Ilm-e-Gheib: Defination: Ghieb wo chupi hui cheez hai jin ko - TopicsExpress



          

Ilm-e-Gheib: Defination: Ghieb wo chupi hui cheez hai jin ko insan na tou naak kaan aankh waghera, hawaas sey mehsoos ker sakta hai aur na he aisi baat jo khud ba khud he aql main aajai. Lehaza Punjab waly k liay Bumbai ilm-e-gheib nahi, kyun k ya tou us sey es k bary main suna hoga ya es city ko dekha ho ga, eshe terhan khaney ka zaiqa bhi ilm-e-gheib nahi kyun k weisy yeh dikhta nahi laikin hum esko mehsoos ker sakty hain. Tou jinaat, farishtey aur jannat, dozakh humary liay ilm-e-gheib hai, kyun k na he inhain hawas sey maloom ker sakty hain aur nahe binna daleel aql sey. Types: Ilm-e-Gheib 2 types ka hota hai, aik type yeh hai jisko hum dalail sey maloom ker sakty hain, jeisy jaanat aur jahanum ka hona, yeh aisa ilm hai jis ko humain Qurani aayaat aur Ahadees perh ker dalail k zariyay Hasil hota hai. Dosri type ilm-e- gheib ki yeh hai jo daleelon sey maloom na ho saky, jeisy moat kub aai gi, qayamt kub aaigi, maa k pait main lerka hai ya lerki, neik hai ya badbakht waghera. Es dosri type ko ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ ney quran-e-paak main define kia:Gheib Ka janany wala tou apny Gheib ko kisi per musalat nahi kerta, siwai apny pasandeeda RASOOLON k.(Sura Al-Jin, Verse:26-27)Es ayat sey sabit hua k yeh dosri type ka ilm-e-Gheib kisi ko bhi atta nahi ho sakta, siwai us k jis ko ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ apney karam sey atta ker dey. Ilm-e-Gheib k Characterristics: Anbiya Sey Related:- ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ k batai begheir koi aik harf bhi nahi jaan sakta.-Huzoor ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ aur deegar anbiya-e-karaam ko Rub ﻋﺰﻭﺟﻞ ney baaz cheezon ka ilm-e-gheib atta kia.(Es point ko aagy chal ker References k sath proove kia jai ga)-AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ka ilm saari khalqat sey ziada hai.Yeh teen batain Zarooriat- e-deen main sey hain, inka inkar kerna KUFR hai Auliya Sey Related:- Auliya ALLAH ko bhi anbiya-e-karaam k wastey sey kuch ilm-e-gheib atta hota hai.Jo Auliya k ilm-e-gheib ka munkir hai wo gumrah-o- baddeen hai. Ilm-e-Gheib Proof From References: -Aur ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ ney Adam ko tamaam ashiya k naam sikhai phir sub ashiya MALAIKA per pesh keen.(Sura Baqara, Verse:31)Es ayat ki tafseer Rohul Bayan main hai:Aur Adam ﻋﻠﯿﮧ ﺍﻟﺴﻼﻡ ko cheezon k halaat sikhai aur jo kuch in main deeni aur dunyawi nafah hai wo batai aur inko farishton k naam inki aulaad aur heiwanaat aur jamadaat k naam batai aur her cheez ka banana bataya, tamaam shehron parindon aur darakhtoon k naam jo ho chuka aur jo kuch hoga in k naam sikhai, jo qayamat tak peida hon gey in k naam sikhai, aur Adam ﻋﻠﯿﮧ ﺍﻟﺴﻼﻡ ko 7 lakh zabanain sikhai gaeen. Lehaza ouper batai gai tafseer sey sabit hua k ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Anbiya-e-karaam ko apny karam sey ilm-e-gheib atta kerny per qaadir hai. Ab jo main topic hai us k references diay jaty hain: Ilm-e-Gheib-e-MUSTAFA ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ : Quranic References:-Wo kon hai jo es k yahan shifaat kary, begheir es k hukm k janta hai, jo kuch in k aagey hai aur jo kuch in k peechy hai. (Sura Baqra, Verse:255)Es ayat ki tafseer Rohul Bayan main es terhan sey hai:Hazoor ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ makhlooq sey pehly k halaat janty hain, ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ k makhlooq peida kerny k halaat aur in k baad k halaat bhi janty hain. (Tafseer Rohul Bayan, V:1, Page:43) -Aur ALLAH ki yeh shan nahi hai k aey aam logo tum ko gheib ka ilm dey, han ALLAH chun leita hai apny Rasoolon main sey jis ko chahy.