Dunya K Azeem Hukamran Nay 22 Lac Murraba Meel Ka Elaqa Fatha Kar - TopicsExpress



          

Dunya K Azeem Hukamran Nay 22 Lac Murraba Meel Ka Elaqa Fatha Kar K Baqaeda Hakoomti Dhancha Tashkeel Diya Or System K Tehat 10 Saal Hakoomat Ki. Dunya Mein Raij Koi Bhi Nizam e Hakoomat Ho, Hakoomat Chalanay Ka System Wohi Hai Jo Hazrat Ummar Farooq R.A Ny Introduce Karwaya. Iss Silsilay Ki Chand Ehm Khidmaat Darj Zail Hain. Islami Calendar Ki Ibteda Ki Gai. Khalifa K Liay Ameer ul Momineen Ka Designation Banaya. Separation Of Majlis e Shoora (Parliament), Judiciary & Executive. Hazrat Ali ul Murtaza R.A Pehlay Mufti e Azam Or Chief Justice Appoint Huay. Ameer ul Momineen, Governors Or Dosray Sarkari Hukam Ki Accountability K Liy NAB Ka Idara Qaim Tha. Sub Say Pehlay Accountability K Liy Khud Ko Paish Kiya. Wazarat e Khazana Ka Qayam. Ghareebon Or Na-daron Ki Imdad K Liay Bait ul Maal Ka Qayam. Awam Ki Hifazat K Liay Police Department Ka Qayam. Postal Services Ka Department Banaya. Paid Regular & Reserve Army Ki Bharti Ki Gai. Leave Policy For Soldiers. Faujion Ki Rehaish K Liay Cantonment Ka Qayam. Jangi Ghoron K Liay Astabal Qaim Kiay Jahan Khas Jang K Liy Ghoray Palay Jatay Thay Or In Ghoron Ko Baqaeda Nishan Lagaya Jata Tha. Tamam Soobon Ko Khud-mukhtari Hasil Thi. Soobai Governors Ko Ikhteyar Tha K Apnay Under Aanay Walon Elaqon Ki Mali Position Daikh K Awam Par Taxes Laga Diay Jain. Har Sooba Apna Budget Khud Banata Tha. Ameer ul Momineen Ka Hukam Tha K Har Sooba Apnay Taxes Or Mehsolat Khud Collect Karay Or In Ki Amdani Say Apna Budget Khud Banay Or Zaid Aamdni Capital Madina Munawwara Markzi Bait ul Maal Mein Bhaij Day. Governors Ki Appointment K Liay Rules & Regulation Banay Gay. Har Governor K Assets Ki Detail Hazrat Ummar Farooq R.A Khud Apnay Pass Likh K Rakhtay Thay Or Jub Koi Governor Apna Charge Chorta Tha To Uss K Assets Ko Telly Kiya Jata Tha. Tamam Governors Or Sarkari Hukam Ki Appointment Ameer ul Momineen Ka Ikhteyar Tha. Awam Ki Apnay Hukmrano Tak Asan Pohanch K Liay Kissi Governor Ko Ye Ijazat Nahi Thi K Wo Apnay Darwazay Par Parda Laga Dy. Sub Say Important Karnama Jo Hazrat Ummar Farooq R.A Ny Sar-anjam Diya Wo Fatohat K Result Mein Hasil Honay Wali Zameen Ka Muamla Tha. Logg Kehtay Thay K Fatohat Ki Zameen Bhi Maal-e-Ghanimat Hai Jo Awam Mein Divide Honi Chaiay. Hazrat Ummar Farooq Ka Kheyal Tha K Iss Tarha Jagir Dyny Say Chand Loggon Ko Faida Ho Ga Or Aanay Wali Nasslon Ko Problems Hon Ge. Iss Say Jagirdarana Nizam Qaim Ho Jay Ga Or System Kharab Ho Jay Ga. Lehaza Ye Zameen Maal-e-Ghanimat Nahi Balk Maal-Fay Hai. Yani Fatohat Ki Zameen Hakoomat Ki Milkiat Ho Ge Or Hakoomat Awam Ki Falah O Behbood K Mansobon Or Aanay Wali Nassalon K Liay Iss Zameen Ko Use Kar Sakay Ge. Hazrat Ali ul Murtaza Karram-Allah-O-Wajjha Ny Iss Faislay Ki Bharpoor Himayat Ki Or Baqaeda Fatwa Jari Kiya K Fatohat K Result Mein Hasil Honay Tamam Zameen Hakoomat Ki Milkiat Ho Ge. Dunya K Iss Azeem Hukamran Ka Youm e Shahadat Ajj 1st Muharram ul Harram Hai.
Posted on: Sun, 26 Oct 2014 09:39:03 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015