Hazrat Ali A.S. ne farmaya: Be shaq La ILaha ILaLLah k liay - TopicsExpress



          

Hazrat Ali A.S. ne farmaya: Be shaq La ILaha ILaLLah k liay sharaait hen. Men aur meri aulaad in sharaait men se hen (Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 9) Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Men ne aalam e arwaah men apnay chacha Hamza aur bhai Jaffer ko buhat naimaton se maal a maal daikha. Unhon ne kaha k hum ne afzal tareen amal Aap S.A.W.W par darood, pyason ko paani pilana aur Ali Ibn e Abi Talib AS ki dosti ko paaya (Biharul Anwaar, Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 157) Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Muhammd (S.A.W), Ali AS, Fatima AS, Hassan AS, Hussain AS wo sub kuch jaantey hen jo Khuda ne paida kya hai aur isey adam se wajood ata kya hai. Ye aasmanon, zameenon, paharon, saharaon aur daryaon k khazana daar hen. Paharon k wazan, daryaon k pani ki miqdar, nehron aur chashmon ki taadaad se waqif hen. Koi aisa pata kisi darakht se nahi girta jis ka ilm in k paas na ho. Zameen ki taareekiyon Hazoor Saww ne farmaya: Kuch Loge Ali k baaray men shak kartay hen jis ka muqaam aur martaba Khuda k nazdeek meray muqaam o martabay ki tarah hai aur siwaaey nabbuwwat k meray tamam muqaamaat aur maraatib par faaiz hai.Tumhain maaloom hona chaahiye k Jis ne Ali ko dost rakha iss ne mujhay dost rakha aur jo mujhay dost rakhta hai Khuda Uss k saath raazi aur khusnood hai. Aur jiss se Khuda raazi o khushnood ho ussay jannat men muqaam ataa karta hai (Biharul Anwaar, Alqatrat O Min Bihaar E Manaqib E Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 Safha 182) Hazoor SAWW ne farmaya: Aagaah ho jaao jo Ali ko dost rakhta hai farishtay iss k liay istaghfaar kartay hen aur jannat k darwaazay iss k liay khol diay jaatay hen taakay jis darwaazay se chahay baghair hisaab k jannat men daakhil ho jaaey. Jo koi Ali se dosti rakhta hoga iss dunya se na jaaey ga magar ye k jaanay se pahlay aab e kosar se sairaab hoga, shajr e toobaa ka phal khaaey ga aur jannat men apna muqaam aur thikaana dekhay ga (Biharul Anwaar, Alqatrat O Min Bihaar E Manaqib E Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 Safha 182) Hazoor S.A.W ne farmaya: Ya Ali Khuda ne apney Rasulon ko apney farishton par aur mujhey sab nabion aur rasulon par fazeelat di hai. Mairay baad ye fazeelat tumharey liay aur tumharey baad waley imamon k liay hai. Beshaq farishtey hamarey aur hamarey muhibbeen k khidmat guzar hen. Wo farishtey jo Khuda k arsh ko uthaey huay hen aur wo jo is k atraaf men Khuda ki humd o sana k sath tasbeeh kartey hen in logon k liay maghfirat talab kartey hen jo hamari wilayat par imaan rakhtey hen (Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 75) Hazrat Ali AS ne farmaya: Agar pardey door kar diay jaen to merey yaqeen man koi ziaaydti na hogi (Biharul Anwaar, Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 54) men har daaney ka ilm rakhtey hen aur koi kushk o tar nahi magar kitab e mubeen men mojud hai yani k in k ilm men is ka naqsha mojud hai aur wo isey jaantey hen(Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib-e-ahlebait Hisa 1 safha 86 Ayatullah Ahmad Mustanbat Qudas Sira, Misbahul Anwar) Hazrat Muhammad S.A.W.W ne farmaya; Ali ibn-e-Abi-Talib ki taraf daikhna ibadat hai. In ka zikr ibadat hai. Kisi bhi shaks ka imaan us waqt tak qabool na hoga jab tak wo Ali se muhabat na rakhey aur in k dushmanon se nafrat na karey.