HASHaR ***************** *************** HASHR YANI TAMAAM - TopicsExpress



          

HASHaR ***************** *************** HASHR YANI TAMAAM INSANO KA HISAB O KITAB KE LIYE BARGAH-E-ILAHI ME JAMA HONA HAQ HAi, USKA INKAR KUFR HAi, [SURAH ALBAQARAH,203. SURAH AL-MAIDAH,96. AL-INAAM,72. AL-ANFAL,24. AL-MUJADALA,9.] ***************** *************** HASHR ROOH AuR JISM DONO KA HOGA, JO YE KAHE KE SIRF ROOH KA HOGA, YA SIRF JISM KA HOGA WOH KAFIR HAi. [ALMOTAQADUL-MUNTAQAD= ALMOTAMADUL-MUSTANAD] ***************** *************** US DIN ZAMEEN TANBE KI HOJAEGI, [SURAH IBRAHEEM,48] US DIN SURAJ SIRF EK MEEL KI DOORI PAR HOGA, {arabi me mil distance ke liye bhi bola jata hai, aur surma lagane ki salai ko bhi kahte hai, dono me se kiya murad hai woh ALLAH KE RASOOL bahtar jante hai. SAHEEH MUSLIM bab; fi sifati yaumil-qiyamah} ***************** *************** SURAJ KI GARMI SE BHEJE IS TARAH KHAOLTE RAHENGE, JAISE HAANDIYAN KHAOLTI HAi, PASEENA INTA NIKLEGA KE ZAMEEN SATTAR GAZ ANDAR TAK WOH PASEENA CHOOS LEGI, US KE BAD ZAMEEN AJIZ HOJAEGI ThO PASEENA ZAMEEN KE UPAR JAMA HONE LAGEGA, LOG APNE APNE GUNAHON KE HISAB SE PASEENE ME DOOBNE LAGENGE, KOI TAKHNO TAK, KOI PINDLIYON TAK, KOI KAMAR TAK. AuR KOI MUNH TAK. [BUKHARI, kitabur-riqaq. MUSNAD IMAM AHMAD BIN HAMBAL hadeen No. 22248] ***************** *************** JO LOG SONE CHANDI KI ZAKAT NAHI DETE, US SONE CHANDI KO PIGHLA KAR UNKI KARWATON PAR, PESHANIYON PAR AuR PEETHON PAR DAAGH KIYA JAyEGA. [SURAH TAUBAH, ayat No.34,35] JO LOG SONE CHANDI YA JANWARON KI ZAKAT AaDA NAHI KARTE, UNKO DIN BHAR UNKE MAAL KE ZARIYE TARAH TARAH KE DARDNAK AZAB DIYE JAENGE. ***************** ♥ ♥ *************** HISAB O KITAB KA WOH EK DIN PACHAS HAZAR SAAL KE BARABAR HOGA. [SURAH AL-MAARIJ ayat No.4] ***************** ♥ ♥ ♥ ♥ ♥ ♥ *************** US DIN HAR SHAKHS APNE BHAI, MAA BAP, BIWI BACHCHHE HAR EK SE DOOR BHAGEGA, SAB KO APNI APNI FIKR HOGI, KOI KISI KA KHAYAL TAK NAHI KAREGA. [SURAH ABAS 34-37] ***************** ♥ ♥ ♥ ♥ ♥ ♥ *************** US DIN ALLAH TAALA KE JALAL KA YE AALAM HOGA KE, HAZRAT ADAM ALAIHISSALAM KO HUKM HOGA AYE... AADAM! ARZ KARENGE, HAZIR HUN MEIRAB. FARMAYA JAEGA, JAHANNAMION KO ALAG ALAG KARO. ARZ KARENGE,,, KITNE ME SE KITNO KO? IRSHAD HOGA, HAR EK HAZAR ME SE NAO SAO NINANWE 999 KO. YE WOH WAQT HOGA KE HAIBAT KE MARE BACHCHHE BUDHE HOJAENGE, AUR HAMAL WALI AURAT KA HAMAL GIRJAUEGA. AUR SAB NASHE ME NAZAR AYENGE, JAB KE WOH NASHE ME NAHI HONGE. [SURAH AL-HAJJ ayat No.2 = BUKHARI kitab, Ahadeesul-Ambiya] ***************** ♥ ♥ ♥ ♥ ♥ ♥ *************** JAB AADHA WAQT GUZAR JAYEGA, US WAQT LOG APAS MEI MASHWARA KARKE, TAQRIBAN HAR EK NABI KE PAAS JAYENGE, UNKI FAZILATEN BAYAN KAR KE UN SE SHAFAAT KI GUZARISH KARENGE. LEKIN ALLAH TAALA KE US JALAL KO DEKH KAR TAMAM AMBIYAE KIRAM INKAR KARDENGE, KISI ME HIMMAT NA HOGI KE WOH ALLAH TAALA KI BARGAH ME KUCHH ARZ KAR SAKE. AAKHIR ME HAZRAT EESA ALAIHISSALAM HAMARE AAQA sallallahualaihiwasallam KI BARGAH ME JANE KE MASHWARA DENGE, THO SARE LOG GIRTE PADTE HUZOOR sallallahualaihiwasallam KI BARGAH ME HAZIR HONGE, APKI BAHUT TAREEF KARENGE, APNI SHAFAAT KI BHEEK MANGENGE, THO AAP FARMAENGE أنا لھا MAI SHAFAAT KARNE HI THO AYA HUN. MAI KARUNGA. [BUKHARI kitabut-tauheed, Bab; KALAMU AZZA WA JALL YAUMAL-QIYAMATI MAAL-AMBIYA.] *****************
Posted on: Mon, 25 Nov 2013 17:22:52 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015