History of Sadozai Tribe Suden Qbeela and Islam -Poonch, - TopicsExpress



          

History of Sadozai Tribe Suden Qbeela and Islam -Poonch, Sadnoti and Bagh mai almost 15 lacs people in total Sudens are also living in D.I Khan, Rawalpindi, Islamabad, Karachi,Lahore, Peshawar, Rawaat, Afganistan, Chichniya(Chichen Janbaaz mostly belong to sudozai tribe), Norway and UK -An Introduction (Islamic) Hazrat Ibrahim kay sons mai say Ismail and Ishaq Hazrat Ishaq->Hazrat Yaqoob Hazrat Ismail mai say Muhammad (SAWS) thay Hazrat Yaqoob kay 12 sons thay so 12 tribes of Israel in total. Asher, Benjamin, Dan, Gad, Issachar, Joseph, Judah, Levi, Naphtali, Reuben, Simeon and Zebulun Israelite word use hota hai in kay liyay Suden qabeelay ka shajra-i-naseb isi tribe kay Jad-e-amjad Qais-bin-Ais kay zareeyay Hazrat Yaqoob (AS) say ja milta hai. Qais-bin-Ais Hazrat Yaqoob ki 42nd pusht mai say thay. Qis-bin-Ais apnay qabeelay kay bot bahadur sardar thay aur Toraat kay Alim-o-fazil thay. Hazoor ki khidmat mai hazir huway aur Islam qbool kiya. Yeh Allah ki maherbani thi kay ik welknown bani Israili Alim-o-Fazil insan islam kabool ker raha hai. Yahan say ham Muslim huway Hazoor nai Qis-bin-Ais ka islamic name Qais Abdul Rasheed raka Bad mai in ka shumaar namwar sahaba ki saf mai shamil huwa. Fateh-i-Mecca kay doraan Hazoor kay lashker mai shamil thay. Hazoor nai duwa fermai kay is nasal ki ta-hayaat islam ko taqweeat milay aur qia ab u rasheed ko waten wapsi ki ijazat fermai. Hazrat Khalid Bin Waleed nai apni daughter Sara ki shadi Qis say ker dee aur apnay pooray qabeelay ko sharaf-ba islam kiya. ====================================================== Qis Abdur Rasheed fot huway to 3 sons thay Gore Gaisi Batni SaraBn Suden Qabeelay ka talaq Sarabn sa hai. Pachiot mai Chapera Bn and Kala Bn mojud hain. SaraBn kay 2 sons thay SherQ Bn (Sherf-u-din) Aaker Shiun(kher-ud-din) Kair-ud-din ki nasal say Sado(Saad Ullah Khan), Afganistan ki shakh Sadozai alg hui. Saad Ullah Khan kay 5 sons thay, aur yeh 5 Sadozai kay naam say popular huway. Abu Jehd ki olaad say ik buzarg Jasi Khan (Jasa Dada we call him) apnay khandan kay sardar huway Khilji hukoomat kay dor mai Nawab Jasi Khan 1310 mai Gazni say migrate ker kay Sub Continent ayay aur manasib aab o hawa ki talah mai Poonch kay pahari areas ka Rukh kya aur Ah ker Mang aur Thorar kay between ik pahari ko apna maskan banaya jo kay aaj Jasa Peer kay naam say popular hai. Nawab jasi khan nai apni foj kay sath kuch arsa Char Sarda mai b qyaam kya. in areas mai aj b sadozai log abad hain. Nawab Jasi khan DI Khan kay rastay pehlay Jehlam, rawalpindi( Rawal jo kay ik area ka chodry tha isi kay naam per rawalpindi aur rawalakot hai, sindh say aya tha) and then Trala panch ker poonch per attack kiya. ====================================================== Us waqt poonch per Gilharoon ki hakoomat thi. Gilhar bot fighters thay unhoon nai Rawalpindi kahuta aur potohar ka area jehlum per 1310 tak hakoomat ki jo kay Nawab Jasi Khan ki fojoon nai zaberdasti un say chin liya aur Gilharoon ko river kay paar dakeila aur baad mai Mang per attack kiya kion kay Mang merkizi jaga thi aur ik pahari ko maskn bnaya jis ka naam Nawab Jasi Khan kay naam per Jasa peer raka gya. Yahn he Jasi khan ki akhri aram ga b hai aur yahin in ki fotgee hui. Nawab Jsi khan ik buzarg thay. Un kay 3 sons thay Sail Khan, Kaisra Khan aur Panjum khan. Said khan aur kaisra ki oladain Jammu o Kashmir aur Pakistan mai abad hain particularly dist. Poonch and Sadnuti. Panjam khan brothers say naraz ho ker wapis Swat chala gya. Rawalpindi say ik banda thorar gya aur Gilharoon nai us ka Nose kaat ker wapis beja. Yahan say Sadozai log aur rawal (jo kay bot amir aur jageerdar tha), sati etc nai bot force say Gilharoon per attack ker diya aur un sab kay Mens ko Qatal ker diya. Sadozai attack mai sb say ziyada thay is attack mai to Sadozaion kay he ik banda is qaflay ka Head tha. Baad mai kuch rawal aur sati wahan say wapis ah gay kion kay un ka yahi area tha lakin sadozai wahin rahay. ===================================================== Rawal sindhi tha aur spring mai Rawalakot aya kerta tha Sindh mai kot hotay hain like Mitan kot so we have Rawalakot, Deerkot,Chamen kot etc etc. ===================================================== Ghazi-e-milat Sardar Ibrahim khan (presented Kashmir Problem in UN), General Aziz Khan (ex JCOS Pakistan army) , Chichniya kay ex-President aur well known Mula Umer (Afganistan) kay talaq isi qabeela say hai. ===================================================== Sudhen Sud means Chalaak Hun means Butterfly Rawal apnay dost ko Challak Titlee keta tha. Kay tum chalaak titlian ho. ===================================================== Aaj b ham mai kuch batain traditions hain jo kay jews ki traditions thin like 1- Bath Phera (After marriage), ik bath phera huwa kerta tha hamaray haan ab ka pata nai but I remember myself kay hota tha....................yeh old jews tradition hai 2- Kuch birds ko nest banay dena aur kuch ko na banay dena like Maandoli (A bird) easily makes nests inside our homes and we dont care. this is old tradition of jews 3- Ham log Chamgader ko lasi(dood lasi) banay walay geray kay pass rakhtay hain aj b yahi hai ta kay berket ho............. aur butter zyada ho............yeh jews ki tradtion thi 4- Ham log dahee dood kay sath gosht(meat) nai khatay (mujay khud gaoon mai yeh face kerna pera hai), ku kay is say banda chamba ho jata hai means us ki skin per white Daag per jatay hain. ................. Yeh b jews ki tradition hai 5- Jews bot honest hotay hain we (majority of the people) are honest, bot gusay walay hotay hain ham mai b hai, and badla kabi nai choraty means history has proved kay jews ka badla bot dair say sahi but bot force say hota hai and we also have such kind of tradition. 4. Lakin Jews are our enemies so its unfortunate that we are related to them lakin we are not hindus some of the historians are dipicting us as Hindus but we are not hindus who are doing bloody war against Kashmiries............ ======================================================
Posted on: Sun, 10 Nov 2013 00:16:24 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015