Hum Tamashbeen Apne watan se door baith ker jab pakistan ka - TopicsExpress



          

Hum Tamashbeen Apne watan se door baith ker jab pakistan ka manzarnama dekhta hun to yeh soch ke dil dukhi ho jata hai ke waqai taqseem e hind ka faisla sahi tha?65 baras beet gaye aaj bhi yeh discussion zor shor se hoti hai ke pakistan ka Nizam e Hakumat kia hona chahiye?August ka mahina aazadi ki taqreebat ke bajaye aazadi march aur inqelab ki aamad se laraz raha hai.Imran Khan waise to aik political party ke chairman hain lekin elected prime minister se resign ka ghair aainee mutalba kerte huwe unko kisi baat ki perwah nahin isi parliament ka hissa hote huwe electoral committee mein shaamil ho ker bhi naye election ki demand ki ja rahi hai.Kia is politician ne aik baar bhi operation Azb ki favour mein aik bhi biyan diya hai?Power greed aur lust mein inke hosh hawaas kahin dafan ho chuke hain.Aik aur Canadian citizen jo pakistan ki badnaseebi yahan paida to ho gaye ab isi mulk ko jhoote inqelab ke jhoote gumrahkun naaron ki wajah se azaab mein mubtla ker rakha hai rozana hakumat mein kuch logon ko galiyan dhamkiyan dena inka shewa hai aise aise barsati mandak jin ko kabhi na dekha na suna tv talk shows mein munh se jhaag urra rahe hote hain.Doosri taraf media 24 ghante be yaqeeni ki aisi fiza paida ker chuke hain ke hairat hi khatm nahin ho rahi.Apne hi watan mein lakhon log be ghar ho chuke loadsheddin aur crimes ne mulk ko azaab e musalsal mein daal rakha hai aur kuch handicap politicians jo zehni aarze mein bhi mubtla hain unki duniya to kharab hai hi aakhrat bhi berbad kerne pe tule huwe hain ch.shujaat aur ch.pervez elahi aur siyasat ke naam pe siyah dhaba Sh.rasheed inka is tamasha mein kirdar dekhein .Ab hakumat jo waise to Zardari government se dus guna behter hai phir bhi apni dheeli dhaali tarze hakumat se mayus ker chuki hai.Phir bhi usko kaam kerne ka mauqa milna chahiye.Hairat hai sari deegar parties democracy ke haq mein hain lekin deliver nahin ker pa rahi.Aik tamasha duniya mein bana diya hai.Imran Khan aur Moulvi Qadri khali haath rahein ge lekin aik karrwa sach yeh hai ke agar hakumat ko chalne na diya giya to Khuda na kare phir yahan kabhi bhi democracy yaani mojuda pakistan mein nahin aa sake gi.
Posted on: Fri, 08 Aug 2014 03:50:54 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015