Halaal Rozi Haasil Karna Farz Hai ….. » Hadees : Hazrat - TopicsExpress



          

Halaal Rozi Haasil Karna Farz Hai ….. » Hadees : Hazrat Abdullah Bin Masood (Radhiallahu Ta’ala Anhu) Ne Kaha Ki, Huzoor (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Shariyat Ke Digar Faraiz Ke Baad Halaal Rozi Hasil Karna Farz Hai”. -: (Bahaqi, Mishkat Page-242) » Hadees : Hazrat Abu Bakar (Radhiallahu Ta’ala Anhu) Ne Kaha Ki, Huzoor (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Jis Badan Ko Haraam Giza(Khana) Dia Gaya Wo Jannat Me Dakhil Na Hoga”. -: (Mishkat Page-243) » Hadees : Hazrat Abu Hurairah (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ne Kaha Ki, Huzoor (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke, “Logo Par Ek Zamana Aisa Bhi Aayega Jab Ke Koi Iss Baat Ki Parwaah Na Karega Ki Usne Jo Maal Kamaya Wo Halaal Hai Ya Haraam”. -: (Bukhari Vol-1 Page-276) » Masail (Examples) : 1. Kapda Silane Ke Liye Diya Toh Darzi Ne Usme Se Kaat Liya. 2. Ruyee(Cotton) Katne Ke Liye Di Toh Katne Wale Ne Ruyee Nikal Li. 3. Kapda Banane Ke Liye Diya Toh Banane Wale Ne Nikal Liya. Ruyee Nikalne Wale Ne Ruyee Bacha li Aise Hi Kisi Bhi Chiz Me Se Jo Apko Kisine Kisi Kaam Ke Liye Di Aur Aapne Usme Uski Chori Ki Toh Ye Sab Kaam Na-Jaiz Aur Haraam Hai. Jahannam Me Le Jane Wale Hai, Afsos ! Ki Ye Batein Khule Taur Par Imaanwalo Me Iss Tarha Rayej Ho Gayi Hain, Ki Ab Logon Ko Ehsaas Hi Nahi Hota Ke Hum Haraam Rozi Se Apna Pet Bharkar Apni Akhirat Barbad Kar Rahe Hain. Balki Awaam Toh Awaam Kuch Khaas Log Bhi Isi Tarha Haraam Rozi Hasil Karne Me Lage Hai, Karo Maherbani Tum Ahle Zamin Par Khuda Maherban Hoga Arshe Barin Par !!
Posted on: Sun, 28 Jul 2013 11:28:22 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015