(Imaali sheikh sudooq safha 201 hadees no 10 majlis 28, Bihaar jild 38 safha 192 hadees 4, Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib-e-Ahl-e-Bait safha 25, hisa 1) Imam Sadiq AS ne farmaya: Salman Farsi ne Rasul S.A.W ki wafat k 3 roze baad khutba daitey huay kaha tha Agar wo sub kuch jo Ali AS k fazail k muta’aliq main janta hun tumhen bata dun to tum men se 1 groh mujhey deewana samajhney lagey ga aur doosra kahey ga k Khudaya Salman ko qatal karney waley ko baksh de.(Bihar 32/387, Alqatrat o Min Bihaar e Manaqib e Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 71) Hazrat Ali AS ne farmaya: Agar Aadmi is qadar taweel sajda karey k is ki gardan juda hojaey to Allah us ki tauba us waqt tak qabool nahi karey ga jab tak Ahlebait ki wilayat is k paas na hogi (Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 79) Hazrat Ali AS ne farmaya: Khuda ki qasam jo koi dunya ki muhabat rakhta ho aur ghair ki wilayat ko qabool karey is k paas Khuda ki muhabat na hogi aur jo koi hamarey haq ki ma’arifat rakhta ho aur hamari muhabat ka dum bharta ho wo Khuda ko dost rakhta hoga(Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 81) Hazrat Ali A.S. ne farmaya: is zaat k huq ki qasam jis ne daaney ko cheera aur makhlooq ko paida kya merey paas aasmaanon aur zameenon k mutaliq wo ikhtiar aur qudrat hai k tum us k jaaney k himat nahi rakhtey. Khuda k ism-e-Aazam 72 haroof hen. Asif bin barkhya sirf aik ka ilm rakhta tha. Khuda ki qasam tamam 72 haroof ka ilm hamrey paas hai. Aik harf aisa hai jo Khuda k saath maksoos hai aur wo Khuda k ilm-e-ghaib men posheeda hai. Koi bhi taaqat o qudrat nahi rakhta hai magar buzurg o bartar Khuda k sabab se jis ne hamari maarfat hasil karli is ne hamen pehchan lia aur jis ne hamri pehchan na ki is ne hamara inkar kya.(Biharul Anwar Jild 27, safha 37, hadees no 5, Alqatrat O Min Bihaar E Manaqib E Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib-E-Alnabi Wal Itratey safha 16) Rasul Allah (S.A.W) ne farmya Allah ne merey bhai Ali k liay wo fazail qarar diay hen k khud Ali k ilawa koi aur un ko shumar nahi kar sakta. Jo koi bhi in fazail men se koi aik fazeelat sidq-e-dil se yad karey ga to Khuda us k tamam guzishta aur aaindaaa gunahon ko maaf karey ga chahey wo qayamat men jinon aur insaanon k tamam gunahon samait aaey. Jo koi aik bhi fazeelat likhey ga to jab tak wo likhi rahey gi farishtey us k liay istaghfar karen gey. Jo fazeelat suney aur parhey ga us k kaan aur aankh se kiay gaey gunah maaf hon gey.(Alqatrato Min Bihaar-E-Manaqib-E-Alnabi Wal Itratey Ayatullah Syed Ahmad Mustanbat Qudas Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 safha 24) Hazrat Ali AS: Insan raat ko apney nafs ka muhasba karey, agar din men apney aamaal men ghalti daikhay to Khuda se maghfirat talab karey aur ahad karey k aaenda in gunahon ka irtekaab nahi karey ga. In gunahon ko baar baar darood parhney, Wilayat-e-Ameer al momineen ko apney nafs k samney paish karney, is ko qabool karney, in k dushmanon jinhon ne in k huq ko ghasb kya aur in k muqaam se mehroom kya par laanat karney aur nafrat karney k zariay se naama aamaal se door karey. Jab koi momin aisa karey ga to Khuda Taala farmaey ga “mairay aolia k sath teri wilayat ki waja se aur merey dushmanon k saath teri nafrat ki waja se men terey hisaab men terey gunahon ki waja se sakht geeri nahi karoon ga” (Alqatrato Min Bihaar-E-Manaqib-E-Alnabi Wal Itratey Ayatullah Syed Ahmad Mustanbat Qudas Sira Tarjuma Manaqib-e-Ahlebait Hisa 1 Safha 98, Bihaar 70/29, Tafseere Imam Askari AS 38) Hazrat Ali AS ne Farmaya: Tamam wo jo Quran men hai Sura Hamd men hai aur tamam jo sura