ESAAL-E-SAWAB MURDAO KO PAHONCHTA HAI ﷽ PART 10 IMAM - TopicsExpress



          

ESAAL-E-SAWAB MURDAO KO PAHONCHTA HAI ﷽ PART 10 IMAM JALALUDDEEN SUYUTI alaihirrahima. likhtay hain, MOHADDIS ABU-NAEEM ne HAZRAT RABI se riwayet kiya ki RABI kehte hain ki hum char bhai they, aur hamara bhai RABEE hum se ziyada namaz rozey k paband they un ka intiqaal hogaya, hum log unke ird gird they ki achanak us ne kapda uthakar kaha ASSALAMUALAIKUM, hamne kaha WAALAIKUMASSALAM kiya maut k baad bhi ?? (salam kar rahey ho ? taajjub say pucha) usne kaha ji haa Pher intiqaal karne walay ne kaha maine tumahare baad marzi khushi se ALLAHTAALA se mulaqaat ki to US NAY mujh ko APNI rehmat ata ki aur is tabraqe ka libas pehnaya, suno ABUL-QASIM HUZOOR SAYYAD-E-ALAM sallallauhualaihiwasallam) namaz k liye mere muntazir hain jaldi karo, pher woh yeh tamam batein kar k pehle ki tarah khamosh hogaye, yeh baat jab UMMUL-MOMNEEN HAZRAT AYISHA (raziyallahuanha) tak pahunchi to UNHONE kaha ki Maine RASOLULLAH sallallahualayhiwasallam) se suna ki AAP farmate they Ki MERI UMMAT me ek shakhs marne k baad bhi BAAT KAREGA, IMAM ABU-NAEEM kehte hain ki yah hadees MASH,HOOR hai, IMAM BEHQI ne is hadees ko DALAILUNNUBUWA me naqal kiya hai aur kaha yeh hadees sahih hai, aur is hadees k sahet me kuch shak nahi. Refrence sharhus,sudor mutrajjim page no 69.. SUNNI HANFI ORGANIZATION Dont forget to Subscribe us on youtube/user/786sho Continue
Posted on: Sun, 07 Dec 2014 10:35:01 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015