Farsi Ki History : Farsi Arabic Word Fars Se Nikla Hai Jiske - TopicsExpress



          

Farsi Ki History : Farsi Arabic Word Fars Se Nikla Hai Jiske Meaning Horse (Ghode) Ke Hain Jabke Farsi Ka Meaning Hai Bohat Saare Horse Wale .. Islam Se Qabl Iran (Old Persia) Mein Sesani Hakumat Thi Jo Majosi The (Aag Ko Poojne Wale) ..Sesanio Se Pehle Jo Irani Tribes Arab Ke Borders Ke Sath Rehte The Vo Bohat Tadaad Mein Horses Rakhte The.. Isi Wajah Se Arabs Unko Farsi Kehte The.. 1934 Mein Faris (Persia) Ka Naam Badal Kar Iran Rakh Diya Gaya.. Iran Ariya Ka Short Word Hai, Jo Farisio Ki Purani Nasal Thi Jisne Persia Par 1500 Saal Hakumat Ki Aur Islam Se Qabl Romans Ke Baad Dusri Badi Duniya Ki Hakumat Thi.. Ariya Nasal Ke Log Qadeem India Ki Tehzeeb Mohanjodro Mein Bhi The.. Jo Ab Hindu Mazhab Ki Zaat-Paat System Mein unchi Zaat Shumaar Hote Hain (Brahmin) Bar-E-Sagheer India Mein Farsi Zuban Nadir Shah Ke Dour Mein Dakhil Hui, Jo Irani Nasraad Afghani Lutera Tha, Jisne Baad Mein Irani, Afghani Lutero, Sardaro Ki Hindustan Mein Rah Hamwaar Ki Aur Is tarah Mughul Khandaan Tak Hindustan Ke Majority Hisse Pe Qabze Ki Surat Mein Farsi Ko Sarkari Zuban Ka Darja De Diya Gya.. Farsi Aaj Iran, Iraqi Kurdistan Ke Kuch Hisse, Balochistan Iran Ke Border Areas, Afghanistan,Azer-Baijan Ke Areas Mein Boli Jaati Hai Aur Farsi Bolne Walo Ki Tadaad Takreeban 20 Million Hai.. #SK
Posted on: Tue, 03 Jun 2014 00:46:38 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015