Jawab e Shikwa__ Dil se jo baat nikalti hai, asar rakhti - TopicsExpress



          

Jawab e Shikwa__ Dil se jo baat nikalti hai, asar rakhti hai, Par nahin, taaqat-e-parwaaz magar rakhti hai Qudsi-ul-asal hai, rifat pe nazar rakhti hai, Khaak se uthti hai, gardoon pe guzar rakhti hai Ishq tha fitna gar-o-sarkash-o-chalaak mera, Aasman cheer gaya nala-e-bebaak mera Peer-e-gardoon ne kaha sun ke, kahin hai koi! Bole sayyaare, sar-e-arsh-e-bareen hai koi! Chaand kahta tha, nahin, ahl-e-zamin hai koi! Kahkashaan kahti thi, poshida yahin hai koi! Kuchh jo samjha mere shikwe ko to Rizwan samjha, Mujhe jannat se nikala hua insaan samjha Thi farishton ko bhi hairat, ke yeh aawaaz hai kya? Arsh waalon pe bhi khulta nahin yeh raaz hai kya? Taa sar-e-arsh bhi insaan ki tag-o-taaz hai kya? Aa gai khak ki chutki ko bhi parwaaz hai kya? Ghaafil aadaab se yeh sukkaan-e-zameen kaise hain, Shokh-o-gustaakh yeh pasti ke makin kaise hain Is qadar shookh ke Allah se bhi barham hai, Tha jo masjud-e-malaik yeh wohi Aadam hai? Aalam-e kaif hai, dana-e-rumuz-e-kam hai, Haan, magar ijaz ke asrar se namahram hai. Naaz hai taaqat-e-guftaar pe insaanon ko, Baat karne ka saliqa nahin nadaanon ko! Aai aawaaz ghum-angez hai afsana tera, Ashk-e-betaab se labrez hai paimana tera. Aasman geer huva Nara-e-Mastana tera Kis qadar shook hai Dil-e-Deewana tera Shukr shikwe ko kiya husn-e-ada se tu ne, Hum-sukhan kar diya bandon ko khuda se tu ne Hum tau mayal-ba-karam hain, koi sayal hi nahin, Rah dikhlain kise? rahraw-e-manzil hi nahin Tarbiat aam tau hai, jauhar-e-qabil hi nahin, Jis se taamir ho aadam ki yeh who gil hi nahin. Koi qabil ho tau hum shan-e-kai dete hain; Dhoondne waalon ko duniya bhi nai dete hain! Haath be-zor hain, ilhaad se dil khoo-gar hain, Ummati baais-e-ruswai-e-paighamber hain But-shikan uth gaye, baaqi jo rahe but-gar hain, Tha Brahim pidar, aur pisar Aazar hain Bada aasham naye, baada naya, khum bhi naye, Harm-e-Kaaba naya, But bhi naye, tum bhi naye Who bhi din the ke yehi maya-e-ranai tha, Naazish-e-mausam-e-gul lala-e-sahraai tha! Jo Musalmaan tha Allah ka shaidai tha, Kabhi mehboob tumhara yahi harjaai tha kisi Ek-jaai se ab Ahd-e Ghulami karlo Millat-e-Ahmad-e Mursal ko Muqaami karlo Kis qadar tum pe giran subh ki bedaari hai Hum se kab pyar hai, haan neend tumhen pyari hai Tabae aazad pe qaid-e-Ramazan bhari hai Tum hi kah do kya yahi aaen-e-vafa dari hai? Qaum Mazhab se hai, Mazhab jo nahi tum bhi nahin Jazb-e-baaham jo nahi Mahfil-e-anjum bhi nahin Jin ko aata nahin Duniya me koi fun, tum ho Nahin jis qaum ko parwaay-e-Nasheman, tum ho Bijliyaan jis me ho aasuda, wo Khirman, tum ho Bech khaate hain jo aslaaf ke madfan, tum ho Ho niko naam jo Qabron ki tijarat karke Kya na bechoge jo miljaayen sanam patthar ke ? Safha-e-dahar se baatil ko mitaya kis ne? Nau-e-insaan ko ghulami se chhuDaya kis ne? Mere Kabe ko jabeenon se basaya kis ne? Mere Quran ko seenon se lagaya kis ne? Thhe to aaba who tumhaare hi, magar tum kya ho? Haath par haath dhare muntazar-e-farda ho! Kya kaha? bahr-e-musalmaan hai faqt wade-e-hur, Shikwa beja bhi kare koi to laazim hai shaur! Adal hai faatir-e-hasti ka azal se dastur, Muslim aaeen hua kafir tau mile hur-o-qasur; Tum mein hooron ka koichahne wala hi nahin, Jalwa-e-tur