Insaan Ki Jawani Ka Sawal Qayamat Me ….. . » Hadees : - TopicsExpress



          

Insaan Ki Jawani Ka Sawal Qayamat Me ….. . » Hadees : Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke, “Insaan Ke Qadam Qayamat Ke Din Allah Ta’ala Ke Saamne Se Uss Waqt Tak Nahi Hatenge Jab Tak Ke Uss Se Iss Ki Jawaani Ke Baare Me Sawaal Na Kar Liya Jaye Ke Iss Ko Kaha Kharch Kiya”. - (Tirmizi Shareef: #2416) . » Hadees : Hazrat Abu Barza (Razi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshaad Farmaya, “Qayamat Ke Din Aadmi Ke Dono Kadam Uss Waqt Tak (Hisaab Ki Jagah Se) Nahi Hat Sakte, Jab Tak Uss Se In Cheezon Ke Bare Me Na Puch Liya Jaaye. . Apni Umr Kis Kaam Me Kharch Ki? . Apne Ilm Par Kya Amal Kiya? . Maal Kahan Se Kamaya Aur Kahan Kharch Kiya? . Apni Jismani Quwwat Kis Kaam Me Lagayi? . - (Tirmizi Shareef: #2417)
Posted on: Fri, 16 Aug 2013 17:11:38 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015