Hazrat Muhammad Mustafa Raza Khan rehmatullahi alaihi - TopicsExpress



          

Hazrat Muhammad Mustafa Raza Khan rehmatullahi alaihi : ♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦ Alqab : Huzoor Mufti e aazam e Hind, Taajdaare Ahle Sunnat. ******* Aap ki wiladat 22 Zil-Hijja 1309 Hijri (18 July 1892 A.D.) ko Bareilly me hui. Aap ke waalid ka naam Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan bin Maulana Naqi Ali Khan rehmatullahi alaihi aur waalida ka naam Sayyeda Irshaad Begam bint Shaikh Fazl Hussain hai. ******* Aap ne apne bade bhai Hujjatul Islam Maulana Haamid Raza Khan ke paas Qur’an ki taaleem haasil ki. Is ke baad Maulana Shaah Rahm Ilaahi Manglori, Maulana Sayyed Basheer Ahmad Aligadhi aur Maulana Zahurul Hussain Farooqi Rampuri ke paas taaleem haasil ki. Aur apne waalid Imaam Ahmad Raza Khan ke paas bhi fiqh aur dusre uloom ki taaleem haasil ki. Aap hadees, tafseer, fiqh, sarf, nahaw, tajweed, balaghat, kalaam, falsafa, tassawuf, mantiq, seerah, taareekh, aqaa’id, riyazi, tauqeet, jaafar aur haayat jaise bahur saare uloom ke maahir the. ******* Aap ne 13 saal ki umr me Fatawa dena shuru kiya Ek baar aap Daar-ul Ifta gaye to dekha ki Hazrat Maulana Zafruddeen koi fatawa likh rahe the aur hawale ke liye almari me se Fatawa Razawiya nikal rahe the. Ye dekhkar aap ne farmaya ‘Kya aap jawab ke liye Fatawa Razawiya par aitbaar karte hain?’ Unho ne kaha ‘Theek hai, Tum bagair kitaab dekhe is ka jawab do.’ Wo ‘Raza’at’ ke baare me mas’ala tha aur aap ne uska sahi jawab likhkar diya. Wo fatawa Aa’la Hazrat ke paas tehqeeqat ke liye bheja gaya. Aap use padhkar khush hue aur us par apne dastkhat kiye. Phir Aa’la Hazrat ne aap ke liye ‘Abul Barkaat Muhyuddeen Jeelani Aal e Rahmaan urf Mustafa Raza’ ki mohar banakar di. Aap ne 50000 se zyada fatawa jaari kiye. ******* Aap 1328 Hijri (1910 A.D.) me Daar-ul-Uloom Jaamia Manzare Islaam, Bareilly me Mudarris bane aur is idaare me 27 saal tak rahe. Aa’la Hazrat ne Bareilly me Dar ul Qaza (Muslim Law Court) shuru kiya aur Hazrat Sadrush Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi ko us me Qaazi banaya aur Huzoor Mufti e Azam e Hind aur Hazrat Burhan e Millat Maulana Mufti Burhan-ul Haq Jabalpuri ko unki madad ke liye rakha. ******* Hazrat Allama Shah Abul Hussain Ahmad Noori Qaadri ke mureed aur khalifa hain. Jab aap ki umr 6 mahine thi tab aap ke Peer ne aap ko dekhkar farmaya tha ‘Yeh bacha ALLAH ka wali maaloom hota hai aur ALLAH ke fazl se ye deene islaam ki khub khidmat karega. Ye faizo barkat ka samundar hai aur log is se faizyaab hote rahenge.’ Phir unho ne apni ungli aap ke munh me rakhi. ******* 1329 Hijri me aap ka Nikah hua. Aap ka 1 beta Anwar Raza (jis ka inteqal 18 mahine ki umr me hua) aur 6 betiya hain. ******* Aap har kaam shariat ke mutabik karte the aur har sunnate Rasool ko apnate the aur logo ko bhi is ke liye taaleem dete the. Ilme deen sikhne wale aur masa’il jaanne ke liye aane walo ko hamesha sahi jawaab dete the, chahe bada ho ya chhota. Aap haq baat kehne me kisi se darte nahi the. Aur har buri bid’at ko radd karke logo ko us se door rehne ke liye