Hadith: jab Nisf Shaban ( 15 Shaban) ki raat ho to raat ko ibadat - TopicsExpress



          

Hadith: jab Nisf Shaban ( 15 Shaban) ki raat ho to raat ko ibadat karo aur dusrey din roza rakho Hazrat Ali bin talib Radi-Allahu-Anhu farmatey hain ki jab Nisf Shaban ( 15 Shaban) ki raat ho to raat ko ibadat karo aur dusrey din roza rakho isliye ki iskey Ghrub-e-Shamsh se Fajar tulu honey tak aasman-e-duniya par Allah subhanahu nuzul farmatey hain aur kahtey hain ki koi Maghfirat ka talabgar hai ki main uski maghfirat karu , koi rozi ka talabgar hai ki main usko rozi du , koi beemar hai ki main use beemari se aafaiyat du , hai koi aisa , yahan tak ki Fajar tulu ho jati hai (Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1388 (Hasan Shawaheed from 45 Rivayat ) Aayesha Radi-Allahu-Anha se rivayat hai ki ek raat maine Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ko bistar par na paya to unki talash mein nikli aur dekha ki aap jannatul baqi mein aasman ki taraf sir uthaye huye hain Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne faramaya ki Aayesha kya tumhey ye khayal hai ki Allah aur uska Rasool tum par zulm karengey mainey arz kiya mujhe aisa koi khayal na tha bulki mainey samjha aap apni kisi biwi ke baas gaye hongey to aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ney farmaya ki Allah subhanahu Nisf Shaban ( 15 Shaban) ki raat aasman-e-duniya par nuzul farmatey hain aur banu kalb ki bakriyon se bhi zyada logo ki bakhshis farma detey hain ( banu kalb ek kabeeley ka naam tha jiskey pass tamam arab se bhi zyada bakriya thi) Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1389 ( Hasan Shawaheed from 35 rivayat ) Abu Musa Al-Ashari Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Allah subhanahu nisf Shaban ki raat ( 15 shaban) ko tamam makhluq ki bakhshis farma detey hain siwaye shirk karney waley ke aur keena rakhney wale ke Sunan Ibn Majah,
Posted on: Mon, 24 Jun 2013 07:27:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015