(Sura Al- Imran, Ayat:179) -Tou apny gheib per kisi ko musalat nahi kerta, siwai apny pasandeeda Rasoolon k.(Sura Jin, Verse:26) Ahadees-e-Mubarika: -Hazrat Moosa ﻋﻠﯿﮧ ﺍﻟﺴﻼﻡ choonti k qadmo ki awaaz raat k andhery main 10 fersakh k fasley sey sunty they. Jub Hazrat Moosa ﻋﻠﯿﮧ ﺍﻟﺴﻼﻡ k ilm ka yeh maqaam tha tou AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ k ilm ka kya maqaam hoga kyun k aap tou Nabiyoon k Serdar hain.(Musnad Imam Ahmed Bin Hunbal, V:1, Page:290) -Aik shaks ney kaha, Aey ALLAH k Nabi ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ mera baap kon hai? tou aap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney ferma dia k tera baap falaan hai, phir yeh ayat-e-kareema nazil hui k Nabi sey aisi batain na poocha karo k tumhary aagey bayan ker di jaian aur tumhain bura laggy.(Sahi Bukhari, V:2, Page:1083) -Aap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ sey aisi cheezon k bary main poocha gaya jinhain aap ney napasand fermaya, jub baar baar sawal hua tou aap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ naraz ho gai aur logo sey fermaya tum mujh sey jis cheez k bary main chahty ho sawal karo, aik shaks ney kaha bera baap kon hai, aap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney eski baat ka jawab dey dia, phir aik dosra shaks khara hua es ney bhi yehi sawal kia, AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney uska bhi jawab dey dia. Jub Hazrat Umer ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ ney Aap ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ k muqadus chehrey per narazgi dekhi tou fermaya, Ya Rasool ALLAH, hum ALLAH ki bargah main TAUBA kerty hain.(Sahi Bukhari, V:1, Page:19) -Tum mujh sey jiss cheez k mutaliq sawal karo gey main tumhain es cheez k mutaliq bayan karoon ga.(Musnad Imam Ahmed Bin Hunbal, V:3, Page:177) -Huzoor ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney aik jaga qayam fermaya aur humain qannatiyon aur jahanamiyon ki khabr di, yahan tak k jannati apni manzilon main pohanch gai aur jahanami apni.(Sahi Bukhari, V:1, Page:453) -Hazoor ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney fermaya:Main aik aisi bakri ko dekhta hon jissy es k maalik ki ijazat k begheir zibah kia gaya.(Al-Wafa, V:1, Page:314) -Hazoor ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney fermaya k tumhary paas ahl-e-jannat ka aik shaqs aaraha hai, tou Hazrat Abu Bakr ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ aai aur salam ker k beith gai.(Al-Mustadrak, V:3, Page:73) -Aik mertaba Hazrat Talha ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ k paas sey guzrey tou Huzoor ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney fermaya, SHAHEED zameen per chal raha hai.(Sanan Ibn-e-Maaja, V:1, Page:46) Lehaza in tamaam references sey SABIT hua k AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ko ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ ney apny atta kerda ilm-e-gheib sey nawaza. ﺟﺰﺍﻙ ﺍﻟﻠﻪ ﺧﻴﺮﺍ
Posted on: Tue, 25 Feb 2014 11:22:11 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015