Interest system hi is duniya me sab se bada economic samaysa - TopicsExpress



          

Interest system hi is duniya me sab se bada economic samaysa hai.For example, ek kisan ko kheti karne ke liye 1 rupee chahiye to wo 5% interest me paisa lete hai.Utpadan ke bad uska daam kul milakar manlo Rs.2 chahiye lekin wo Rs 1 ke upar daam nahi patein aur interest milakar rupee 1.05 chukana padta hai.So loss aap ke saamne hai...Aur jis ke pass paisa hai wo bina kaam kiye ghar me bet ke 1 rupee de kar 1.05 kama lete hai.Doston hum kaam is liye karte hai kyu ki humein khana padta hai...Lekin aisein bhi hai jo kaam nahi karte lekin uske pas khana hota hai jaise ki wo 1 rupee interest dene wala...Aur jis ne kaam kar ke aapni sarir ko kankal bana liya us ko khana mehnga padtein hai..ye jo khokla system hai na ek din sab ko mehnga padega! Aur ek chis,ab to Ration saste me kuch dene ki baat chal rahe hai,doston matter ye hai ki, sarkar to anaaj kharidega kisan se hi na agar Rs.10/k.g geho kharid ke wo Rs.2 me bechte hai to yaha faida kaha par hai...Aur sarkar kharidte to hai janta ki paisein se hi doston! Aur jo middle class family APL gina jata hai uska haal kya hoga kyu ki agar BPL ko kam daam me anaj milte hai to wo khet me kyu kaam karega? aur jo APL holder, kisan nikla to uska kya hoga..Kyu ki tab utpadan karcha jayda ho jayega..Aur Utpadan ka daam kam ho jayega... Ye ulta sida economic policy humein kis taraf leke ja raha hai doston..? Log garib se aamir bante hai aur yaha APL hi BPL hone ki rastein par hai.
Posted on: Thu, 12 Sep 2013 14:49:17 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015