KAISI HAI YEH MOHABBAT SEASON-2 Chapter-8 Krishna: Bahot mamuli - TopicsExpress



          

KAISI HAI YEH MOHABBAT SEASON-2 Chapter-8 Krishna: Bahot mamuli chot thi theek ho gayi , Rawte sahab to bas baat ka batangad bana rahe hain theek ho gayi chot Arjun: Ek hi raat mein.... Krishna palatke usi shaakh se dekhti hai Rathod: Guys humara topic Krishna ki chot nahi aaj ka case hai hum uspe continue karen to behtar hoga Tabhi Rathod ka phone aata hai Rathod : Haan maa Rajniji: Beta tum log kab tak aa sakte ho Rathod: Kya hua maa sa aap pareshan lag rahi hain Rajniji: Pareshan hone ki to baat hai hi na beta Palak ko bahot tez bukhar aa gaya hai , aur tere baabo sa bhi kaam se bahar gaye hain Rathod: Kya usey bukhar hai , maa aapne doctor ko bulaya Rajniji: Beta doctor aake dekh gaye hain dawa bhi de di hai lekin wo uska bukhar... Rathod: Theek hai maa hum abhi aate hain Ayesha: Kya hua aap .. Palak to theek hai Rathod: Palak ko bahot tez bukhar aa gya hai ek kaam karo tum chali jao main yahin Arjun: Iski koi zaruat nahi hai Rathod tum dono ka uske saath hona zaruri hai main yahan sambhal lunga tum jaao and take care of Palak Rathod: Theek hai Rawte Dono Ayesha aur Sameer nikal jaate hain Baarish ke mausam mein din mein is kadar andhera ho gaya jaise raat ho gayi ho Upar se electricity bhi chali gayi Chotu: Abey yaar ye light ko bhi abhi jaana tha Shree: Chal Chotu dekhke aate hain Sab apne apne kaamo mein lag gaye Krishna bhi uthke chali gayi Case se related file uthane ke liye Arjun apne room mein jaane laga to usne halki si khatakahtahat suni , wo wash room se aayi Wo jab palatke dekhta hai to koi wahan khade hue koi ladki haath dho rahi thi Wo aura age gaya to dekhke hakka bakka reh gaya usey usey us ladki ki aine mein chavi dikhai di Wo parchain Sakshi ki thi Arjun foren wahan gaya usne use peechey se gale se lagaya Arjun: Kahan chali gayi thi tum, tum jaanti ho na main tumhare bagair jee nahi sakta , tum ... Ye sab sunke us ladki ki aankhon mein hulchul machne lagi usne apne kamar pe se wahi khanjar uthai aur Arjun ke haath pe maar di jab wo palti to Arjun bhi hairan reh gaya kyunki wo koi aur nahi Krishna thi Krishna gusse mein wahan se chali jaati hai Arjun uske piche se aata hai Arjun : Krishna , Krishna , I am sorry mujhe laga ki tum Krishna: Mera raasta chodiye Arjun: Mujhe galat mat samjho... Krishna: Galat to main aajtak thi jo maine aapko ek shareef insaan samjha but i was wrong jab kal aap bina puche mere ghar mein daakhil hue usi waqt mujhe samjh jaana chaiye tha ki aap kitne shareef hain Wo gusse mein jaane lagi Tabhi Arjun bhi uske peeche jaane laga Arjun: Krishna! Tabhi Shree aur Chotu andar aate hain Arjun jaate hue Shree se takra jaata hai Shree: Arey sir aapke haath se to khoon aa raha hai aur ye Krishna kahan jaa rahi hai Krishna! Chotu: Chaliye sir main bandage kar deta hun Shree usey rok paata is se pehle wo nikal gayi thi Yahan is baat ko leke Arjun aur sakte mein aa gaya tha Ki jo kuch usne dekha kya wo sirf uska wehem ttha ya kuch aura b Krishna ke prati uski jigyasa aur badh gayi ek pagakpan sa savaar ho gaya ki ab wo uske bare mein