Hamaare Kuch Dost o Ahbab Aaj kal Whatsapp Facebook Twitter etc k - TopicsExpress



          

Hamaare Kuch Dost o Ahbab Aaj kal Whatsapp Facebook Twitter etc k Zariye Logon ko Galat Galat Messages Forward karte rehte hai Jaise ke Neeche Kuch Samples diye hue hai Ye Msges ULAMA se TASDEEQ Shuda hai Ulma Farmaate hai k Ye Sab Msges Apne Dil se Banaaye hue hai Jo k Galat hai aur Ulma ne Hamaari Islaah ki Koshish farmaaye hai 1.Kisi Islami Maah Ki Mubarkbad Dene Se Jannat Wajib ho jaana? Aisa kuch Nahi hai, 2. Allah k Naam ka Msgs itne logon ko forward karo Aapko Abhi Khushkhabri Milegi? Allah K Naam Ya Koi Wazifa Fwd Karne Se KhushKhbri Nahi Milti, 3.Huzoor Sallallahu Alahi wasallam ki Qasam de de kar msgs Forward karwana? Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qasam De Kar Msgs Frwd Karne Ko Kehna Haraam Hai, 4.Nabi Sallallahu Alaihi wasallam Aur Bibi Zainab radiallahu anha khwaab me Aa kar sabko So n so msg forward karne farmaaye? Aise forwarded Msgs Aane Wale Msges aap dusro ko Frwd Na Karen, 5.Koi Bhi Qurani Aayat Ya Hadis Pak Ya Qaul Confirm Kiye Baghair Frwd Na Karen, 6.Tum Mujhe mere Bandon K Samne Rad Karonge, Mai Tumhe Qayamt Ke Din Apne Saamne Rad Krdunga Ye koi Qurani Ayat Ya Hadis Nahi Hai 7. Ye Msg Itne logon ko bhejo warna Buri Khabar sunne milegi etc... Musalmaanon Aise ManGhadak msges Aage forward na karen. 📵Ajeeb Riwaj Nikla Hai Yeh📵 ✉ Yeh Message 9 Logo Ko Send Karo Murad Puri Hongi 󾭈 ✉ Yeh Message 10 Logo Ko Send Karo Warna 10 Saal Ke Liye Bad Qismat Ho Jaonge 󾭈 Kiya Ab Qismat Ke Faisale Mobile karenge 5 Dino Mein Khush khabri Milengi 󾭈 󾒱 Jannat Milengi etc. 󾭈 Kya Hum Apne DEEN Ko Itna Hi Jante Hain Ke Button Press Karne Se 󾭸 Jannat Mil Jaye 󾭸Bad Qismat Ho Jaye Phir Namaz, Roza, Hajj, Zakat, Jihad Aur Digar Aamaal Kis Kam Ke 󾭸Kya Messages Send Karne Se Murad Puri Hongi Toh ALLAH (azwajal) Ke Samne Rona, Haath Phelana Kis Kam Ka AISE MESSAGE AAYE TOH PEHLE DELETE KARO 🚮 Aur Yeh Message Zyada Se Zyada Logon Ko Forward Karen Ta Ke Yeh Fitna Khatam Ho.
Posted on: Tue, 12 Nov 2013 11:25:34 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015