GALATI KISAKI SAMAJIYE------mai pura mudda khatam ho jayega tab - TopicsExpress



          

GALATI KISAKI SAMAJIYE------mai pura mudda khatam ho jayega tab number wise bataunga ki kanha pe kisaki galati hai. galati no.(1)--koi bhi jagah janha naya constructions site bananE ka shuru ho raha ho tab pahale PCC hota hai. PCC ka matalab roda concaret. tuti hui ente, cement aur reti milate hai use roda concaret kahate hai. usaki jagah badhiya kam karana hai to ente ki jagah kapachi (gitti) ( pattar ki tukadi) dalate hai. jab vahi kapachi, cement aur reti ko mix karake jo material jamin par bichhhate hai use pcc kahate hai. aba koi builder sahi marerial deta hai tab bhi kam karane vale majadur agar kanhi kanhi jagah par pcc ka material dalana chhhod denge ya to usame jagah chhhod denge to galati kisaki? galati no.(2)--usake bad vo pcc ke upar building ka mahatvapurna (jaruri) hissa ( bhag) foundation aata hai. jisa par puri imarat ka boj hota hai. foun me pcc ke upar aek saliye ki jali bichhhayi hoti hai aur usa par colam aata hai aur jali aur colam ko jodakar usa par cement reti aur kapachi ka material dalate hai jisaka akar pyramid ke jaisa hota hai usiko foun kahate hai. aba isa foun ko banane ke liye loha matalab ke saliya bandhane vale majadur ( karigar) aur vahi cement, reti aur kapachi ka material banane vale majadur ka kam rahata ( majaduri lagati) hai. to yanha agar loha bandhane vale karigar sahi tarah se jali nahi bandhenge aur bichhhayenge aur usa jali ke upar sahi tarah se colam khada nahi karenge to kam sahi nahi hoga jisase bhi build gir sakati hai. agar lohe vale karigar ne kam sahi kiya hai, par found me cement ka material dalane vale majadur ne agar pola chhhod diya hai matalab ke material ko dabake nahi dalata jaise jagah chhhod di hai tab bhi build gir sakati hai. dusari baat ye ke lohe vale karigar ko vo jali aur colam sutar me matalab aek line me aur colam ko olambe me matalab ke siddha khada karana padata hai jo kisi bhi baju juka nahi hona chahiye. agar lohe vale sahi kam karate hai aur usake bad material dalane vale majadur jali aur colam ko hila bhi dete hai. aba ynha galati kisaki? galati no.(3)---- usake bad plith bim aata hai jisame bhi vahi tarah lohevale karigar aur material vale majadur hi kam karate hai. plith bim build ke taliye (farsh) ke niche sab colam ko aek dusare se jodakar rakhata hai jesase build majabut hota hai aur bhukamp me bhe build ko girane ka dar nahi rahata. aba yanha galati kisaki? galati no.(4)---plith bem ke upar colam banata hai. colam me bhi vahi karigar aur majadur ka kam rahata hai. yanha galati kisaki? galati no.(5)---colam ke upar sleb sleb hota hai. slem matralab ke build ki chhhat (dhaba). isa sleb (chat) ka vajan (lod) sleb bim ke upar hota hai. sleb bim aur sleb ael dusare se jude hote hai. jaise build ke taliye ki niche plith bim colam ke shath jude hote hai bilakul vaise hi sleb bim bhi colam ke shath aek dusare se jude hote hai. jo puri chhhat ka vajan colam par dalate hai aur vahi vajan ( lod) jamin ke niche jo found hai usa par jata hai. ura isa tarah build banati hai. aur isa sleb bim aur sleb me bhi vahi karigar aur majadur ka kam rahata hai. ynha galati kisaki? ahem galati @---puri build banana se pahale builder usaka drawing (naksa) engineer ke pas taiyar karata hai. ura vahi nakse ke adhar par structural build ka loha kaise bandhane ka hai usaka dejain matalab ki structur taiyar karata hai. jise dekhakar ke lohe bandhane vale karigar loha bandhate hai. aba yanha structur sahi nahi banata tab bhi build gir ssakati hai. to yanha galati kisaki? ahem galati @-- structural agar structur sahi banata hai par usi structur ko engineer lohevale karigar ko kaise loha bandhane ka hai vo sahi tarike se samajata nahi hai tab bhi buildi dhahe sakati hai. to yn ha galati kisaki? PURI BUILDING ME BUILDING BANANE KE LIYE AGAR BUILDER SAHI AUR JARURI MATERIAL NAHI DETA TO SABASE PAHALI GALATI BUILDER KI. GALATI NO (1)- ISAME GALATI MATERIAL BANANE VALE MAJADUR, LIHA BANDHANE VALE KARIGAR , CONTRACTURE AUR ENGINEER IN SAB KI JIMMEDARI HOTI HAI TO INA ME SE HI KISIKI GALATI HOTI HAI GALATI NO.(2)---ISAME GALATI MATERIAL BANANE VALE MAJADUR, LIHA BANDHANE VALE KARIGAR , CONTRACTURE AUR ENGINEER IN SAB KI JIMMEDARI HOTI HAI TO INA ME SE HI KISIKI GALATI HOTI HAI. GALATI NO.(3)--ISAME GALATI MATERIAL BANANE VALE MAJADUR, LIHA BANDHANE VALE KARIGAR , CONTRACTURE AUR ENGINEER IN SAB KI JIMMEDARI HOTI HAI TO INA ME SE HI KISIKI GALATI HOTI HAI. GALATI NO.(4)-ISAME GALATI MATERIAL BANANE VALE MAJADUR, LIHA BANDHANE VALE KARIGAR , CONTRACTURE AUR ENGINEER IN SAB KI JIMMEDARI HOTI HAI TO INA ME SE HI KISIKI GALATI HOTI HAI. GALATI NO(5)--ISAME GALATI MATERIAL BANANE VALE MAJADUR, LIHA BANDHANE VALE KARIGAR , CONTRACTURE AUR ENGINEER IN SAB KI JIMMEDARI HOTI HAI TO INA ME SE HI KISIKI GALATI HOTI HAI. @ AHEM GALATI NO 1- ISAME STRUCTURAL KI GALATI HO TI HAI. @ AHEM GALATI NO 2- ISAME GALATI ENGINEER AUR LOHA (SALIYA) BANDHANI VALE KARIGAR DONO KI GALATI HATI HAI. AEK ENGINEER AGAR KARIGAR KO SAMAJA NAHI SAKATA TO ENGINEER KI AUR KARIGAR AGAR USE SAMAJ NAHI PATA TO GALATI KARIGAR KI HOTI HAI. LI--- LI-----AEK AMA ADAMI.
Posted on: Sun, 06 Oct 2013 17:44:11 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015