∗ Jannati Koun Hai ? * Al-Quraan : “(Jannati Wo Hain) Jo - TopicsExpress



          

∗ Jannati Koun Hai ? * Al-Quraan : “(Jannati Wo Hain) Jo Kehte Hai Ke Aye Hamare Rab! Hum Imaan Laa Chuke Iss Liye Hamare Gunaah Muaf Farma Aur Hame Aag Ke Azaab Se Bacha. Jo Sabr Karne Wale Aur Sach Bolne Waale Aur Farmabardari Karne Waale Aur Allah Ki Raah Me Kharch Karne Waale Aur (Raat Ke) Pichle Pehar Me Bakshish Maangne Waale Hain”. -: (Sura Aal-e-Imran : Aayat 16,17) » Hadees : Hazrat Abu Saeed Khudri (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Rivayat Hai Ki Nabi-E-Kareem (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Jo Shakhs Apne Deen (Islam) Ki Taalim Ke Liye Subha-Shaam Chala Wo Jannati Hai.” -: (Kanzul Ummal Part-10 Page-80)
Posted on: Sat, 24 Aug 2013 13:30:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015