Jain Gyan : The meaning of word AAIGARANAM:- Jain dharma matlab - TopicsExpress



          

Jain Gyan : The meaning of word AAIGARANAM:- Jain dharma matlab tatv aur sidhhant ki manyata. Bhagwan ka swarup bhi vishesh hai. Naastik log ishwar ko nahi mante. Lekin jain dharma ki drashti se dekha jaye toh bhagwan ki seat k liye koi quota ya reservation nahi hai. Tirthankar naam karma har koi apne purusharth k upar baandh sakta hai. Koi shala (school) main jane wala hoshiyaar bachha achhe marks se pass hota hai lekin pass hote hi school ka shikshak (teacher) ban jaye wo jaruri nahi hai. Lekin agar B.Ed. (bachlor of education) college main padhne wale har student ko shikshak banne ka pura mouka milta hai. Jain dharma bhi theek issi B.Ed. college ki tarah hai jo har jeev ko tirthankar banne ka mouka deta hai. Bhakti 2 prakaar se hoti hai. 1. Jitne bhi tirthankar ho gaye wo sab ki bhakti 2. Tirthankar banne k liye ki bhakti The great philosopher barnad show ne kaha tha k "in jainism god is never a monopoly game". Aaigaranam ka matlab hai aadikar. (Aadikar~starter) Bhagwan bhi ek din apne jaise hi the aur purusharth kar k prabhu bane. Hum sabhi purusharth kar k prabhu ban sakte hai. Dharma ka field koi private trust nahi hai k jaha pe koi ek aadmi hamesha k liye trustee rahe, dharma ka field toh public trust hai jaha pe har kisi ko apne aatma k gun k upar prabhu banne ki trustee ship milti hai. Bhagwan ko aadikar bol k ye kaha gaya hai k wo bhi ek din apne jaise hi the. Mumbai ya toh kisi baddi si city main rehne wale kisi mitra ko jaise gaav (villege) main rehne wala purana dost puchta hai k "hum dono toh bahot purane mitra hai, tuje yaad hai hum gaav main saath main rehte the?" Hey prabhu nigod main hum dono ne anant samay saath main guzara hai. Kabhi tiryanch gati main toh kabhi dev lok main saath the. Kabhi kisi prabhu k samvasran main saath beth k deshna suni hai. Kabhi aisa bhi tha k main sheth tha aur aap nokar lekin hey prabhu !! Hey taaran haar aaj aap toh pure jagat k swami ho. Mukti sukh k bhokta ho. Toh aao sab saath mil k aise param pita parmeshwar ko prathana karte hai HEY PRABHU BHUTKAAL (PAST) HUM DONO KA EK JAISA THA TOH AB HUM PAR AISI KRIPA KARNA K JO AAP KA VARTMAAN (PRESENT) HAI WO BAHOT JALDI HAMARA BHAVISHYA (FUTURE) BAN JAYE. Jai Jinendra || Jainam jayati Shashanam!!!!
Posted on: Wed, 17 Jul 2013 18:36:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015