Gulab gang Soumik Sen ki directorial debut hai, is se pehle woh - TopicsExpress



          

Gulab gang Soumik Sen ki directorial debut hai, is se pehle woh Arshad warsi starrer Anthony kaun hai aur hum tum aur ghost likh chuke hain. ( aako yaad hain yeh filmein? :) ) iske saath saath Soumik music composer bhi rahe hain. Bhalaayi yeh hai k gulab gang womens day pe release huyi hai, nahi toh film main darshak ko rijhaane ke naam par kuch nhi tha. is film ka subject ambassador gaadi jaisa tha, jo aaj kal chalan main nhi hai. gulab gang ek satahi, high dramatic, tortured film hai. madhuri ke role ko kamjori se likha gaya hai, fir bhi madhuri achi lagti hain. wahin joohi ek do scene main charactr nikaal le gayi hain. dialoguebaazi achi ki hai. sensitive mudde par based hone k baawjood har 5 min baad gaana, darshak ko khaani se door kar deta hai. zahir hai nirdeshak ne bhi madhuri k dancing skills ka istemaal kiya hai. woh generation jinhone hema malini, sharmila tagore ka daur nhi dekha, unke liye dhak dhak girl madhuri ka gulaabi saadi main fight karna, gundon ko peetna exciting tha. film ki kahaani kabhi real, kabhi drama, kabhi contemperory ... zahir si baat thi ke nirdeshak ne sabko khush krne ka pryaas kiya hai. lekin khichdi si ban gayi hai. aap chalti film main duvidha main rehte hain ke hassein ? ya garv mehsoos karein ? film ka background music film ko ek star neeche le aata hai. (ek composer ka director banne ka nuksaan) costume main madhuri glamourous didi lagti hain aur gaano main sara gulab gang jwaan ladkiyon ka ho jaata tha aur ldaayi waale scene main sab budhiya aurtein aa jaati hain. Nirdeshak ne madhuri ko kirdaar main dhaalne ki bjaaye kirdaar ko madhuri ka roop de diya. fashionable saadiyaan, bina story establishing k film khaali si lagti hai. khair is sab k baawjood khas k aurton ko ek baar film dekh leni chaiyae, khaas kar jinmein confidence ya bolne ki power nahi hai. film main aurat ki shiksha ka mudda hai. agar hum cinemahall main sirf seekhne jaate toh yeh film badhiya thi. Aurat is jagat ka ek khoobsoorat ang hai aur hmaara wajood bhi aurat hi hai. aur, aakhri baat, hindustan k tmaam film bnaane waalon ko ab yeh samajh lena chaiyae k duniya ka behtareen cinema ab har ghar main bache jwaan tak pahunch gay hai. toh ab ausat darje ki kahaaniyan nahi chaleingi. - Gursimran Datla
Posted on: Sun, 09 Mar 2014 03:27:18 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015