Hamesha dair kar deta hoon main Har kaam karnay mein Zaroori baat - TopicsExpress



          

Hamesha dair kar deta hoon main Har kaam karnay mein Zaroori baat kehne ho Koi wada nibhana ho Usay aawaz deni ho Usay wapis bulana ho Hamesha dair kar deta hoon main Madad karni ho us ki Yaar ke dhaarus bundhana ho Bohat dayreena rustoon par Kisi se milne jana ho Hamesha dair kar deta hoon main Budaltay mausmo ke sair mein Dil ko lagana ho Kisi ko yaad rakhna ho Kisi ko bhool jana ho Hamesha dair kar deta hoon main Kisi ko maut se pehlay Kisi ghum se buchana ho Haqeeqat aur thi kuch us ko Jaa kay yah batana ho Hamesha dair kar deta hoon main Har kaam karnay mein... :(
Posted on: Thu, 12 Sep 2013 07:01:10 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015