Ek pandit ji Geeta ka paath karte the mandir mein, Ek din ek - TopicsExpress



          

Ek pandit ji Geeta ka paath karte the mandir mein, Ek din ek shalok aaya jiska matlab tha ki parmatma sari duniya ka haal janta hai aur sabhi logo ki sambhal karta hai.... kehte hai ki mandir mein to unhone padh kar suna diya par ghar aakar Geeta kholkar us shalok par laal rang se kata laga diya k Parmatma ko kaise pata chale ga sabke baare main... lakhon - karodo log hai.. unki kitni pareshaniyan aur jaroorte hai .... meri bhi kuwari ladki ghar bhethi hai paisa nahi hai, shaadi karwani hai to parmatma ke pass in sab ke liye time kahan hoga to yeh baat galat likh di hai ... so unhone kata laga diya. agle din pandit ji gaye hue the kaam par to piche se pandit ji ke ghar ek chota ladka aaya or unki wife se bola ki pandit ji ne saman bhijwaya hai....Unki wife boli k tum kaun ..bola main pandit ji ke liye kaam karta hoon... to saman andhar rakhwa diya kapde gehne khane ka saman .... unki wife boli beta tumhare mathe(forehead)par yeh lal nishan kya hai to woh ladka bola ki pandit ji ne mara hai... unki wife boli kyon bola ki unse hi puch lena...woh chala gaya pandit ji aa gaye.. unki wife ne saari baat btai ..unhone pucha ki kaisa lagta tha to boli ki sawla sa tha nili - nili abha thi... par aapne use maara kyon to pandit ji ro pade... ki agar hum parmatma ki daya par shak karte hai to hum parmatma ko hi dukh pahonchate hai woh to jani jan hai, Hamein bhi apne Kul Malik pe bharosa rakhna chahiye.
Posted on: Sat, 29 Jun 2013 08:37:23 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015