» Hadees : Abu Bakr Siddiq (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki - TopicsExpress



          

» Hadees : Abu Bakr Siddiq (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Agar Log Zalim Ko Zulm Karte Huye Dekhe Aur Usey Na Roke Toh Qareeb Hai Ki Allah Ta’ala Un Sabko Azab Me Mubtala Kar De”. - (Jamia Tirmidhi, Vol2, 40 Sahih) Ref - Ummat-e-Nabi » Hadees : Hazrat Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) Ne Kaha Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya, “Jab Tum Me Se Koi Dua Kare Toh Yeh Na Kahe Ki, ‘Ya Allah Mujhe Bakhsh De Agar Tu Chahe Toh Mujh Par Reham Farma, Agar Tu Chahe Toh Mujhe Rizq De’. Balki Tumhe Chaiye Ki Apne Sawal Par Pura Bharosa Karke Maange Kyuki Allah Ta’ala Jo Cahata Hai Karta Hai Aur Koi Uss Par Jabr Karne Wala Nahi Hai”. - (Bukhari, Mishkat Sharif-194) Ref - Ummat-e-Nabi » Hadees : Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Uss Shaksh Ko Dekho Jo Tum Me Se Kum Ho (Maal Aur Daulat Me, Aur Husn Wa Jamaal Me Aur Aulad Me) Aur Usko Mat Dekho Jo Tumse Ziyada Hai Aur Aisa Karoge(Yaani Duniyayi Bade Aur Buland Martaba Ke Logon Ko Dekhoge) Toh Allah Ta’ala Ki Neymat Ko Apne Upar Haqeer (Yani Kam) Samjhoge”. -: (Sahih Muslim, Vol 6, Hadith No:7430) Ref - Ummat-e-Nabi » Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaaya, “Apni Aulaad (Sons & Daughters) Ko Namaz (Parney) Ka Hukm Do, Jab Ke Wo 7 Saal Ke Ho Jaayein, Aur Jab Wo 10 Saal Ke Ho Jaayein Toh (Namaz Chhorney Par) Unn Ki Pitaai Karo, Aur Un Ke Bistar Bhi Alag Kardo”. -: (Abu Dawood) » Note : Bistar Alag Karne Ka Hukm Namaz Na Padhne Par Saza Ke Tour Par Nahi Hai Balke Yeh Ek Mustaqil Hukm Hai. Ref - Ummat-e-Nabi » Ibadat Ki Niyat Se Allah Ke Liye Masjid Me Thehrne Ka Naam ‘Etkaf’ Hai. Etekaf Ki 3 Kisme: (1)Etkaf-e-Wajib. (2)Etkaf-e-Sunnat. (3)Etkaf-e-Mustahab. » Ramzan me Etkaf : Ramzan Ke 21 We Roze Se Shawwal Ka Chand Dikhne Tak Allah Ke Lye Masjid Me Thaherna Etekaf Kehlata Hai. » Etkaf: Masjid Ke Andar Dakhil Ho Toh Etekaf Ki Niyat Kare Jitni Der tak Masjid Me Rahega Etkaf Ka Sawab Payega. - (Fatawa-e-Aalmgiri, Jild:1 Safa:197) . Etkaf Ki Niyat: Nawaytu Sunnatul Etkaf. » Jis Shaks Ne Imaan Ke Sath Sawab Hasil Karne Ki Niyyat Se Etkaf Kiya Uske Pichle Gunah Baksh Diye Jayenge. - (Jame Sageer) » Hadees : Huzoor (Sallallahu Alaiyhi Wasallam) Ne Farmaya: “Itekaaf Karnewala Gunaho Se Mahfooz Ho Jata Hai”. - (Mishkaat-Ul-Masabeeh-Zujajat Ul Masabeeh) » Mas’ala : Etekaf Wala Agar Bagair Uzr Ke Masjid Se Nikla Agarche Bhool Se Nikle To Etekaf Toot Gaya. » Mas’ala : Etekaf Wala Masjid Me Hi Khaye Piye Soye Agar In Kaamo Ke Liye Bahar Gaya To Etekaf Toot