Har Nasha Waali Chiz Haraam Hai ….. » Har Nasha Waali Chiz - TopicsExpress



          

Har Nasha Waali Chiz Haraam Hai ….. » Har Nasha Waali Chiz Haraam Hai « Hazrat Jabir (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Hai Ke Jaishaan Se Ek Aadmi Aaya Aur Jaishaan Ek Shahar (Town) Hai Yeman Me, Uss Aadmi Ne Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Uss Sharaab Ke Baare Me Puchha Ke Jo Unn Elaqon Me Pee Jati Hai Aur Wo Sharaab Jo Taiyaar Hoti Hai Uss Sharaab Ko Mizr Kaha Jata Tha. Toh Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Wo Sharaab Nasha (Intoxicating) Waali Hai?” Uss Ne Arz Kiya, “Ji Haan!” Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Har Nasha Wali Chiz Haraam Hai, Kyon Ke Allah Taala Ka Uss Aadmi Ke Liye Waada Hai Ke Jo Aadmi Nasha Waali Chiz Peeyega Ussey Allah Taala Tinatah-Al-Khabaal Peelayega”, Sahaba-e-Kiraam (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ne Arz Kiya, “Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! Tinatah-Al-Khabaal Kya Chiz Hai? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Dozakhiyon Ka Pasina Hai”. -: (Sahih-Muslim, Vol-No: 05, Hadees-No: 5217)
Posted on: Sun, 23 Jun 2013 11:25:09 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015