Ek bachpan ka zamana tha, jisme khushiyon ka khazana tha; - TopicsExpress



          

Ek bachpan ka zamana tha, jisme khushiyon ka khazana tha; chahat chand ko paane ki thi, par dil titli ka deewana tha. Khabar na thi kuch subah ki, na shaam ka thikana tha; thak haarke aana school se, par khelne bhi jaana tha. Maa ki kahani thi, pariyon ka fasana tha; barish mein kagaz ki naav thi, har mausam suhana tha. Har khel mein saathi the, har rishta nibhana tha; gum ki zuban na hoti thi, na zakhmon ka paimana tha. Rone ki wajah na thi, na hansne ka bahana tha; kyon ho gaye hum itne bade, isse achha to woh bachpan ka zamana tha.........kailash keshwani
Posted on: Mon, 25 Nov 2013 00:43:59 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015