Har ek chehare ko zakhmon ka aina na kaho Ye zindagi to hai - TopicsExpress



          

Har ek chehare ko zakhmon ka aina na kaho Ye zindagi to hai rahamat ise saza na kaho Na jane kaun si majaburiyon ka qaidi ho Wo sath chor gaya hai to bewafa na kaho Tamam shahar ne nezon pe kyun uchala mujhe Ye ittefaq tha tum is ko hadasa na kaho Ye aur bat ke dushman hua hai aj magar Wo mera dost tha kal tak use bura na kaho Hamare aib hamay ungaliyon pe ginwao Hamari pith ke piche hamay bura na kaho Main waqiyat ki zanjir ka nahi qayal Mujhe bhi apane gunahon ka silsila na kaho Ye shahar wo hai jahan rakshas bhi hai quot;rahat quot; Har ek tarashe huye but ko dewata na kaho
Posted on: Fri, 05 Jul 2013 11:05:19 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015