hamd men hai Bismillah men jama hai aur tamam jo bismillah men hai is ki “Baa” men hai aur “Baa” k tamam israar uss k nuqtay men hai aur mein baa k neechay waala nuqta hoon. “Baa” hi k sabab wajood zaahir hua hai aur nuqtay k sabab aabid o maabood men tameez paida hoti hai (Alqatrat O Min Bihaar E Manaqib E Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 sfha 174-175) Hazoor SAWW ne hazrat Ali AS ko galay laga kar chehray ko bosaa diya aur farmaya: Meray Maa’n baap qurban is par jis k zariyay se khuda ne meray baazoo ko taaqat di jaisay k Moosa k baazu ko Haroon k zariyay se taaqatwar kiya (Bihaar, Tafseer e Burhaan, Alqatrat O Min Bihaar E Manaqib E Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 sfha 176) Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira (Mohaddis o Faqih) ne farmaya: Hazrat Ali AS zaahiri toar par dunya men baad men aaey hen lekin aap k liay haal aur mustaqbil koi ahmiyat na rakhta hai kyun k in ka zamanay aur waqt par qaaboo hai. Ye sab kuch aap ki wilayat aur tassaruf k marhoon e minnat hai. Aap ka wajood e muqaddas zamanay ka qaidi nahi. Aap tamam makhlooq par shahid hen (Alqatrat O Min Bihaar E Manaqib E Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 sfha 178) Imam Ali Naqi AS ne farmaya: Hazrat Ali AS ka wajud Mubarak tamam ajsaam, arwaah, nafoos aur qaboor ka ahaata rakhta hai aur ye jo Allah Quran men apnay kuch khitaabaat men guzray huay Waaqiaat ka Zikr kartay huay ye fermata hai “ALAM TAR (kya Too ne nahi dekha) is men bhi yehi raaz hai (Zyarat e Jaamiya, Alqatrat O Min Bihaar E Manaqib E Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 sfha 178) Hazoor SAWW ne farmaya: Jo Ali ko dost rakhay wo qayamat k din anbiya k saath mahshoor hoga aur in k darjaat men qaraar paaey ga aur Jo Ali k saath dushmani rakhtay huay is dunya se jaaey ga is ki koi parwaah nahi hai k wo is dunya se yahoodi maray ya nasraani maray (Ayun e Akhbar e Raza Shekh Suduq , Bihaar, Alqatrat O Min Bihaar E Manaqib E Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 sfha 180) Hazoor SAWW ne farmaya: Allah Rabbul Izzat ne farmaya Ali meri Makhlooqaat par meri hujjat, zameenon k darmayan mera noor aur ilm o hikmat par mera amen hai. Jis ne Ali ki maarifat ki agar wo Meri Nafarmaani bhi karay, Mein ussay jahannum men nahi daalon ga aur jis ne Ali ka inkaar kiya chaahay wo meri farmaan bardaari karay mein ussay jannat men daakhil nahi karoon ga (Biharul Anwaar, Alqatrat O Min Bihaar E Manaqib E Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 Safha 180-181) Hazoor Saww ne farmaya: Kuch Loge Ali k baaray men shak kartay hen jis ka muqaam aur martaba Khuda k nazdeek meray muqaam o martabay ki tarah hai aur siwaaey nabbuwwat k meray tamam muqaamaat aur maraatib par faaiz hai.Tumhain maaloom hona chaahiye k Jis ne Ali ko dost rakha iss ne mujhay dost rakha aur jo mujhay dost rakhta hai Khuda Uss k saath raazi aur khusnood hai. Aur jiss se Khuda raazi o khushnood ho ussay jannat men muqaam ataa karta hai (Biharul Anwaar, Alqatrat O Min Bihaar E Manaqib E Alnabi Wal Itrat Ayatullah Ahmad Mustanbaat Quds Sira Tarjuma Manaqib e Ahlebait Hisa 1 Safha 182) by fATIMA ISLAM
Posted on: Sat, 07 Sep 2013 19:05:30 +0000

Trending Topics



="stbody" style="min-height:30px;">
Black Friday Sales Bling Jewelry Baby Carriage 925 Sterling Silver
Bagaikan es yang mencair tanpa bekas, Lalu menjadi air yang
When you are sad, I will dry your tears When you are scared, I
Ok, my next research paper is on a debateable issue, so I really

Recently Viewed Topics




© 2015