JUMMA MUBARAK 2 Surah al-Baqarah, Aayat 255 : Allahu laa ilaaha - TopicsExpress



          

JUMMA MUBARAK 2 Surah al-Baqarah, Aayat 255 : Allahu laa ilaaha illa huwa, Al hayyul qayyum, Laa taakhuzuhoo sinatunw wa laa nawm, Lahoo ma fis samaawaati wa ma fil ardi, Man zallazee yashfa-u indahoo illa bi-iznihee, Ya’alamu ma bayna aideehim wa ma khalfhum, Wa la yuheetoona bi-shay-inm min ilmihee illa bima sha-a’a, Wasia kursiyyuhus samaawaati wal ardi, Wa la yaooduhoo hifzuhuma wa huwal aliyul azeem. ********* Tarjuma : ALLAH ke siwa koi ibadat ke laaiq nahi, Wo hamesha zinda rehne wala hai, qaaim rehne wala aur (saari kaainat ko) qaaim rakhne wala hai, Na usko oongh aati hain aur na neend, Jo kuchh aasmano me hai aur jo kuchh zameeno me hai sab us ka hai, Kaun aisa shakhs hai jo uske huzoor uske izn ke bagair sifaarish kar sake, Jo kuchh makhlooqat ke saamne hai aur jo kuchh unke ba’ad (hone wala) hai wo sab jaanta hai, Aur wo us ke ma’aloomaat me se kisi chiz ka bhi ahaat nahi kar sakte magar jis qadar wo chahe , Us ki (Qudrat wa Saltanat ki) kursi tamam aasmano aur zameeno ko ghere hue hai, Aur us par un dono ki hifazat hargiz dushwar nahi, Wo hi sab se buland aur badi azmat wala hai. Translation : Allah! None is worthy of worship but He, the Ever-Living, the Self-Subsisting, the One Who sustains and protects (the entire universe with His Strategy). He is seized by neither slumber nor sleep. Whatever is in the heavens and whatever is in the earth belongs to Him alone. Who can dare intercede with Him except by His permission? (He) knows all that is (happening or has happened) before the Creation and all that is (about to happen) after them; and they cannot encompass anything of His knowledge except that which He wills. His Throne (of Empire and Power & Authority) encompasses the heavens and the earth, and the protection of both (the earth and the heavens) does not pose Him any difficulty. He alone is Most High, Most Great. ******** Fazeelat : (1) Hadeese Nabawi : Jo shakhs har farz namaz ke baad Aayatul Kursi ki tilawat karega, uske Jannat me dakhil hone ke darmiyan sirf maut hai. (Nasai, Ibne Habban) (2) Jo shakhs farz namaz padhne ke baad Aayatul Kursi ki tilawat karega wo dusri namaz tak ALLAH ta’ala ki khas hifazat me rahega. (Tibrani) (3) Jo bhi sote waqt Aayatul Kursi ki tilawat karega, ALLAH ta’ala use aur uske gharwalo ko apni hifazat ata farmaega. (Marqat Sharah Mishkaat) (4) Jis ghar me Aayatul Kursi ki tilawat hoti hai jinn aur shaitan uske nazdeek nahi aate. (Tirmizi Altargheeb Wal Tarheeb Lilmanzari, Jild -2, Safa -631) (5) Agar koi ghar me tanha ho aur wo Aayatul Kursi ki tilawat kare aur ALLAH ta’ala se madad chahe, to ALLAH ta’ala use amno sukoon ata farmaega aur har khauf se najaat ata farmaega. (6) Agar koi shakhs Subh ke waqt Aayatul Kursi ki tilawat kar le to wo pura din ALLAH ta’ala ki hifazat me rahega. (7) Ghar se nikalte waqt Aayatul Kursi ki tilawat karne se ALLAH ta’ala farishto ke giroh ko bhejkar hifazat karta hai. (8) Hazrate Aaisha radiallahu ta’ala anha se riwayat hai ke Ek baar ek sahabi ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki baargah me aakar kaha ke ‘Mere yaha kisi chiz me barkat nahi hai.’ Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ‘Tum apne khane par Aayatul Kursi tilawat nahi karte ho. Jis khane ki chiz par tum Aayatul Kursi ki tilawat karoge, ALLAH ta’ala us me barkat ata farmaega.’ (Tafseer Dar Manshoor, Jild -1, Safa -323) (9) Agar koi har roz zyada Aayatul Kursi ki tilawat karega to ALLAH ta’ala use maut ke waqt aasani ata farmaega. (10) Jab koi Aayatul Kursi tilawat karke apne marhoomo ko isale sawab karega, to ALLAH ta’ala unki qabro me noor ata farmaega. SHARE IT MAXIMUM
Posted on: Fri, 21 Jun 2013 03:38:11 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015