Ek aashiq par ISHQ ka aisa asar ho gaya, Kal tak tha anjana, aaj - TopicsExpress



          

Ek aashiq par ISHQ ka aisa asar ho gaya, Kal tak tha anjana, aaj jag mashur ho gaya. Khoya rehta hai wo apne yaar ke khayalon mein Aur log samajhte hain ki wo magrur ho gaya. Aankhon ke anshu ki ab parwah kahaan use? Kyunki use kisi ki muskurahat ka suroor ho gaya. Na kabhi chada tha mandir ki sidiyaan bhi, Ab roz khuda ko manane ka dastur ho gaya. Shaan se ghumta tha jo har mehfil mein, Aaj mehfil se kya, khud se bhi door ho gaya. Bedaag tha damaan uska aaj se pehle tak, Ab ek dil churane ka usse kasur ho gaya. Nahi jhuka tha wo kabhi chataanon ke aage bhi, Aaj wo ek aanshu ke aage majbur ho gaya. Zindagi bhar raha jo andhero ke aangan mein, Wo aaj kisi ki madhosh aankhon ka noor ho gaya. Ishq ka asar hua us par kuch yun doston, Wo kaanch ke tukde se KOHINOOR ho gaya..
Posted on: Sun, 22 Sep 2013 06:44:54 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015