HAZRAT BOO ALI SHAH QALANDAR PANIPATI (Rahmtullah Alaih) KE MUREED - TopicsExpress



          

HAZRAT BOO ALI SHAH QALANDAR PANIPATI (Rahmtullah Alaih) KE MUREED HONE KA WAQYA!! Ek martaba Alauddeen Khilji nei Hazrat Boo Ali Shah Qalandar (radi) ko kuch nazrana bhejna chaha, magar baadshah ke darbaar ka koi shaqs yeh nazrana le jaane ke liye raazi na hua kyu ke Hazrat Boo Ali Shah Qalandar (radi) ek qalandar hai aur unka adab ka haq adaa karna har ek ke bass ki baat nahi thi! Badshah nei Khwaja Ameer Khusrau (radi) ko huqm diya ke meri taraf se nazrana Aap lekar Panipat jaaiye! Hazrat Ameer Khusrau (radi) nei Khwaja Nizaamuddeen Awliya (radi) se Panipat jaane ki ijaazat maangi to Khwaja Nizamuddeen Awliya (radi) nei farmaya, IJAZAT HAI NAZRANA LE KE JAAO MAGAR KHAYAAL RAKHNA KI MAZZUB LOG INKAAR SE KHAFA HO JAATE HAI LIHAZA QALANDAR SAHAB JO KAHE USKE JAWAAB MEI HA KEHNA NA MAT KEHNA! Khwaja Ameer Khusrau (radi) Panipat pahoche aur Hazrat Boo Ali Shah (radi) ke samne badshah ka nazrana pesh kiya to Hazrat Boo Ali Shah Qalandar (radi) nei poocha, KYA HAI? Apne jawab diya, HINDUSTAN KE BADSHAH KE TARAF SE NAZRANA HAI KABOOL FARMAIYE! Qalandar Sahab nei apne ek khaadim se kaha, UTHA LE ISKO AUR EK KAGAZ PAR LIKH DE KI Hindustan ke chaukidar ko malum ho ke tune jo kuch bheja hai hamne le liya! Fhir Khwaja Amir Khusrau (radi) se poocha ke TU KAUN HAI AUR TERA KYA NAAM HAI? Khwaja Ameer Khusrau (radi) nei jawaab diya, MERA NAAM KHUSRAU HAI AUR MAIN LAACHIN TURK HU! Farmaya, WAHI KHUSRAU JO GAZAL GAATA HAI? KOI GAZAL SUNAA! Khwaja Khusrau (radi) ek taazi gazal pesh ki to HAZRAT BOO ALI SHAH QALANDAR (radi) nei jhoomkar farmaya, KHOOB KEHTA HAI, KHOOB RAHEGA! Iske baad farmaya HAMARI GAZAL BHI SUN aur ek gazal sunaai! Khwaja Ameer Khusrau yeh gazal sunn kar rone lage! Qalandar Sahab (radi) nei Khwaja Ameer Khusrau (radi) ko rote dekha to farmaya, ROTA HAI YA KUCH SAMAJHTA BHI HAI? Khwaja Khusrau (radi) nei jawaab diya, IS LIYE ROTA HU KI YEH OONCHA KALAAM SAMAJHNE KI LAYAKAAT NAHI RAKHTA! Is jawaab se HAZRAT BOO ALI SHAH QALANDAR (radi) bahot khush hue fhir farmaya, HAMNE TERE PEER KO KABHI RASOOLALLAH sallallahu alyhe wassallam KE DARBAAR MEI NAHI DEKHA! Yeh sunn kar KHWAJA AMEER KHUSRAU bahot ghabraae ki PEER nei kaha tha unke saamne HA kehna NA mat kehna, ab QALANDAR SAHAB ki iss baat ka kya jawaab du? Isliye Khwaja Ameer Khusrau (radi) khamosh ho gaye aur QALANDAR SAHAB se waapas jaane ki ijaazat di to to KHWAJA AMEER KHUSRAU (radi) Dehli wapas chale aaye aur apne MURSHID ko saara waaqiya bayaan kiya! KHWAJA NIZAAMUDDEEN AWLIYA radi nei irshad farmaya, TUM DOBARA PANIPAT JAAO AUR QALANDAR SAHAB SE KAHO KI RASOOLALLAH sallallahu alyhe wassallam KE KHEME