Heer (KHUSHI): Jiski baasoori ki dhun sunke...mujhe jawaan hone ka - TopicsExpress



          

Heer (KHUSHI): Jiski baasoori ki dhun sunke...mujhe jawaan hone ka ehsaas hua. Jiski sirf ek nazar se mujhe khudke hone ka ehsaas hua. Jisne mere liye har sitam sahe aur jiske liye meine har sitam bhoola Diya. Jisse mein bahut waqt tak milti rahi aur jisse bahut waqt tak juda rahi. Aaj ussi ranjhe se meri shaadi hone jaa rahi hai.. mein kehne ko heer lekin dil se ranjhaa. Raanjha Raanjha kehte kehte mein dewaani huyi. Lekin aaj mein Bahut Khush hoon Samjh nahi paa rahi hoon..tab bhi tum hi nazar aate ho.. Yeh Humme kya ho raha hai...Ranjhaa! Ranjhaa! Ranjha (ARNAV)Utho heer, ek baar aankhen kholon...heer mein tumhare bina jee nahi saktaa...Tumhare binaa Ranjhaa kuch nahi hai heer Heer mein tumhe chod kar chalaa gaya tha...apne man ko behlaa raha tha.ki mujhe koi FARAK NAHI PADTA..par tum toh janti ho..mein tumhare bina jee nahi sakta.. ab jo kiya, jab jo kahaan sab bhool jaao...bas waapas aa jaaoon aaj kissi aur cheez ka koi matlab nahi, kissi jhoot ka, kissi sach ka...bas ek cheez ka agar tum nahi toh mein nahi...tum ne hi kahaan tha na heer ke heer ke bina ranjhaa ka koi wajood nahi agar heer hi zindaa nahim toh ranjhe ki zindagi ka koi matlab nahi Yahaan na sahi..shayad kahi aur ek duniya hogi, jahaan tum aur mein kabhi alag nahi honge Jab jo bura kahaan uska koi matlab nahi, Jab jo buraa kiya..uska koi matlab nahi iss pyaar mein sahi aur galat ka koi matlab nahi, bas ek cheez ka matlab hain, ki mein hameshaa hameshaa tumse.
Posted on: Thu, 11 Jul 2013 10:52:32 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015