HATRAS KI FATEH OR HINDO PANDIT KI SHAMAT: Karamat of Hazrat - TopicsExpress



          

HATRAS KI FATEH OR HINDO PANDIT KI SHAMAT: Karamat of Hazrat Syedna Gos Mohammad Baba Yousuf Shah Taji Sarkar (Rehmatullah Aleh). Reference this Karamt also available in the Life’s Book of “Yousuf-ul-Aulia” on Page 301 to 304 1925 Ka Ye Wakia Hai K Hazrat Qibla-O-Kaba Murshidi Moulai (Hazrat Syedna Gos Mohammad Baba Yousuf Shah Taji Sarkar (Rehmatullah Aleh)) Chitari, India Main Ronaq Afroz They, Ik Roz “Ram Pershad Sherma” Nami Hamara Ik Peer Bhai Hazrat Baba Yousuf Shah Sarkar Ki Khidmat Main ‘Hatras Shehar’ Say Chal Ker ‘Chitari’ Aaya Or Qadambos Ho Ker Chekhy Mar Mar Ker Rony Laga, Hazrat Baba Yousuf Shah Sarkar Ny Rony Ki Waja Daryaft Farmai, ‘Ram Pershad Sherma’ Ny Kaha K: Hozoor Meri Bradri Walo Ny Mujhy Sakht Preshan Ker Rakha Hai Or Ab To Terha Terha Ki Eza(Punish) Dey Rahay Hain Kehty Hain K Tumhary Kamray(Room) Main Jo Hazrat Baba Ki Tasveer(Picture) Lagi Hai Or Tum Us Ki Poja-Pat Kerty Ho Usay Hata Do Kiu K Ye Ik Musalman(Muslim) Ki Tasveer(Picture) Hai, Bajay Is K Tum Apny Ha K Otaro Main Say Kisi Ka Bhi Photo Laga Ker Poojo, Warna Ham Tumhay Mar(Kill) Dalengay Or Baba Ki Shan Main Toheen Aamez Jumly Bhi Kehty Hain Jo Mery Liye Na Kably Bardasht Hoty Hain. Ye Sun Ker Hazrat Baba Yousuf Shah Sarkar Ny Baray Jalali Lehjy Main Irshad Farmaya: “ACHA HAM ‘HATARAS’ FATEH KARENGAY, TUM WAPIS JAO HAM JUMAYRAT(Tuesday) KO MA(With) APNI PALTAN(Army) K SOLJARO K POHCHEN GAY” Chunachy Wo Shaks Qadam Bos Ho Ker Chala Gaya. Hatras Shehar Ki Basti K Log Baray Motasib Of Musalmano K Khuly Dushman They. Jumayrat(Tuesday) Ki Subha Nashty Say Farig Hony K Bad Hazrat Baba Yousuf Shah Sarkar Ny Irshad Farmaya K: “ARAY HAMAY TO AAJ HATRAS JANA HAI OR CHAND SOLJARS BHI HAMRAH CHALENGAY” Pas Sarkar Ny Farmaya Shokat, Mushtaq Ahmed, Saeed Ullah, Abdul Majeed Hamary Hamrah Chalengay.…. [TO BE CONTINUED…. NEXT PAGE 302] … Reference Life’s Book of “Yousuf-ul-Aulia” on Page 301 to 304
Posted on: Tue, 01 Oct 2013 13:19:24 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015