kehte the. Aap kabhi Qibla ki taraf pair nahi karte the aur us jaanib thunkte bhi nahi. Aap hamesha ba-jama’at namaaz padhte the, Bareilly me ho ya safar me. Qabrastan me jaate to foran Dua e magfirat karte. Kisi ki mayyat me jaate to kabhi bhi waha khaana nahi khaate. Logo ko ache islaami naam rakhne ke liye kehte jaise Abdullah, Abdur Rahmaan, Muhammad aur Ahmad. Kisi ko koi gham ho to use sabr ki talkeen karte aur ALLAH ko yaad karne ke liye kehte. Logo ko mustaqbil jaanne ya batane se mana farmate the. Tamam zindagi Milaad ki aur Zikr ki mehfil me ishq ke saath saamil hote rahe. Aap hamesha ek ghulam ki tarah Aale Rasool ki har khidmat karte rehte. Aur ulema ki taazeem aur khidmat karte. ******* 1979 A.D. me ek baar ek Sayyeda khatoon apne bete ke saath ilaaj ke liye aai. Garmi ka mausam tha aur aap aaram farma rahe the. Us khatoon ne aap ke khaadimo se kaha ‘Agar Huzoor mufti e aazam jaag rahe ho to main un se milna chahti hu.’ Magar aap ko khalel pahunchane ki himmat kisi ne nahi ki. Wo aurat apne bete ko lekar waapas jaane lagi aur kehne lagi ‘Main jaan gai ki yaha Saadat ki baat bhi nahi suni jaati.’ Jab aap ne ye suna to foran apne khaadim ko us sayyeda ko bulane ke liye kaha. Us aurat ne apne bete ko aap ke paas bheja. Aap ne bahut mohabbat aur taazeem ke saath us ladke se uska naam puchha aur apna haath uske sar par rakha. Aur apne khaadim se uske liye saib lane ke liye kaha. Aur phir us aurat ko parde me hi apni baat batane ke liye kaha. Phir usko taaweez banakar diya. ******* Ek baar Hazrat Peer Taahir Ala-uddeen Qadri rehmatullahi alaihi Bareilly shareef aaye to aap taazeem aur adab ke saath unke peechhe nange paanv chalte the. Sadr-us-Shariah Maulana Amjad Ali Aazmi al-Qadri Aa’la Hazrat ke urs ke mauqe par Bareilly Shareef aate tab aap unke istakbaal aur taazeem ke liye Railway station tak jaate. ******* Aap ne 3 martaba Hajj ada kiye : (1) 1323 Hijri (1905 A.D.) me, (2) 1364 Hijri (1945 A.D.) me, (3) 1391 Hijri (1971 A.D.) me. ******* Ek baar aap Faizabaad gaye tab Hazrat Maulana Abdul Qayyoom Muzaffarpuri Aashiq Ali naam le ek shakhs ko apne saath lekar aap ke paas bai’at ke liye aaye. Aap ne us se farmaya ‘Kaho ki maine apna haath Gause aazam ke haath me diya.’ Wo bola ‘Maine apna haath mufti e aazam ke haath me diya.’ Aap ne phir se farmaya ‘Kaho ki maine apna haath Gause aazam ke haath me diya.’ Wo bola ‘Maine apna haath mufti e aazam ke haath me diya hai. Abhi thodi der pehle aap ne mujhe gunaho se tauba karwai hai. Ab main jhut kaise bol sakta hu.’ Aap ne use samjhaya ‘Bai’at ka yehi tareeqa hota hai. Tum mujh se bai’at kar rahe ho to silsile se hokar ye Guase aazam tak pahunchta hai.’ Magar wo nahi maana. Aap jalaal me aa gaye aur us ke sar par apna amaama daalkar us se farmaya ‘Tum ye kyun nahi keh rahe ho? Kaho ki maine apna haath Gause aazam ke haath me diya.’ Us ne foran kaha ‘Maine apna haath Gause aazam ke haath me diya.’ Wo ye alfaaz lagataar kehta raha yaha tak ki wo be-hosh ho gaya. Jab use hosh aaya to Maulana Abdul Qayyoom ne use kone me le jaakar puchha ‘Kya hua tha?’ Us shakhs ne kaha ‘Jaise hi Hazrat ne apna amaama mere sar par rakha to maine dekha ki Huzoor Gause aazam mere saamne hain aur keh rahe hain ki Aashiq Ali, Mufti e aazam ke haath mere haath hain. Wo mere khalifa hain. Kaho ki maine apna haath Gause aazam ke haath me diya. Jab maine ye suna to main kehne laga ki maine apna haath Gause aazam ke haath me diya aur jab gause aazam rukhsat hue to main behosh ho gaya.’ ******* General Ayub Khan ki hukoomat ke dauran Pakistan me har mahine aur khaas kar Shawwal (Eid-ul-Fitr) aur Zil Hijja (Eid-ul-Adha) ke chaand ka elan karne ke liye Rooyat Hilal Committee banai gai thi. Ek baar 29 Ramazaan ko ek hawai jahaaz aasman me ud raha tha aur us me se chaand dekhkar Hilaal Committee ne chaand ho jaane ka elan kar diya. Magar Pakistan ke Sunni ulema ne ise sahi maanne se inkaar kiya. Unho ne har mulk ke ulema ke paas iske liye sawaal naama bheja. Mufti e aazam ke paas jab ye aaya to aap ne foran likhkar diya ‘Shariat me chaand dekhkar Roza rakhne ka ya Eid manane ka hukm hai. Jaha chaand na dikhe waha ke Qaazi ko tehqeeqat karke is ke baare me faisla dena chahiye. Chaand zameen par se ya zameen se judi hui jagah se dikhna chahiye. Aur hawai jahaaz se chaand dekhna galat hai kyun ki chaand guroob hota hai, fana nahi hota. Isi liye kabhi 29wi ko dikhta hai, kabhi 30wi ko. Aur chaand dekhne ke liye hawai jahaaz lekar jaana ho to itni bulandi par se 27wi aur 28wi ko bhi chaand dikh sakta hai. To is soorat me kya ye maan len ke 27wi ya 28wi ko chaand dikh gaya. Koi bhi aaqil is baat ko qubool nahi kar sakta. Lihaaza is soorate haal me kya ye munasib nahi hoga ki 29wi ko chaand dekha jaaye?’ Aap ka ye fatawa Pakistan ke akhbaro me bataya gaya. Is ke baad Hilal Committee ko barkhast kar diya gaya. ******* Aap ke bahut saare shaagirdo ne Hindustan aur dusre mulko me Islaam ki isha’at ka kaam jaari rakha. Aap ke mashhoor shaagird : (1) Muhaddees e aazam Pakistan Maulana Muhammad Sardar Ahmad (2) Faqeeh e Asr Maulana Ijaz Wali Khan (3) Ra-ees-ul Atqiya Maulana Mubeenuddeen Amrawi (4) Faqeeh-ul Hind Maulana Mufti Shareef-ul-Haq Amjadi (5) Maulana Muhammad Rehan Raza Khan Razvi Barelvi (6) Faqeeh e Islaam Maulana Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan Azhari (7) Mufti Afzal Husain (8) Maulana Qaazi Abdul Raheem Bustawi (9) Maulana Mufti Burhan-ul Haq Jabalpuri. ******* Aap ne bahur saari Hamd-e-baari ta’ala, Naat shareef aur Manqabat likhi hain. Aap ki likhi hui kitaab ‘Saamaan e Bakhshish’ (Majmua e Naat shareef) mashhoor hai. Aap ne taqreeban 40 kitaaben likhi hain. Jin me se ye mashhoor hain : (1) Fataawa Mustafawiya (2 Jild) (2) Tanweerul Hujjat bi Tawaaril Hajjah (3) Tardush Shaitaan (4) Hujatul Da’ira bi Jawaabil Hujjatul Hazira (5) Al-qaulul Ajeeb fi Ajoobatit Tasweeb (6) Masa’ile Sima (7) Adkhalul Insaan (8) Almautul Ahmar (9) Noorul Irfaan (10) Saiful Jabbaar (11) Malfoozaate Aa’la Hazrat. ******* Aap ke mashhoor Khulfa : Hindustan me : (1) Taaj-ush-Shariah Hazrat Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan Azhari rehmatullahi alaihi (2) Muhaddees-e-aazam e Pakistan Hazrat Maulana Sardar Ahmad Qadri rehmatullahi alaihi (3) Shere Ahle Sunnat Maulana