jaanke hi rahega Us raat wo apne ghar chala gaya Aadhi raat tak apna kaam chodke wo bas Krishna ke bare mein kahin net to kahin phone calls, kahin kisi file mein , Krishna ki Godhra wali file leke baitha tha tabhi achanak uski aankh lag gayi Achanak se ek awaaz ne usey utha diya Wo ek haath lag ke koi cheez giri thi , wo cheez ek paper weight tha jispe Sakshi ka naam likha hua tha , Wo apna kaam phirse karne laga lekin ab ek aur baad Koi awaaz jis se uska dhyan hath gaya jo ki ek wind chime tha hawa ki wajah se zor zor se shor karne laga Arjun ne apne kamre ki khidki aur darwaze dono band kiye Raat mein Arjun akele aur table lamp ki light mein hi kaam karna pasand karta tha phirse wahi kaam karne laga ki ekdum se pardon ki sarsarahat se wo utha Uske kamre ki ek khidki acche se band nahi hui thi jise wo band karne dubara utha Tabhi Us Khidki ko band karte hue achanak use ek aur awaaz sunai di Jaise kisine uska naam liya ho “ARJUN” Wo palta lekin koi na dikhai dene par usey laga ki ye uske dimag ka wehem tha Par phir usey wahi aawaz aayi “Arjun , main yahan hoon” Arjun us awaaz ke peechey gaya kyunki wo pehchaan chukka tha ki ye awaaz Sakshi ki hai Arjun bhaagte hue neechey gaya “Arjun tum dekh kyun nahi paa rahe ho arey baba main yahan hoon” Phir wahi awaz “Arjun, arey main yahan hoon” Arjun ab us awaaz ke peechey gaya to dekhke maayus lekin thodi ghabrahaya bhi Usne dekha ki uske bête Varun ke haath mein ek remote the aur saamne projector screen pe uska aur Sakshi ka ek video tha jise wo dekhte hue so chukka tha Tabhi kisine uske kandhe pe haath rakha Arjun palta Arjun: Kaka aap Kaka: Beta is waqt tum yahan kya kar rahe ho Arjun: Kaka ye projector Kaka : Beta wo Varun baba zid kar rahe they isiliye humne isey chala diya ab so gaye hain to hum hi ise band kar dete hain Arjun chala jaata hai AGLI SUBAH Krishna akele apne ghar mein thi , Uski zehen mein baar baar sirf Arjun ke aur uske beech beeta wo lamha karke gusse mein tar rahi thi uski ankhon mein phir wahi hulchul , wahi bechaini, uski aankhon mein ho rahi thi Tabhi uske kandhe pe kisine haath rakha Usney wahi kiya wo khanjar jo uski kamar se hamesha bandhi rehti hi usne wahi uthake uske haath pe de maari “Aah” Krishna: Oh I am really sorry Shree , I am Sorry wo mujhe laga ki .... Shree: Ye tu kya pagal ho gayi hai Krishna: I am really sorru Shree tum do minute baitho main, main abhi first aid laati hun Wo first aid laati hai Krishna: Shree show me your hand Wo dheere dheere uske hath pe first aid lagati hai, Krishna: Dard Ho raha hai na , I am Sorry main Shree: Krishna , Krishna its o.k o.k Oh ab pata chala kal raat Arjun sir ko chot kaise lagi thi Krishna: Shut up Shree , unke bare mein tumhe baat karni hai , To please chale jao Shree: accha baba tu to naraz ho gayi hum unke bare mein baat nahi karte... Lekin ye to bata itna gussa kis baat ka.... tujhe pata hai achanak tujhe is tarah se jaate dekh ke main kitna ghabra gaya isiliye to subah hone se pehle yahan tere ghar pe haazir hun Krishna: Accha to suno wo darasal....
Posted on: Sat, 20 Jul 2013 10:50:21 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015