tau maujood hai, Moosa hi nahin. Munfiat ek hai is qaum ki, nuqsaan bhi ek, Ek hi sab ka nabi, deen bhi, eemaan bhi ek, Haram-e-paak bhi, Allah bhi, Quran bhi ek, Kuchh baDi baat thi hote jo musalmaan bhi ek! Firqa bandi hai kahin, aur kahin zaaten hain. Kya zamane mein panpaneki yehi baaten hain? Kaun hai Taarik-e-Aain-e-Rasool-e-Mukhtaar? Maslihat Waqt ki hai kis ke Amal ka Maiyar? Kis ki aankhon me samaya hai Shiaar-e-Aghyaar? Ho gayi kis ki nigah Tarz-e-Salaf se Bezaar? Qalb me Soz nahi, Rooh me Ehsaas nahin Kuch bhi Paigham-e-Muhammad(SAW) ka tumhen paas nahin Jaa ke hote hain masaajid mein saf-aara tau gharib, Zahmat-e-roza jo karte hain gawara tau gharib. Naam leta hai agar koi hamara, tau gharib, Pardah rakhta hao agar koi tumhara, tau gharib. Umra nasha-e-daulat mein hain ghafil hum se, Zinda hai millat-e-baiza ghurba ke dam se. Waez-e-Qaum ki wo pukhta khayali na rahi Barq tabai na rahi, shola maqali na rahi rah gayi rasm-e-azan rooh-e-bilaali na rahi falsafa rah gaya, talqeen-e-gazali na rahi Masjiden marsiya khwan hain ke Namazi na rahe Yani wo sahab-e-awsaaf-e-Hijaazi na rahe Shor hai ho gaye duniya se musalmaan naabood, Hum yeh kahte hain ke the bhi kahin Muslim maujood? Waza mein tum ho nasaara, to tamuddan mein Hanood, Yeh musalmaan hain? Jinhen dekh ke sharmain Yahud! Yun to sayyad bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho Tum sabhi kuch ho, batao to musalmaan bhi ho? Dam-e-taqreer thi muslim ki sadaqat bebaak Adal is ka tha Qawi, laus-e-maraat se paak Sahajr-e-fitrat-e-muslim tha haya se namnaak Tha shujaat me wo ek Hasti-e-fauqul idraak Khud gudaazi nam-e-kaifiat sahbayash buad khali az khuwesh shudan surat-e-Meenaish buad Har musalmaan rag-e-baatil ke liye nashtar tha Is ke aaina-e-hasti me Amal jauhar tha Jo bharosa tha ise quwwat-e-baazu par tha hai tumhen maut ka dar, usko Khuda ka dar tha Baap ka ilm na bete ko agar azbar ho, Phir pisar qabil-e-miraas-e-pidar kyonkar ho? Har koi mast-e-mai-e-zauq-e-tan aasaani hai, Tum musalmaan ho? Yeh andaaz-e-musalmaani hai? Haidari Faqr hai, ne daulat-e-Usmaani hai Tum ko aslaaf se kya nisbat-e-Ruhaani hai? wo zamaane me Muazziz the Musalmaan ho kar Aur tum khwar huve taarik-e-Quraan ho kar Tum ho aapas me ghazabnaak, wo aapas me rahim Tum khatakaar-o-khata been, wo khata posh o karim Chaahte sab hain ke hon auj-e-surayya pe muqeem, Pahle waisa koi paida tau kare qalb-e-salim! Takht-e-Faghfoor bhi un ka tha, sareere ke bhi yun hi baaten hain tum me ke wo hamiyyat hai bhi? Khud kushi Shewa tumhara wo Ghuyur-o-Khuddar Tum ukhuwwat se gurezan, wo ukhuwwat pe nisar Tum ho Guftaar sarapa, wo sarapa Kirdar Tum taraste ho kali ko wo gulistaan bakinar Ab talak yaad hai Qaumon ko hikayat unki Naqsh hai safha-e-hasti pe sadaqat unki Misl-e-Anjum ufaq-eQaum pe raushan bhi huve But-e-hindi ki muhabbat me Birahman bhi huve Shauq-e-parwaaz me mahjoor-enasheman bhi huve Be amal the hi jawan, deen se badzan bhi huve Unko tahzeeb ne har band se aazad kiya Laake kaabe se sanam khaane me aabad kiya Qais zahmat kash-e-tanhaai-e-sahra na rahe Shahar ki hawa khaaye baday-e-paimaana rahe wo to deewana hai, basti me rahe ya na rahe Ye zaruri hai, rukh-e-hijaab-e-laila na rahe Gila jor na ho, shikwa bedar na ho Ishq aazad hai, kyun husn bhi aazad