KE PEECHE DEKHO! KHWAJA AMEER KHUSRAU radi waapas PANIPAT gaye! HAZRAT BOO ALI SHAH QALANDAR radi nei dekha to pucha, AB KYU AAYE HO? Khwaja Ameer Khusrau (radi) nei jawaab diya, MERE PEER NEI BHEJA HAI! AAPNE SAWAAL KIYA THA KI MAINE TERE PEER KO KABHI RASULALLAH sallallahu alyhe wassallam KE DARBAAR MEI NAHI DEKHA! ISKA JAWAAB MERE PEER NEI DIYA HAI KI RASULALLAH sallallahu alyhe wassallam KE KHEME KE PUSHT PAR DEKHO! HAZRAT BOO ALI SHAH QALANDAR (radi) nei KHWAJA KHUSRAU se ye sunte hi jhukkar KHWAJA KHUSRAU ka haath pakad liya aur farmaya CHAL WAHA DEKHE! QALANDAR SAHAB ka yeh kehna tha ki manzar badal gaya aur KHWAJA AMEER KHUSRAU (radi) nei dekha ki woh RASULALLAH sallallahu alyhe wassallam ke darbaar mei haazir hai aur QALANDAR SAHAB (radi) unka haath pakde hue HUZOOR sallallahu alyhe wassallam ke darbaar mei khade hue hai! HUZOOR sallallahu alyhe wassallam nei irshad farmaya, ABU ALI MERE KHEME KE PUSHT PAR JAA! Hazrat Boo Ali Shah Qalandar (radi) Khwaja Khusrau (radi) ka haath pakade hue darbaari kheme ki pusht par aaye to dekha ke waha ek aur chhota khema khada hua hai aur uske andar HAZRAT SULTAAN UL MASHAYAKH, NIZAAM UD DEEN AWLIYA (radi) jaaynamaaz bichaae hue namaaz padh rahe hai! Gaib se awaaz aayi MAULANA NIZAAMUDDEEN ALLAH KE MEHBOOB HAI AUR YEH KHEMA MEHBOOBI KHEMA HAI! Jab HAZRAT MEHBOOB E ILAAHI namaaz padh chuke to QALANDAR SAHAB nei arz ki MUJHE MUREED KAR LIJIYE! HAZRAT NIZAMUDDEEN AWLIYA (radi) nei jawaab diya, YEH MAQAAM E RAAZ HAI, BAIT MAQAAM E HAAZIR MEI HOTI HAI! Yeh sunna tha ke Hazrat Boo Ali Shah Qalandar nei Hazrat Ameer Khusrau ka haath chhor diya! Haath chhorte hi manzar badal gaya aur Khwaja Ameer Khusrau nei dekha ke woh Panipat mei Qalandar Sahab ke saamne baithe hai! Qalandar Sahab nei farmaya, JAA DEHLI JAA! MAIN BHI TERE PEER SE BAIT KARNE DEHLI AAJAUGA! Hazrat Khwaja Ameer Khusrau (radi) Dehli aaye aur KHWAJA NIZAAMUDDEN AWLIYA (radi) se saara haal bayaan kiya! KHWAJA NIZAMUDDIN AWLIYA (radi) Khanqaah se bahaar tashreef laaye aur Jamuna Nadi ke kinaare khade ho gaye! Achanak Nadi ke andar se ek haath bahaar niklaa! KHWAJA NIZAMUDDIN AWLIYA (radi) nei woh haath apne haath mei pakad liya aur kuch der ke baad apne SAR MUBARAK ki Topi utaar kar rakh di to woh haath TOPI samet fhir dariya mei chala gaya! Iske baad HAZRAT NIZAMUDDEEN AWLIYA (radi) nei farmaya.... BOO ALI nei MUJHSE Aalam E Zaahir mei bait ki aur maine usko Khilafat di! 🌹🌹🌹🌹🌹 MEHBOOB E ILAAHI EEST AMEER E DO JAHAAN, SULTAAN E MASHAYAKH AST PEER E DO JAHAAN, BAR BANDAGI E NIZAAM E MILLAT NAAZAM, MAULA E MANN ASTO DASTAGEER E DO JAHAAN! (Syed Mohammad Bin Javed)
Posted on: Wed, 21 Jan 2015 04:31:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015