Hazrate hafza radiallahu anha ne farmaya ki 4chize hai jinhe - TopicsExpress



          

Hazrate hafza radiallahu anha ne farmaya ki 4chize hai jinhe Huzoor Alayhissalatu wassalam nahi chorte the. . 1. 10vi Muharram ka roza . 2. Jilhizza ke Roze (1 se 9 tak) . 3. Har mahine ke 3 Roze . 4. 2 Rakat sunnat Fazar ki Farz se pehle . [Nasai,Anwarul Hadees] . Hazrate Abu Jar radiallahu anhu ne kaha ki Rasool-E- Kareem Raufoor Rahim Sallallaho Alayhi Wasallam ne farmaya ki Aye Abu Jar! jab kisi mahine me 3 din roza rakhna ho to 13, 14 aur 15 tarikh ko rakho . [Tirmizi,Nasai, Anwarul Hadees] . Pehli shawwal aur 10,11,12,13 Jilhijja ko roza rakhna Makruh Tahrimi aur Najaiz hai. [Durre Mukhtar, Raddul Muhtar Jild 2 Safa 86, Anwarul Hadees] . Ehtlam ho jane ya Humbistari karne ke baad nahaya nahi aur isi halat me pura din guzar diya to woh namazo ke chor dene ke sabab sakht gunahgar hoga magar roza ho jayega. . [Fatwae Aalamgiri Jild 1, Safa 187, Anwarul Hadees] .
Posted on: Thu, 07 Nov 2013 01:02:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015