na ho? Ahd-e-nau barq hai, aatish zan-e-har khirman hai, Aiman is se koi sahra no koi gulshan hai. Is nai aag ka aqwaam-e-kuhan eendhan hai, Millat-e-khatam-e-rusul shoula ba parahan hai. Aaj bhi ho jo baraheem ka eeman paida aag karsakti hai andaaz-e-gulistaan paida Dekh kar range-e-chaman ho na pareshan maali, Kookab-e-ghuncha se shaakhen hain chamakne wali, Khas-o-khashaak se hota hai gulistan khaali, Gul bar andaaz hai khun-e-shuhda ki laali. Rang gardoon ka zara dekh tau unnabi hai, Yeh nikalte hue suraj ki ufaq taabi hai. Ummaten gulshan-e-hasti me samar cheeda bhi hain Aur Mahrum-e-samar bhi hain, khizaan deeda bhi hain Sainkdon nakhl hain, kaaheeda bhi hain, baaleeda bhi hain Sainkdon batan-e-chaman me abhi posheeda bhi hain Nakhl-e-Islam namoona hai bro-mandi ka, Phal hai yeh sainkron saalon ki chaman bandi ka. Paak hai gard-watan se sardaaman tera Tu wo Yusuf hai ke har Misr hai Kanan tera Qaafila ho na sakega kabhi weeran tera, Ghair yak baang-e-dara kuchh nahin samaan tera. Nakhl-e-shama asti-o-dar should dood resha-e-tu, Aaqbat soz bood saya-e-andesha-e-tu. Tu na mit jaayega Iran ke mit jaane se Nasha-eMai ko Taalluq nahi paimaane se Hai Ayan yurish-e-tatar ke afsaane se Paasbaan mil gaye kabe ko sanam khaane se Kashti-e-Haq ka zamaane me sahara tu hai Asr-e-Nauraat hai, Dhundla sa sitara tu hai Hai jo hangaama bapa Yurish-e-Balghaari ka Ghaafilon ke liye paigham hai Bedaari ka Tu ye samajhta hai, ye saaman hai Dil aazari ka? Imtehaan hai tere eesar ka, Khuddari ka Kyun harasan hai Saheel-e-Faras-e-Ada se Noor-e-Haq bujh na sakega Nafas-e-Ada se Chasm-e-Aqwaam se Makhfi hai abhi haqeeqat teri Hai abhi Mahfil-e-Hasti ko Zarurat teri Zinda rakhti hai Zamaane ko Hararat teri Kaukab-e-Qismat-e-Imkaan hai Khilafat teri Waqt-e-Fursat kahan hai, kaam abhi baaqi hai Noor-e-Tauheed ka itmaam abhi baaqi hai Misl-e-Bu qaid hai Gunche me pareshan hoja Rukht bardosh hawa-e-chamanistaan hoja Hai tunk maya tu zarre se bayaban hoja Naghma-e-Mauj se hangaama-e-tufaan hoja Quwwat-e-Ishq se har past ko baala karde Dahar me Ism-e-Muhammad se Ujaala karde Ho na ye phul to bulbul ka tarannum bhi na ho chaman-e-dahar me kaliyon ka tabassum bhi na ho Ye na saaqi ho to mai bhi na ho khum bhi na ho Bazm-e-tauheed bahi duniya me na ho tum bhi na ho Kheema-e-aflaak ka estaada isi naam hai Nabz-e-hasti tapish aamada isi naam se hai Dasht mein, daaman-e-kohsaar mein maidaan me hai Bahar mein mauj ki aagosh mein tufaan mein hai Cheen ke sahahar Maraqash ke bayaban mein hai Aur posheeda musalmaan ke Imaan mein hai Chashm-e-Aqwaam ye nazaara abad tak dekhe Rifat-e-Shaan-e-Rafana laka zikrak dekhe Mardum-e-Chashm-e-Zamin yaani wo kaali duniya Wo tumhaare Shohada paalne waali duinya Garmi mahar ki parvarda hilaali duniya Ishq waale jise kahte hain bilaali duniya tapish andoz hai is naam se paare ki tarah Gauta zan noor mein hai aank taare ki tarah Aqal hai teri sipar Ishq hai shamsheer teri Mere darwesh Khilafat hai jahangeer teri Masiwa Allah ke liye aag hai takbeer teri Tu musalmaan hai to Taqdeer hai tadbeer teri Ki Mohammed se wafa tu ne to hum tere hain, Yeh jahan cheez hai kya, lauh-o-qalam tere hain. Chat Conversation End
Posted on: Mon, 04 Nov 2013 16:34:37 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015