Gaya. » Mas’ala : Etekaf Mard Aurat Balig Aur Na Balig Sab Kar Sakte Hain. Aurat Ghar Ke Uss Hisse Me Etekaf Kare Jahan Namaze Padhti Ho. » Hadees : Jisne Ramzan Me 10-Dino Ka Etekaf Kiya To Aisa Hai Jaise 2-Hajj Aur 2- Umre Kiye. - (Shuabul Iman Jild-3, Page No-425, Hadis No-2966) » Hadees : Ramzan Ke Aakhri Ashre (20 Roze Ki Sham Se Chand Dikhne Tak) Me Huzoor Etekaf Farmaya Karte The. - (Sahi Muslim Safa-597,Hadis No-117) » Hadees : Jo Etekaf Kare Roza Rakhe Jur Etekaf Jamat Wali Masjid (Jisme Jamat Se Namaz Hoti Ho) Mein Etikaf Kare. - (Sunane Abi Dawood Hadees No-2472) » Hadees : Etekaf Karne Wala Na Mareez Ko Dekhne Jaye Na Janaza Me Hazir Ho Na Aurat Ko Haat Lagaye. - (Sunane Abi Dawood Jild-2, Page-492) » Islami Bahne Apne Ghar Me Namaz Ada Krti Ho Vahaa Etikaf Kare. - (Durre Mukhtar) » Haiz(Maahwaari) Aur Nifaas Se Paak Hona Zaruri Hai. - (Durre Mukhtaar, Raddul Muhtaar, Jild-3 , Page No-429) » Etikaf Wale Inn Se Bache : “Fuzul Waqt Bitana, Ziyada Sona, Bila Zarurat Duniya Ki Baate Karna, Masjid Me Hasna”. » Etikaf Wale Itna Zarur Kare : “Khub Nek Niyyate, Masjid Ka Ehtram, Taaq Raato Me Ibadat” !! Allah Ta’ala Tamam Imanwalo Ko In Sabhi Bato Ko Samajhne Aur Inn Par Amal Karne Ki Toufiq Ataa Farmaye! Aameen…. Ref - Ummat-e-Nabi » Hadees : Hazrate Sa’ad Bin Abi Waqqas (Radiyallahu Anhu) Bayan Farmate Hai Ki, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Allah Ki Riza (Allah Ke Raza) Ke Liye Jo Bhi Tumne Kharch Kiya Uska Tumhe Allah Se Pura Pura Badla De Diya Jayega, Yaha Tak Ki Agar Tumne Apni Biwi Ke Mooh Me Niwala Bhi Rakha Hoga Toh Uska Bhi”. -: (Sahih Bukhari Book 2, Hadith No.53) Ref - Ummat-e-Nabi » Hadees : Hazrat Abdullah Ibne Abbas (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Madani Aaqa (Sallalaho Alayhi Wasallam) Irshad Farmate Hai, “Jise Ladki Ho Aur Wo Use Zinda Dafan Na Kare, Na Usko Zaleel Samze Aur Na Ladke Ko Uss Par Ahmiyat De Toh Allah Ta’ala Usko Jannat Me Dakhil Karega”. -: (Abu Dawood, Jild 3, Bab 548, Hadees 1705, Safa 616) Ref - Ummat-e-Nabi Ummat-e-Nabi © 2013 | Design & develop by Mohammad Salim Powered by T-Grade . Switch to the desktop version of this site Ummat-e-Nabi ∗ Sakhawat Ke Darakht Ki Jad Bahisht Me Aur ….. ∗ Shab-e-Qadr Ko Ramzan Ke Ashra Ki Taaq Raato Me…… ∗ Zakaat Kya Hai ? …..
Posted on: Sun, 11 Aug 2013 04:55:57 +0000

Trending Topics




Exam time @ Sathayabama University during Dec 2008. Photo 1 shows
Black friday Club Glove Golf Travel Bag - Last Bag (Extra Large)
I have come to the conclusion that working at Mcdonalds would have
Llega un joven al bar el cual estaba repleta de gente. Encontró

Recently Viewed Topics




© 2015