FITNA-E-DAJJAL, YAHOOD KI CHAALEN AUR UMMAT-E-MUSLIMA KI NEEND… - TopicsExpress



          

FITNA-E-DAJJAL, YAHOOD KI CHAALEN AUR UMMAT-E-MUSLIMA KI NEEND… PART 3 ************************************************************************** NOTE → NEW PADHNE WALE POST KO SURU SE ( PART 1 ) SE PADHE ************************************************************************** Daur-e-Hazir mein hum musalmano ne AP Nabi Kareem RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ki tehzeeb, tamaddun, tameez aur unki Sunnato ko chhod diya aur ghaleez, behaya, badbudar agrezo ki maghribi tehzeeb ko apne liye pasand kar liya aur khoob fakhar se is tehzeeb par chal rahe hain aur logo ko dikha rahe hain ki hum bade modern ho gaye hain, hum bht padhe likhe ho gaye hain, hum bht samjhdar ho gaye hain, hum zamane ke sath chalne wale log hain, isliye hum zindigi ke tamam shobo mein maghribi tehzeeb ke ghulam ban rahe hain uske hami bane huey hain, humein ab naye tareeke seekhne hain, nayi tarah se zindigi jeeni hai, ab wo 1400 sal purani adate aur tehzeeb purani ho chuki hai, ab duniya mein falah to maghribi tehzeeb mein hai, agar hum ise chodenge to log humein pichda hua kahenge, hummein shiddat pasand aur atankwadi kahenge aur humein giri hui nazro se dekhenge.. lekin hum musalmano ko ye nahi pata ki jis tehzeeb par hum sharmsar ho rahe hain wahi tehzeeb ALLAH ke nazdeeq sabse se zyada mehboob aur maqbool hai. Aaj hum apna talimati nizam dekhen to wo sarapa Dajjali nizam hai, batil parast hai, aaj jo sabse badi bat hai wo ye ki information ko knowledge ka nam de kar karoro musalmano ko dhokha diya ja raha hai, beshumar courses, certificates aur degrees ko launch kar ke ummat ke naujawano se Islam ka khayal bhi nikal diya gaya hai, co-education ka aisa keeda chala hai dimagh mein ki bs poochiye mat har school college co-education dene par tula hua hai jisme ladke aur ladkiya ek sath padhte hain, agar co-education 5 th standard tak ho to bat samjh ati hai ki us waqt kisi bache aur bachi mein ye shaoor nahi hota hai.. lekin ab to 1st lekar jahan tak chahe ladke ladkiya ek sath padh sakte hain aur gandigi, behayai aur besharmi ko aam kar sakte hain. Jahan par Aag (Fire) aur Indhan (Fuel) ek sath ho wahan aag na lage ye ho he nahi sakta, jahan ek ladka aur ladki sath ho wahan najayez pyar na panpe ye ho he nahi sakta, ye talimati nizam Insan ki fitrat ke khilaf hai, kyunki insan ki fitrat hai dusre jins se mutassir hona, khwah wo ladka ho ya ladki. Uske bad dress to MASHAALLAH, ladkiyo ko skirt pahnaya jata hai, shirt pahnayi jati hai, aur ladko full paint aur full shirt, yani ye bhi fitrat ke khilaf, mere ek bat samjh nahi ati ki kya ladkiyo ko skirt pahnane se unki aqal badh jati hai…? Kyun use jampar nahi pahnayi jati? Wo isliye ki bachpan use behaya banaya jata hai, kal jab ladki choti hoti hai tab bhi wo tange khol kar chlati hai aur jab badi ho jati hai to wahi adat padi hoti, use pure kapdo mein garmi mehsoos hoti hai. Ajeeb bat hai sari cheeze fitrat-e-insani ke khilaf, koi ek cheez fitrat ke mawafiq nahi. Insha ALLAH Iska agla hissa agli post mein.. JAZAKALLAHU KHAIRAN KASEERAN KASEERAH... A Slave of ALLAH SWT. ALLAH se dua kare ki ALLAH humein bhi khilafat ko qayem karne ki mehnat mein lagaye aur alam-e-kufr ke khilaf hamare maal aur hamari jaan qubool farmaye… AMEEN.
Posted on: Wed, 31 Dec 2014 06:15:42 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015