Hashmat Ali Khan rehmatullahi alaihi (4) Mufassire aazam Hazrat Maulana Ibraheem Raza Jeelani rehmatullahi alaihi (5) Hazrat Allama Sayyed Ahmad Saeed Kaazimi rehmatullahi alaihi (6) Hazrat Sayyed Ahmad Ali Ajmeri rehmatullahi alaihi (7) Mujahid-e-Millat Abdaal e Waqt Hazrat Shah Habeeb-ur-Rahman Alawi rehmatullahi alaihi (8) Allama Qaazii Sayyed Shamsud-deen Jaafari al-Husaini Jawanpuri rehmatullahi alaihi (9) Hazrat Muhaddees Haji Mubinuddeen Amrohi rehmatullahi alaihi (10) Shaikh-ul-Hadees Allama Abdul Mustafa Azhari Amjadi rehmatullahi alaihi (11) Khaleel ul-Millat Mufti Muhammad Khaleel Khan Barkaati rehmatullahi alaihi (12) Hazrat Maulana Raihan Raza Khan rehmatullahi alaihi (13) Hazrat Soofi Muhammad Iqbal Razawi rehmatullahi alaihi (14) Hazrat Muhaddees Mufti Shareef-ul-Haq Amjadi rehmatullahi alaihi (15) Bahr-ul-Uloom Mufti Abdul Mannan rehmatullahi alaihi (16) Maulana Mushtaq Ahmad Nizami rehmatullahi alaihi (17) Ustaaz-ul-Ulema Maulana Muhammad Jahangir Fatehpuri rehmatullahi alaihi (18) Bahr-ul-Uloom Mufti Sayyed Afzal Husain al-Qadri rehmatullahi alaihi (19) Mujahid-e-Ahle Sunnat Sayyed Shah Turab-ul-Haqq Jeelani rehmatullahi alaihi (20) Maulana Shah Muhammad Ibraheem Khushtar Siddeeqi Razawi rehmatullahi alaihi (21) Shaikh ul-Hadees Maulana Abdul Qayyoom Hazarwi rehmatullahi alaihi (22) Hazrat Muhaddees Maulana Qaari Maslehuddeen Siddeeqi Amjadi rehmatullahi alaihi (23) Muhaddees Maulana Ziya-ul-Mustafa Qadiri Amjadi rehmatullahi alaihi (24) Hazrat Qaazi Abdur Raheem Bastawi rehmatullahi alaihi (25) Hazrat Muhaddees Maulana Mufti Muhammad Husain rehmatullahi alaihi (26) Dr. Sayyed Muhammad Ameen Miya Barkaati al-Husaini rehmatullahi alaihi (Ph.D.) (27) Dr. Sayyed Shah Mufti Ghulam Sarwar al-Husaini rehmatullahi alaihi (Ph.D. Arabic Grammer). Arab mulk me : (1) Hazrat Qutb-ul-Waqt Sayyed Ameen Qutbi Makki rehmatullahi alaihi (2) Hazrat Shaikh Sayyed Abbas Alawi al-Hasani Maaliki rehmatullahi alaihi (3) Hazrat Ustaaz-ul-Ulema Shaikh Noor Muhammad Saif Makki rehmatullahi alaihi (4) Muhaddees Sayyed Muhammad Alawi al-Maaliki Hasani rehmatullahi alaihi (5) Hazrat Maulana Shaikh Fazl-ur-Rahman Madani al-Qadri rehmatullahi alaihi (6) Hazrat Shaikh Sayyed Muaz Fat-hullah Khalifa al-Husaini Shaami rehmatullahi alaihi. South Africa me : (1) Hazrat Maulana Muhammad Ahmad Mukaddam rehmatullahi alaihi (2) Hazrat Maulana Abdul Hameed Palmer al-Qadri Noori rehmatullahi alaihi (3) Khaadim-ul-Ilm Shaikh Abu MuHammad Abdul Haadi al-Qadri Razawi rehmatullahi alaihi. ******* Aap ka wisal 14 Moharram 1402 Hijri (12 November 1981 A.D.) ko raat ko 1 : 40 ko 92 baras ki umr me hua. Aap ki namaaze janaaza Maulana Sayyed Mukhtar Ashraf Jeelani ne padhai. Taqreeban 2500000 log is me saamil hue. Aap ka mazaar Bareilly me Aa’la Hazrat ke bagal me hai. *********** ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Huzoor Mufti e aazam e Hind Mustafa Raza Khan rehmatullahi alaihi aur Tamam Auliya Allah ke waseele se Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae. Aameen.
Posted on: Sun, 24 Nov 2013 07:13:11 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015