Junge badr ke qaidio ke bare mashware ke bare me hazrat abu bakr - TopicsExpress



          

Junge badr ke qaidio ke bare mashware ke bare me hazrat abu bakr aur hazrat umar ki soch :- junge badr ke 2 hafte baad qaidio ka mamla pesh aaya to huzur sallallahu alayhi wasallam ne sahaba se mashwara ke liye bulaya aur farmaya : ae musalmano qaidio ke bare me mujhe ray do. beshak ALLAH ne unko tumhare haq me diya hai. Hazrat abu bakr siddik radiyallahuanhu ne kaha: ya rasulallah ! sallallahu alayhi wasallam ye sab qaidi hamare hi sage wale hai.unko pese leke chod diya jaye. shayad ALLAH unko hidayat deve.Hazrat umar faruk radiyallahu anhu ne kaha : ya rasulallah ! sallallahu alayhi wasallam ye sab qaidi ALLAH aur uske Rasool ke dushman hai.unhone aap ko juthlaya hai.aap ko makka se nikal diya hai. aap ke sath ladai ki hai.ye sab kufr aur shirk ke sardar hai. un sab ko qatl kar diya jaye me mere sage wale ku qatl karta hu.dusre sab musalman khud khud ke sage wale ku qatl kare. Dusre sahaba ne bhi apni ray pesh ki.HUZOOR sallallahu alayhi wa sallam ne farmaya ae Abu bakr ,jazbat (feeligs) aur ehsaan ke mamle metumhari misal hazrat ibrahim alayhissalam aur hazrat isaa alayhissalam jaisi hai. hazrat ibrahim alayhissalam ne farmaya: jisne meri tabedari ki wo mere me se jisne meri me nafarmani ki to ae khuda ! tu hi sab se bada raheem aur maaf karne wala hai. Hazrat isaa alayhissalam ne farmaya: ay khuda ! tu agar unko azaab de to wo tere bande hai aur jo tu unko baksh de to beshak ,tu joravar aur hikmat wala hai. Aur ae umar ! tumhari misaal hazrat Nooh alayhissalam Aur hazrat Moosa alayhiissalam jesi hai. Hazarat NOOH alayhissalam apni koum ki pareshan hoke ye duaa mangi thi ki Ae palanhaar ! ye kafiro mese kisi ko dharti pe jinda chodna mat. Aur hazrat Moosa alayhissalam ne apni koum se bezaar hoke duaa mangi ke Ae khuda ! unke maal asbaab ku barbaad kar de unke dilo uper mohar laga de.ye log dard dene wala azaab nahi dekhenge tab tak imaan nahi layenge. huzur sallallahu ne hazrat abu bakr radiyallahu anhu ki ray pasand ki ( proof sirate sarakare madina part 1 ,page 714/715)
Posted on: Tue, 13 Aug 2013 15:58:34 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015