Jab +2 ki thi paas, socha na tha kuch khas, Phir socha kar leta - TopicsExpress



          

Jab +2 ki thi paas, socha na tha kuch khas, Phir socha kar leta hoo CA, baki sab course lage bakwaas CA karne ki li thaan, de daala CPT ka exam First attempt mein ho gaya clear, Na raha kisi baat ka fear IPCC mein jo bhi ho i was ready to bear Magar yaha aa ke jaana, Ye to hai Negativity ka khajana har koi kehta hai bhaut kathin hai CA ki degree, Na laga tu is samundar mein dubki My friends main hamesha se yahi sunta aaya hu ki Nothing is impossible in life, phir why do we treat our CA course as most difficult course in this world. Bachpan mein mummy ji ik darr ke shaitaan ki kahani batate the, who used to get energy from our fear, ye CA bhi ik us tarah ka hi shaitaan hi, jisse jitna daroge ye utna taktvar hoga... To fight with this demon instill yourself with positive energy, just treat it like any other course. Never listen to negative people jo apni haar ka rona hi rote hai, In that case be deaf and dumb. Aapne Circus ka hathi dekha hoga jab vo chota hota hai to use ik rassi se bandh ke rakha jaata hai; Bade hone tak uska trust bana diya jata hai ki rope is very strong, So he dont even try to break it when has power. All this happens with us jab ham chote CPT vale bacche hote hai to ye negativity hamme instill kar di jaati hai; Jo hamare IPCC vali maturity aane tak khatam nai hoti. Agar isi sari negative energy ko ham koi convertor laga ke positive energy mein convert kar de to we will get fabulous results..
Posted on: Thu, 01 Aug 2013 12:41:29 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015