IMAM JAFAR RAIHMATULLAH ALAIH ne farmaya! Ummat par es se barh - TopicsExpress



          

IMAM JAFAR RAIHMATULLAH ALAIH ne farmaya! Ummat par es se barh k kon sa fitna hoga k qayas karen umor deen me apni rae se, aur haram karain us cheez ko k jisai halal kia ALLAH nai, aur halal karain us cheez ko k jisai haram kia ALLAH nai. (MEZAN AL-SHIARANI SAFAH NO 69-70 ) DEEN mai Qayas aur rae ka dakhal nahi. Sab sai piahlai Qayas shaitan nai kia tha jo randa-a-Dargah huwa Qayamat tak us pai ALLAH ki lanat rahigi aur bilaakhir wasil-a-Jaihannam hoga. Qayas aur rae sai fatawai dainai walai Bhi usai k bhae hain. HAZRAT ALI RAZI ALLAH HU UNHO sai riwaet hai k Aqal kaihti hai k moza nechai sai ganda hota hai tu mozai pai masah nechai sai karna chahiye lakin mai nai RASOOL ALLAH SALLALLAHO AALAIHI WASALLAM KO oper sai masah kartai huwai dekha hai. [Abu Dawood,Hadees no 162, kitabul Taharah, Bab Masah k sai kia jae ] Logo bila daleel fatawon aur kisi bhi cheez ko bila daleel apnai oper haram ya halal na kar lo, warna tumhara shumar bhi un logo me hoga jin k mutalliq ALLAH RABBUL EZZAT ne QURAAN mai kaha k unhon nai ALLAH KO chor k apne ulmaun aur darvaishon ko ALLAH bana lea tha. (SURAH TOUBA-31) Apni rae ya qayas sai fatawe dena jahalat aur Gumrahi hai hai.
Posted on: Sun, 24 Nov 2013 17:38:18 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015