Faraz ab koi sauda koi junoon bhi nahin Magar qaraar se din katt - TopicsExpress



          

Faraz ab koi sauda koi junoon bhi nahin Magar qaraar se din katt rahey hon yun bhi nahin Lab-o-dahan bhi mila gufta-gu ka fan bhi mila Magar jo dil pe guzarti hai kah sukoon bhi nahin Meri zubaan ki luknat se badgumaan na ho Jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin Faraz jaise koi diya turbat-e-havaa chahe hai Tu paas aaye to mumkin hai main rahun bhi nahin ...! -------------------------------------------------------- { dahan = mouth, gufta-gu = conversation, fan = skill, luknat = stammering, badgumaan = suspicious, turbat = tomb } ----------------------------------------------------- 2# Kuch na kisi se bolenge tanhaai mein ro lenge Hum berahbaron ka kya saath kisi ke ho lenge Khud to huey rusvaa lekin terey bhed na kholenge Jevan zahar bhara saagar kab tak amrit gholenge Nind to kya Aayegi Faraz maut aaey to so lenge ...! ------------------------------------- { berahbaron=pathless travellers } -------------------------------------- 3# Ab naye saal ki mohlat nahin milney vaali Aa chukey ab to shab-o-roz azaabon vaaley Ab to sab dashnaa-o-Khanjar ki zubaan bolatey hain Ab kahan log muhabbat ke nisaabo vaaley Zinda rahney ki tamanna ho to ho jaate hain Faakhton ke bhi kirdaar uqaabon vaaley Na mere zakhm khiley hain na tera rang-e-hina Mausam aaye hi nahin ab ke gulaabon vaaley ...! -------------------------------------------------------- { mohlat=time, shab-o-roz=night & day, azaab=misfortune, dashnaa=dagger }
Posted on: Sat, 23 Aug 2014 15:09:32 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015