sciency adaro ke ilawah wo mutadid schools aur masajid ki tamer mein maali wa ikhlaki maonat kar chukey hain aur ye silsila jari hai. Inho ne mashoor hukumran sultan shahab-uddin-ghoori ka makbarah bhi az sarnu tamer karwaya hai. Inn ka har amal haqiqat ki wazahat hai ke jo qumain apne mushaheer ko bhula deti hai , tareekh mein inn ka naam wa nishaan bhi nahi rehta. Dr, Abdul Qadeer Khan ki samaji, sciency aur falahi khidmaat ke aitraaf mein muluk ke kai eham sciency wa taleemi adaro ne inhain apne board of directors aur board of Governor ka chairman aur sadar mukarar kiya.
Posted on: Mon, 05 May 2014 09:24:47 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015