Janab Irshad Bhaijan, Azhar shaikh, Ahsan aur mere muslman bhaiyo - TopicsExpress



          

Janab Irshad Bhaijan, Azhar shaikh, Ahsan aur mere muslman bhaiyo aapse mera sawal yeh hai ke Hyderabad ki Sadiye mubeen ka jo qissa aaplogon ne share kiya hai, kya uski sachchai ki tahqeeq ki hai? aur agar nahi ki hai to yah hadith aap par lagu hoti hai. Sayyadana Abu Huraira (RA) bayan karte hain ke Rasoolallah sallallhu alaihi wa sallam ne farmaya : Aadmi ke liye jhuta hone keliye yahi kaafi hai ke jo kuchh sune use aage bayan karde. ( Muslim) Is qisse ko padhne ke baad bahut afsos hua. Shuru jawani ke dinon mein, ek aisi kitab ko padh liya jismein is qism ke qisse thay jo shahwat jagane keliye bazaron mein footpath par milte hain. Yeh qissa usi type ka laga. Maan lijiye agar yeh sahi bhi hai to ise share karke aap log kya kar rahe hain? Is tarah kya aap us mazloom ki kuchh madat kar rahe hain ya Us mazloom ki izzat ko sare aam uchhal rahe hain?
Posted on: Wed, 18 Sep 2013 02:39:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015