Huzoor Nabi Akram (S.A.W.) ne irshad farmaya ki qabar par koi din - TopicsExpress



          

Huzoor Nabi Akram (S.A.W.) ne irshad farmaya ki qabar par koi din aisa nahi guzarta jis din woh ye elaan na karti ho ki Aye Aadam ke bete tu mujhe bhool gaya. Main tanhayee ka ghar hoon, Main wehshat ka ghar hoon, Main tangee ka ghar hoon, Main keedo ka ghar hoon. Jab murde ko qabar mein dafan karte hain to qabar se ye aawaz aati ahi ki Aye Shakhstu kitna ghafil aur befikr tha ki tu mere seene ko saari umar badi be dardi se raundta raha hala ki tu jaanta tha ki teri aakhri manzil main hoon aur mere andar keedo ki panaah gaahein hain main ranj-o-takleef ki jagah hoon main woh haibat naak jagah hoon jahan sirf andhera hi andhera hai lekin afsos ki tune kabhi na soca na yaad rakha ! Qabar kehti hai ki main in marne walo ke kafan phaad deti hoon, Badan ke tukde - tukde kar deti hoon, khoon sara choos leti hoon, gosht kha leti hoon aur aadmi ke jod jod juda kar deti hoon.
Posted on: Fri, 02 Aug 2013 10:55:38 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015